Yúhanná 1
1
1Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ húí. 4Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá. 5Aur núr táríkí meṉ chamaktá hai: aur táríkí ne use qubúl na kiyá. 6Ek ádmí Yúhanná nám á maujúd húá, jo Ḳhudá kí taraf se bhejá gayá thá. 7Yih gawáhí ke liye áyá, ki núr kí gawáhí de, táki sab us ke wasíle se ímán láeṉ. 8Wuh ḳhud to núr na thá, magar núr kí gawáhí dene ko áyá thá. 9Haqíqí núr, jo har ek ádmí ko raushan kartá hai, dunyá meṉ áne ko thá. 10Wuh dunyá meṉ thá, aur dunyá us ke wasíle se paidá húí, aur dunyá ne use na pahcháná. 11Wuh apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá. 12Lekin jitnoṉ ne use qubúl kiyá, us ne unheṉ Ḳhudá ke farzand banne ká haqq baḳhshá, yaʻní unheṉ jo us ke nám par ímán láte haiṉ. 13Wuh na ḳhún se, na jism kí ḳhwáhish se, na insán ke iráde se, balki Ḳhudá se paidá húe. 14Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál. 15Yúhanná ne us kí bábat gawáhí dí, aur pukárke kahá hai, ki Yih wuhí hai, jis ká maiṉ ne zikr kiyá, ki Jo mere baʻd átá hai wuh mujh se muqaddam ṭhahrá; kyúṉki wuh mujh se pahle thá. 16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl. 17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi. 18Ḳhudá ko kisí ne kabhí nahíṉ dekhá; iklautá Beṭá, jo Báp kí god meṉ hai, usí ne záhir kiyá.
19Aur Yúhanná kí gawáhí yih hai, ki jab Yahúdíoṉ ne Yarúshalem se káhin aur Lewí yih púchhne ko us ke pás bheje, ki Tú kaun hai? 20to us ne iqrár kiyá, aur inkár na kiyá, balki iqrár kiyá, ki Maiṉ to Masíh nahíṉ húṉ. 21Unhoṉ ne us se púchhá, Phir kaun hai? Kyá tú Eliyyáh hai? Us ne kahá; Maiṉ nahíṉ húṉ. Kyá tú wuh nabí hai? Us ne jawáb diyá, ki Nahíṉ. 22Pas unhoṉ ne us se kahá; Phir tú hai kaun? táki ham apne bhejnewáloṉ ko jawáb deṉ. Tú apne haqq meṉ kyá kahtá hai? 23Us ne kahá; Maiṉ, jaisá Yashaʻyáh nabí ne kahá hai, biyábán meṉ ek pukárnewále kí áwáz húṉ, ki Tum Ḳhudáwand kí ráh ko sídhá karo. 24Yih Farísíoṉ kí taraf se bheje gaye the. 25Unhoṉ ne us se yih suwál kiyá, ki Agar tú na Masíh hai, na Eliyyáh, na wuh nabí, to phir baptisma kyúṉ detá hai? 26Yúhanná ne jawáb meṉ un se kahá, ki Maiṉ pání se baptisma detá húṉ; tumháre darmiyán ek shaḳhs khaṛá hai, jise tum nahíṉ jánte, 27yaʻní mere baʻd ká ánewálá, jis kí jútí ká tasma maiṉ kholne ke láiq nahíṉ. 28Yih báteṉ Yardan ke pár Baitʻaniyyáh meṉ wáqiʻ húíṉ, jaháṉ Yúhanná baptisma detá thá.
29Dúsre din us ne Yisúʻ ko apní taraf áte dekhkar kahá; Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai, jo dunyá ká gunáh uṭhá le játá hai. 30Yih wuhí hai, jis kí bábat maiṉ ne kahá thá, ki Ek shaḳhs mere baʻd átá hai, jo mujh se muqaddam ṭhahrá hai, kyúṉki wuh mujh se pahle thá. 31Aur maiṉ to use pahchántá na thá; magar is liye pání se baptisma detá húá áyá, ki wuh Isráíl par záhir ho jáe. 32Aur Yúhanná ne yih gawáhí dí, ki Maiṉ ne Rúh ko kabútar kí tarah ásmán se utarte dekhá hai, aur wuh us par ṭhahr gayí. 33Aur maiṉ to use pahchántá na thá; magar jis ne mujhe pání se baptisma dene ko bhejá, usí ne mujh se kahá, ki Jis par tú Rúh ko utarte aur ṭhahrte dekhe, wuhí Rúhuʼl Quds se baptisma denewálá hai. 34Chunáṉchi maiṉ ne dekhá aur gawáhí dí hai, ki yih Ḳhudá ká Beṭá hai.
35Dúsre din phir Yúhanná aur us ke shágirdoṉ meṉ se do shaḳhs khaṛe the. 36Us ne Yisúʻ par, jo já rahá thá, nigáh karke kahá, Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai! 37Wuh donoṉ shágird us ko yih kahte sunkar Yisúʻ ke píchhe ho liye. 38Yisúʻ ne phirkar aur unheṉ píchhe áte dekhkar un se kahá; Tum kyá ḍhúṉḍhte ho? Unhoṉ ne us se kahá; Ai Rabbí, (yaʻní Ai ustád), tú kaháṉ rahtá hai? 39Us ne un se kahá; Chalo, dekh loge. Pas unhoṉ ne ákar us ke rahne kí jagah dekhí, aur us roz us ke sáth rahe; aur yih dasweṉ ghanṭe ke qaríb thá. 40Un donoṉ meṉ se jo Yúhanná kí bát sunkar Yisúʻ ke píchhe ho liye the, ek Shamaʻún Patras ká bhái Andriyás thá. 41Us ne pahle apne sage bháí Shamaʻún se milkar us se kahá, ki Ham ko Ḳhristus, yaʻní Masíh mil gayá. 42Wuh use Yisúʻ ke pás láyá: Yisúʻ ne us par nigáh karke kahá, ki Tú Yúhanná ká beṭá Shamaʻún hai: tú Kefá, yaʻní Patras, kahláegá.
43Dúsre din Yisúʻ ne Galíl meṉ jáná cháhá; aur Filippus se milkar kahá; Mere píchhe ho le. 44Filippus Andriyás aur Patras ke shahr Baitsaidá ká báshinda thá. 45Filippus ne Natanʼel se milkar us se kahá, ki Jis ká zikr Músá ne Tauret meṉ aur nabíoṉ ne kiyá hai, wuh ham ko mil gayá; wuh Yúsuf ká beṭá Yisúʻ Násarí hai. 46Natanʼel ne us se kahá; Kyá Násarat se koí achchhí chíz nikal saktí hai? Filippus ne kahá; Chalkar dekh le. 47Yisúʻ ne Natanʼel ko apní taraf áte dekhkar us ke haqq meṉ kahá; Dekho, yih fiʼlhaqíqat Isráílí hai: is meṉ makr nahíṉ. 48Natanʼel ne us se kahá; Tú mujhe kaháṉ se jántá hai? Yisúʻ ne us ke jawáb meṉ kahá; Is se pahle ki Filippus ne tujhe buláyá, jab tú anjír ke daraḳht ke níche thá, maiṉ ne tujhe dekhá. 49Natanʼel ne ús ko jawáb diyá; Ai Rabbí, tú Ḳhudá ká Beṭá, tú Isráíl ká bádsháh hai. 50Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ ne jo tujh se kahá, ki tujh ko anjír ke daraḳht ke níche dekhá, kyá tú isí liye ímán láyá hai? Tú in se bhí baṛe baṛe májare dekhegá. 51Phir us se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Tum ásmán ko khulá húá, aur Ḳhudá ke firishtoṉ ko úpar játe aur Ibn i Ádam par utarte dekhoge.
S'ha seleccionat:
Yúhanná 1: URDR55
Subratllat
Comparteix
Copia
Vols que els teus subratllats es desin a tots els teus dispositius? Registra't o inicia sessió
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Més informació sobre Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)