Lúqá 16
16
1Phir us ne shágirdoṉ se bhí kahá, ki Kisí daulatmand ká ek muḳhtár thá; us kí logoṉ ne us se shikáyat kí, ki Yih terá mál uṛátá hai. 2Pas us ne us ko bulákar kahá, ki Yih kyá hai, jo maiṉ tere haqq meṉ suntá húṉ? Apní muḳhtárí ká hisáb de; kyúṉki áge ko tú muḳhtár nahíṉ rah saktá. 3Us muḳhtár ne apne jí meṉ kahá, ki Kyá karúṉ? kyúṉki merá málik mujh se muḳhtárí chhíne letá hai: miṭṭí to mujh se khodí nahíṉ játí, aur bhíkh máṉgne se sharm átí hai. 4Maiṉ samajh gayá ki kyá karúṉ, táki jab muḳhtárí se mauqúf ho jáúṉ, to log mujhe apne gharoṉ meṉ jagah deṉ. 5Pas us ne apne málik ke ek ek qarzdár ko bulákar pahle se púchhá, ki Tujh par mere málik ká kyá átá hai? 6Us ne kahá; Sau man tel. Us ne us se kahá, ki Apní dastáwez le, aur jald baiṭhkar pachás likh de. 7Phir dúsre se kahá; Tujh par kyá átá hai? Us ne kahá; Sau man gehúṉ. Us ne us se kahá, ki Apní dastáwez lekar assí likh de. 8Aur málik ne beímán muḳhtár kí taʻríf kí, is liye ki us ne hoshyárí kí thí: kyúṉki is jahán ke farzand apne hamjinsoṉ ke sáth muʻámalát meṉ núr ke farzandoṉ kí nisbat ziyáda hoshyár haiṉ. 9Aur maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Nárástí kí daulat se apne liye dost paidá karo; táki jab wuh játí rahe, to yih tum ko hamesha ke maskanoṉ meṉ jagah deṉ. 10Jo thoṛe se thoṛe meṉ diyánatdár hai, wuh bahut meṉ bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe se thoṛe meṉ baddiyánat hai, wuh bahut meṉ bhí baddiyánat hai. 11Pas jab tum nárást daulat meṉ diyánatdár na ṭhahre, to haqíqí daulat kaun tumháre supurd karegá? 12Aur agar tum begáne mál meṉ diyánatdár na ṭhahre, to jo tumhárá apná hai, use kaun tumheṉ degá? 13Koí naukar do málikoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar saktá: kyúṉki yá to ek se ʻadáwat rakkhegá, aur dúsre se mahabbat; yá ek se milá rahegá, aur dúsre ko náchíz jánegá. Tum Ḳhudá aur daulat donoṉ kí ḳhidmat nahíṉ kar sakte.
14Farísí, jo zardost the, in sab bátoṉ ko sunkar use ṭhaṭṭhe meṉ uṛáne lage. 15Us ne un se kahá, ki Tum wuh ho, ki ádmíoṉ ke sámne apne áp ko rástbáz ṭhahráte ho; lekin Ḳhudá tumháre diloṉ ko jántá hai; kyúṉki jo chíz ádmíoṉ kí nazar meṉ ʻálíqadr hai, wuh Ḳhudá ke nazdík makrúh hai. 16Sharíʻat aur ambiyá Yúhanná tak rahe; us waqt se Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí dí játí hai, aur har ek zor márkar us meṉ dáḳhil hotá hai. 17Lekin ásmán aur zamín ká ṭal jáná sharíʻat ke ek nuqte ke miṭ jáne se ásán hai. 18Jo koí apní bíwí ko chhoṛkar dúsrí se biyáh kare, wuh ziná kartá hai; aur jo shaḳhs shauhar kí chhoṛí húí ʻaurat se biyáh kare, wuh bhí ziná kartá hai.
19Ek daulatmand thá, jo argawání aur mihín kapṛe pahintá, aur har roz ḳhushí manátá aur shán o shaukat se rahtá thá. 20Aur Laʻzar nám ek garíb, násúroṉ se bhará húá, us ke darwáze par ḍálá gayá thá. 21Use árzú thí, ki daulatmand kí mez ke jhúṭe se apná peṭ bhare; balki kutte bhí ákar us ke násúr cháṭte the. 22Aur aisá húá ki wuh garíb mar gayá, aur firishtoṉ ne use le jákar Ibráhím kí god meṉ rakh diyá; aur daulatmand bhí múá, aur dafn húá. 23Us ne ʻálam i arwáh ke darmiyán ʻazáb meṉ mubtalá hokar apní áṉkheṉ uṭháíṉ, aur Ibráhím ko dúr se dékhá, aur us kí god meṉ Laʻzar ko. 24Aur us ne pukárkar kahá, ki Ai báp Ibráhím, mujh par rahm karke Laʻzar ko bhej, ki apní unglí ká sirá pání meṉ bhigokar merí zabán tar kare; kyúṉki maiṉ is ág meṉ taṛaptá húṉ. 25Ibráhím ne kahá; Beṭá, yád kar, ki tú apní zindagí meṉ apní achchhí chízeṉ le chuká, aur usí tarah Laʻzar burí chízeṉ; lekin ab wuh yaháṉ tasallí pátá hai, aur tú taṛaptá hai. 26Aur in sab bátoṉ ke siwá, hamáre tumháre darmiyán ek baṛá gaṛhá rakkhá gayá hai, aisá ki jo yaháṉ se tumhárí taraf pár jáná cháheṉ, na já sakeṉ, aur na log udhar se hamárí taraf wár#16:26 wár wár lafz pár ka mutzad hay. Pár ba maani samny wala kinara aur wár ba maani idhar wala kinara. á sakeṉ. 27Us ne kahá; Pas ai báp, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki tú use mere báp ke ghar bhej; 28kyúṉki mere páṉch bháí haiṉ; táki wuh un ke sámne in bátoṉ kí gawáhí de, aisá na ho ki wuh bhí is ʻazáb kí jagah meṉ áeṉ. 29Ibráhím ne us se kahá, ki Un ke pás Músá aur ambiyá to haiṉ; un kí suneṉ. 30Us ne kahá; Nahíṉ, ai báp Ibráhím; háṉ, agar koí murdoṉ meṉ se un ke pás jáe, to wuh tauba kareṉge. 31Us ne us se kahá, ki Jab wuh Músá aur nabíoṉ hí kí nahíṉ sunte, to agar murdoṉ meṉ se koí jí uṭhe, to us kí bhí na máneṉge.
S'ha seleccionat:
Lúqá 16: URDR55
Subratllat
Comparteix
Copia
Vols que els teus subratllats es desin a tots els teus dispositius? Registra't o inicia sessió
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Més informació sobre Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)