YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 62

62
BÁSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr ke tín hisse barábar haiṉ, aur har hisse ke shurụ́ meṉ lafz i Sirf, aur pahle aur dúsre hissoṉ ke áḳhir meṉ lafz i Siláh hai; aur tínoṉ hissoṉ ká matlab yih hai, ki Ḳhudá har tarah se ịtiqád ke láiq hai, aur insán hech.
Sardár Mug̣anní ke liye Yadútún ke úpar; Dáúd kí Zabúr.
1Sirf Ḳhudá kí taraf rujụ́ hone se merí ján chain meṉ hai; usí se merí naját hai; 2sirf wahí merí chaṭán aur merí naját hai; merí já i panáh; mujhe bashiddat jumbish na hogí. 3Tum kab tak ek mard par hamla karoge, tum sab koí us ke qatl ke darpai rahoge, jo jhukí húí díwár aur ḍháí húí kháí kí mánind hai? 4Sirf us kí balandí se wuh use ḍhakelne ke mansúbe bándhte haiṉ, wuh jhúṭh se ḳhush haiṉ; wuh apne muṉh se barakat ḍete haiṉ, par apne bátin meṉ lạnat karte haiṉ. Siláh.
5Ai merí ján, sirf Ḳhudá kí taraf rujụ́ hoke chup rah, kyúṉki usí se merí ummed hai. 6Sirf wahí merí chaṭán aur merí naját hai; merí já i panáh; mujhe jumbish na hogí. 7Merí naját aur merí ịzzat Ḳhudá par mauqúf hai; merí qúwat kí chaṭán aur meṉ já i panáh Ḳhudá meṉ hai. 8Ai ummat, har waqt us par tawakkul karo, apne dil us ke huzúr unḍel do; Ḳhudá hamáre liye já i panáh hai. Siláh.
9Adná log sirf bátil haiṉ, ạ́lí marátib jhúṭh; wuh tarázú meṉ uṭh jáenge; wuh sab ke sab butlán se subuk haiṉ. 10Zulm par takiya na karo, aur sitam meṉ behúda na bano; daulat harchand baṛhe, us par dil na lagáo. 11Ḳhudá ne ek bát kahí, yih do báteṉ maiṉ ne suníṉ, ki qúwat Ḳhudá kí hai; 12aur, Ai Ḳhudáwand, mihrbání terí hai, kyúṉki Tú har ek shaḳhs ko us ke kámoṉ ke mutábiq badla degá.

Currently Selected:

Zabúr 62: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in