1
Lúqá 16:10
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Jo thoṛe se thoṛe meṉ diyánatdár hai, wuh bahut meṉ bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe se thoṛe meṉ baddiyánat hai, wuh bahut meṉ bhí baddiyánat hai.
Compara
Explorar Lúqá 16:10
2
Lúqá 16:13
Koí naukar do málikoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar saktá: kyúṉki yá to ek se ʻadáwat rakkhegá, aur dúsre se mahabbat; yá ek se milá rahegá, aur dúsre ko náchíz jánegá. Tum Ḳhudá aur daulat donoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar sakte.
Explorar Lúqá 16:13
3
Lúqá 16:11-12
Pas jab tum nárást daulat meṉ diyánatdár na ṭhahre, to haqíqí daulat kaun tumháre supurd karegá? Aur agar tum begáne mál meṉ diyánatdár na ṭhahre, to jo tumhárá apná hai, use kaun tumheṉ degá?
Explorar Lúqá 16:11-12
4
Lúqá 16:31
Us ne us se kahá, ki Jab wuh Músá aur nabíoṉ hí kí nahíṉ sunte, to agar murdoṉ meṉ se koí jí uṭhe, to us kí bhí na máneṉge.
Explorar Lúqá 16:31
5
Lúqá 16:18
Jo koí apní bíwí ko chhoṛkar dúsrí se biyáh kare, wuh ziná kartá hai; aur jo shaḳhs shauhar kí chhoṛí húí ʻaurat se biyáh kare, wuh bhí ziná kartá hai.
Explorar Lúqá 16:18
Inici
La Bíblia
Plans
Vídeos