YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 74

74
CHAUHATTARWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Ḳhudá kí kalísyá, niháyat sakht tangí meṉ paṛke, in dalíloṉ ke sáth riháí kí darkhwást kartí hai, ki Ḳhudá kí haikal barbád ho gaí, aur us kí huzúrí kí sárí nisháníáṉ mit gaí haiṉ, aur dushman Ḳhudá ke nám kí hiqárat aur us par tạna zaní karte haiṉ, goyá ki yih wírání o barbádí abad tak rahegí, aur us ne hamesha ke liye apní ummat ko mardúd kiyá hai (1—11); aur riháí kí duạ́ kí dalíl meṉ Ḳhudá kí muhabbat aur qudrat ke un ạjíb kámon ká zikr kartí hai jo us ne guzre zamánoṉ meṉ apní ummat kí ḳhalásí o naját ke liye kie (12—23). Ag̣lab hai ki yih zabúr us waqt se ạláqa rakhtí ho jab Bábúlíoṉ aur Kaldáníoṉ ke lashkar ne Bait-ul-muqaddas aur Yarúshalam ko g̣árat o barbád kiyá thá, jaisá us ká bayán Yar. 52:12-34 meṉ hai. Aur jis shaḳhs ne yih zabúr likhí, wuh Ásaf ke ḳhándán meṉ se thá, aur isí sabab se yih zabúr Ásaf kí kahí gaí.
Ásaf kí Tạlím-dihinda Zabúr.
1Ai Ḳhudá, tú ne kyúṉ hameṉ hamesha ke liye radd kiyá hai, aur kyúṉ tere g̣usse ká dhúáṉ terí charágáh ke galle par uthtá hai? 2Apní jamáạt ko jise tú ne qadím se ḳharídá, aur apní mírás ke us ạsá ko khalásí baḳhshí, is Koh i Saihún ko jis meṉ tú ne sukúnat kí hai, yád kar. 3Abadí wíráníoṉ kí taraf, un sabhoṉ kí taraf jinheṉ dushman ne maqdis meṉ ḳharáb kiyá hai, apne qadam baṛhá. 4Tere muḳhálif tere majmạ ke darmiyán garajte haiṉ; unhoṉ ne apne nishán hukúmat ke nishán ṭhahráe haiṉ. 5Wuh mạlúm hotá hai ki goyá ghane daraḳhtoṉ par kulháṛíán bahut únchí uṭhátá hai. 6Aur ab us ke kanda-naqshoṉ ko wuh hatoṛe aur hatoṛíoṉ se toṛke ek hí sáth girá dete haiṉ. 7Unhoṉ ne terí maqdis meṉ ág lagáí hai; zamín tak tere nám ke maskan ko nápák kiyá hai. 8Unhoṉ ne apne dil meṉ kahá hai ki “Ham unheṉ ek hí sáth barbád kareṉ!” Unhoṉ ne zamín par Qádir i Mutlaq ke sáre majmạoṉ ko jalá diyá hai. 9Ham apne nishánoṉ ko nahíṉ dekhte; ab koí nabí nahíṉ hai; aur hamáre darmiyán koí nahíṉ jántá ki yih kab tak. 10Ai Ḳhudá, muḳhálif kab tak tạna zaní karegá? Kyá dushman abad tak tere nam kí tahqír karegá? 11Tú kis liye apná háth, aur apná dahná háth khainche rakhtá hai? Use apní god meṉ se nikálke unheṉ faná kar.
12Aur Ḳhudá qadím se mera Bádsháh hai, jo zamín ke darmiyán najáteṉ diyá kartá hai. 13Tú hí ne apní qúwat se samundar ko pháṛá; tinnínoṉ ke siroṉ ko pání par kuchal ḍálá. 14Tú hí ne Liwyátán ke siroṉ ko kuchal ḍálá, tú use wahshí logoṉ ko ḳhurish meṉ degá. 15Tú hí ne chashma aur daryá ko chírá, Tú hí ne hamesha bahnewálí nahroṉ ko sukhlá diyá. 16Din tera hai, rát bhí terí hai; Tú hí ne naiyir aur áftáb ko taiyár kar rakhá. 17Tú hí ne zamín ke sáre kanároṉ ko muqarrar kiyá; garmí aur jáṛá — Tú hí ne unheṉ banáyá. 18Ise yád rakh; ki dushman ne Yahowáh par tạnazaní kí, aur ahmaq qaum ne tere nám kí tahqír kí hai. 19Mar-bhukkhí guroh ko apní fáḳhta na de; apne musíbatzadoṉ kí guroh ko abad tak na bhul. 20Ạhd par tawajjuh kar; kyúṉki zamín kí tárík jagaheṉ zulm ke makánoṉ se bhar gaíṉ. 21Mazlúm raswá hokar palaṭ na jáe; musíbatzada aur kangál tere nám kí sitáish kareṉ. 22Ai Ḳhudá, uṭh! Apní laṛáí laṛ! Apní us tạnazadagí ko, jo sáre din ahmaq kí taraf se hotí hai, yád kar! 23Apne dushmanoṉ kí áwáz, apne muḳhálifoṉ ke g̣ul-shor ko, jo hamesha uṭhtá hai, bhul na já.

Currently Selected:

Zabúr 74: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in