Yúhanná 11

11
1Maryam aur us kí bahin Marthá ke gáṉw Baitʻaniyyáh ká Laʻzar nám ek ádmí bímár thá. 2Yih wuhí Maryam thí, jis ne Ḳhudáwand par ʻitr ḍálkar apne báloṉ se us ke páṉw poṉchhe; isí ká bháí Laʻzar bímár thá. 3Pas us kí bahinoṉ ne use yih kahlá bhejá, ki Ai Ḳhudáwand, dekh, jise tú ʻazíz rakhtá hai, wuh bímár hai. 4Yisúʻ ne sunkar kahá, ki Yih bímárí maut kí nahíṉ, balki Ḳhudá ke jalál ke liye hai, táki us ke wasíle se Ḳhudá ke Beṭe ká jalál záhir ho. 5Aur Yisúʻ Marthá aur us kí bahin aur Laʻzar se mahabbat rakhtá thá. 6Pas jab us ne suná ki wuh bímár hai, to jis jagah thá, wahíṉ do din âur rahá; 7phir is ke baʻd shágirdoṉ se kahá, Áo, phir Yahúdiya ko chalen. 8Shágirdoṉ ne us se kahá; Ai Rabbí, abhí to Yahúdí tujhe saṉgsár karná cháhte the, aur tú phir waháṉ játá hai? 9Yisúʻ ne jawáb diyá; Kyá din ke bárah ghanṭe nahíṉ hote? Agar koí din ko chale, to ṭhokar nahíṉ khátá, kyúṉki wuh dunyá kí raushní dekhtá hai. 10Lekin agar koí rát ko chale, to ṭhokar khátá hai, kyúṉki us meṉ raushní nahíṉ. 11Us ne yih báteṉ kahíṉ, aur is ke baʻd un se kahne lagá, ki Hamárá dost Laʻzar so gayá hai, lekin maiṉ use jagáne játá húṉ. 12Pas shágirdoṉ ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, agar so gayá hai, to bach jáegá. 13Yisúʻ ne to us kí maut kí bábat kahá thá; magar wuh samjhe ki árám kí níṉd kí bábat kahá. 14Tab Yisúʻ ne un se sáf kah diyá, ki Laʻzar mar gayá. 15Aur maiṉ tumháre sabab se ḳhush húṉ ki waháṉ na thá, táki tum ímán láo; lekin áo, ham us ke pás chaleṉ. 16Pas Tomá ne, jise Tauam kahte the, apne sáth ke shágirdoṉ se kahá, ki Áo, ham bhí chaleṉ táki us ke sáth mareṉ.
17Pas Yisúʻ ko ákar maʻlúm húá, ki use qabr meṉ rakkhe chár din húe. 18Baitʻaniyyáh Yarúshalem ke nazdík, koí do míl ke fásile par thá. 19Aur bahut se Yahúdí Marthá aur Maryam ko bhái ke báre meṉ tasallí dene áe the. 20Pas Marthá Yisúʻ ke áne kí ḳhabar sunkar us se milne ko gayí: lekin Maryam ghar meṉ baiṭhí rahí. 21Marthá ne Yisúʻ se kahá, ki Ai Ḳhudáwand, agar tú yaháṉ hotá, to merá bháí na martá. 22Aur ab bhí maiṉ jántí húṉ, ki jo kuchh tú Ḳhudá se máṉgegá, wuh tujhe degá. 23Yisúʻ ne us se kahá; Terá bháí jí uṭhegá. 24Marthá ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki qiyámat meṉ áḳhirí din jí uṭhegá. 25Yisúʻ ne us se kahá; Qiyámat aur zindagí to maiṉ húṉ: jo mujh par ímán látá hai, go wuh mar jáe, taubhí zinda rahegá: 26aur jo koí zinda hai aur mujh par ímán látá hai, wuh abad tak kabhí na maregá. Kyá tú is par ímán rakhtí hai? 27Us ne us se kahá; Háṉ, ai Ḳhudáwand; maiṉ ímán lá chukí húṉ, ki Ḳhudá ká Beṭá Masíh, jo dunyá meṉ ánewálá thá, tú hí hai. 28Yih kahkar wuh chalí gayí, aur chupke se apní bahin Maryam ko bulákar kahá, ki Ustád yahíṉ hai, aur tujhe bulátá hai. 29Wuh sunte hí jald uṭhkar us ke pás áí. (30Yisúʻ abhí gáṉw meṉ nahíṉ pahuṉchá thá, balki usí jagah thá jaháṉ Marthá use milí thí.) 31Pas jo Yahúdí ghar meṉ us ke pás the, aur use tasallí de rahe the, yih dekhkar ki Maryam jald uṭhke bahar gayí, is ḳhayál se us ke píchhe ho liye ki wuh qabr par rone játí hai. 32Jab Maryam us jagah pahuṉchí jaháṉ Yisúʻ thá, aur use dekhá, to us ke qadamoṉ par girke us se kahá; Ai Ḳhudáwand, agar tú yaháṉ hotá, to merá bháí na martá. 33Jab Yisúʻ ne use aur un Yahúdíoṉ ko jo us ke sáth áe the rote dekhá, to dil meṉ niháyat ranjída húá, aur ghabrákar kahá; 34Tum ne use kaháṉ rakkhá hai? Unhoṉ ne kahá; Ai Ḳhudáwand, chalkar dekh le. 35Yisúʻ ke áṉsú bahne lage. 36Pas Yahúdíoṉ ne kahá; Dekho, wuh is ko kaisá ʻazíz thá. 37Lekin un meṉ se baʻz ne kahá; Kyá yih shaḳhs, jis ne andhe kí áṉkheṉ kholíṉ, itná na kar saká ki yih ádmí na martá? 38Yisúʻ phir apne dil meṉ niháyat ranjída hokar qabr par áyá. Wuh ek gár thá, aur us par patthar dhará thá. 39Yisúʻ ne kahá, ki Patthar uṭháo. Us mare húe shaḳhs kí bahin Marthá ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, us meṉ se to ab badbú átí hai, kyúṉki use chár dín ho gaye. 40Yisúʻ ne us se kahá; Kyá maiṉ ne tujh se kahá na thá, ki Agar tú ímán láegí, to Ḳhudá ká jalál dekhegí. 41Pas unhoṉ ne us patthar ko uṭháyá. Phir Yisúʻ ne áṉkheṉ uṭhákar kahá; Ai Báp, maiṉ terá shukr kartá húṉ ki tú ne merí sun lí. 42Aur mujhe to maʻlúm thá ki tú hamesha merí suntá hai: magar in logoṉ ke báʻis jo ás pás khaṛe haiṉ maiṉ ne yih kahá, táki wuh ímán láeṉ ki tú hí ne mujhe bhejá hai. 43Aur yih kahkar us ne baland áwáz se pukárá, ki Ai Laʻzar, nikal á. 44Jo mar gayá thá wuh kafan se háth páṉw bandhe húe nikal áyá; aur us ká chihra rúmál se lipṭá húá thá. Yisúʻ ne un se kahá; Use kholkar jáne do.
45Pas bahutere Yahúdí jo Maryam ke pás áe the, aur jinhoṉ ne Yisúʻ ká yih kám dekhá thá, us par ímán le áe. 46Magar un meṉ se baʻz ne Farísíoṉ ke pás jákar unheṉ Yisúʻ ke kámoṉ kí ḳhabar dí.
47Pas sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ ne sadr ʻadálat ke logoṉ ko jamaʻ karke kahá, Ham karte kyá haiṉ? yih ádmí to bahut muʻjize dikhátá hai. 48Agar ham use yúṉ hí chhoṛ deṉ, to sab us par ímán le áeṉge, aur Romí ákar hamárí jagah aur qaum donoṉ par qabza kar leṉge. 49Aur un meṉ se Káifá nám ek shaḳhs ne, jo us sál sardár káhin thá, un se kahá; Tum kuchh nahíṉ jánte, 50aur na sochte ho ki tumháre liye yihí bihtar hai, ki ek ádmí ummat ke wáste mare, na ki sárí qaum halák ho. 51Magar us ne yih apní taraf se nahíṉ kahá, balki us sál sardár káhin hokar nubuwwat kí, ki Yisúʻ us qaum ke wáste maregá; 52aur na sirf us qaum ke wáste, balki is wáste bhí ki Ḳhudá ke paráganda farzandoṉ ko jamaʻ karke ek kar de. 53Pas wuh usí roz se us ke qatl karne ká mashwara karne lage.
54Pas us waqt se Yisúʻ Yahúdíoṉ meṉ ʻalániya nahíṉ phirá, balki waháṉ se jangal ke nazdík ke ʻiláqe meṉ Ifráím nám ek shahr ko chalá gayá, aur apne shágirdoṉ ke sáth wahíṉ rahne lagá. 55Aur Yahúdíoṉ kí ʻÍd i Fasah nazdík thí, aur bahut log Fasah se pahle díhát se Yarúshalem ko gaye, táki apne áp ko pák kareṉ. 56Pas wuh Yisúʻ ko ḍhúṉḍhne, aur haikal meṉ khaṛe hokar ápas meṉ kahne lage, ki Tumhárá kyá ḳhayál hai? kyá wuh ʻíd meṉ nahíṉ áegá? 57Aur sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ ne hukm de rakkhá thá, ki agar kisí ko ḳhabar ho, ki wuh kaháṉ hai, to ittiláʻ de, táki use pakaṛ leṉ.

S'ha seleccionat:

Yúhanná 11: URDR55

Subratllat

Comparteix

Copia

None

Vols que els teus subratllats es desin a tots els teus dispositius? Registra't o inicia sessió