YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 72

72
BAHATTARWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Sulaimán, apní bádsháhat kí salámatí aur sulh-ámez o raunaq-afzá ạmaldárí se tashbih deke, Masíh kí raunaq-afzá aur sulh o salámatí kí bádsháhat ká yih bayán kartá hai, ki wuh ạdl o insáf ke sáth (1—7), aur kull qaumoṉ par (8—11), aur karam o mihrbání ke sáth (12—14), aur abad tak (15—17) rahegí, aur is bayán ke bạd Ḳhudá kí hamd kartá hai (18, 19); aur us ke bạd zabúr ke Sifr i Dúam ká tatimma hai.
Sulaimán kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, Bádsháh ko apní ạdálateṉ, aur bádsháh ke Beṭe ko apní sadáqat ạtá kar. 2Wuh sadáqat ke sáth terí ummat ka, aur ạdálat ke sáth tere musíbatzadoṉ ká insáf karegá. 3Tab sadáqat se paháṛ aur paháṛíáṉ ummat ke liye salámatí paidá karenge. 4Wuh ummat ke musibatzadoṉ kí ạdálat karegá; kangál ke farzandoṉ ko naját baḳhshegá, aur zálim ko kuchlegá. 5Jab tak ki áftáb aur mahtáb báqí rahenge, pusht dar pusht, wuh tujh se ḍará karenge. 6Wuh bárish kí mánind, jo kaṭí húí ghás par ho, aur jhaṛí kí mánind, jo zamín ko seráb kartí hai, názil hogá. 7Us ke zamáne meṉ, jab tak mahtáb báqí rahega, sádiq ugegá aur salámatí kí ziyádatí hogí.
8Aur wuh samundar se samundar tak, aur nahr se zamín kí sarhaddoṉ tak hukúmat karegá. 9Wahshí ádmí us ke sámhne jhukenge, aur us ke dushman maṭṭí cháṭenge. 10Tarsís aur Jazíroṉ ke bádsháh hadíya bhejenge; Sabá aur Sibá ke bádsháh tuhfa qurbán meṉ láenge. 11Aur sáre bádsháh us ko sijda karenge, sárí qaumeṉ us kí ịbádat karengí.
12Kyúṉki wuh duháí denewále kangál kí, aur musíbatzada aur bekas kí riháí karegá. 13Wuh bebas aur kangál par tars kháegá, aur kangáloṉ kí jánoṉ ko bacháegá. 14Wuh un kí ján ko jaur o jafá se ḳhalásí baḳhshegá, aur un ká ḳhún us kí nazar meṉ beshqímat hogá.
15Aur wuh jítá rahegá, aur Sabá ke sone meṉ se use diyá karegá; aur wuh us ke liye hamesha duạ́ kiyá karegá; wuh sáre din use mubárakbádí diyá karegá. 16Zamín meṉ paháṛoṉ kí choṭí par sirf muṭṭhí bhar anáj ho; us ká phal Lubnán ke mánind haṛhaṛáegá, aur shahr meṉ se wuh zamín kí ghás kí mánind sarsabz honge. 17Us ká nám abad tak rahegá; jab tak ki áftáb báqí rahegá, tab tak us ká nám phailtá rahegá, aur ádmí us se barakateṉ páenge; sárí qaumeṉ use mubárakbádí dengí.
18Yahowáh Ḳhudá, Isráíl ká Khudá, jo akelá ạjáibát kartá hai, mubárak ho; 19aur us ká jalíl nám abad tak mubárak ho, aur sárí zamín us ke jalál se bhar jáe! Ámín aur Amín.
20Yassí ke Beṭe Dáúd kí duạ́eṉ tamám húíṉ.

Currently Selected:

Zabúr 72: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in