YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 64

64
CHAUṈSATHWÍṈ ZABÚR.
Dáúd duạ́ kartá hai ki sharír dushmanoṉ se riháí pae (1—5), aur use yaqín hai ki yih duạ́ mustajáb hogí (6—10).
Sardár Mug̣anníke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, merí faryád meṉ merí áwáz sun; tú merí ján ko dushman ke ḳhatre se mahfúz rakhegá. 2Tú mujhe sharíron kí pinhání maslahat se, aur badkároṉ ke g̣ul-shor se chhipáegá; 3jinhoṉ ne talwár kí mánind apní zabán ko tez kiyá hai, aur apná tír chille par chaṛháyá hai, yạne, talḳh kalám; 4táki poshída jagahoṉ meṉ kámil admí ko máreṉ; wuh nágaháṉ use márenge, aur na ḍarenge. 5Wuh apne wáste burí bát mazbút karte haiṉ; chhipáke phande márne kí bát-chít karte haiṉ; wuh kahte haiṉ, ki “Kaun ham ko dekhegá”?
6Wuh badkáríoṉ kí talásh karte haiṉ; kahte haiṉ ki “Ham taiyár haiṉ; kyá hí ḳhúb tadbír”! Aur har ek ká bátin aur dil gahrá hai. 7Lekin Ḳhudá ne unheṉ nágaháṉ tír se márá hai: zaḳhm unhíṉ ke ho gae. 8Aur wuh giráe gae; un kí zabán unhíṉ par paṛí; sab koí un par nazar karte húe bhágenge. 9Aur sáre ádmí ḍarte haiṉ, aur kahte haiṉ, ki “Yik Khudá ka kiyá húá hai,” aur ise usí ká kám samajhte haiṉ. 10Sádiq Yahowáh se ḳhush hogá, aur us par bharosa rakhegá; aur sáre sídhe dil-wále us se faḳhr karenge.

Currently Selected:

Zabúr 64: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in