Yūhannā 10

10
Charwāhe kī Tamsīl
1Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo darwāze se bheṛoṅ ke bāṛe meṅ dāḳhil nahīṅ hotā balki phalāṅg kar andar ghus ātā hai wuh chor aur ḍākū hai. 2Lekin jo darwāze se dāḳhil hotā hai wuh bheṛoṅ kā charwāhā hai. 3Chaukīdār us ke lie darwāzā khol detā hai aur bheṛeṅ us kī āwāz suntī haiṅ. Wuh apnī har ek bheṛ kā nām le kar unheṅ bulātā aur bāhar le jātā hai. 4Apne pūre galle ko bāhar nikālne ke bād wuh un ke āge āge chalne lagtā hai aur bheṛeṅ us ke pīchhe pīchhe chal paṛtī haiṅ, kyoṅki wuh us kī āwāz pahchāntī haiṅ. 5Lekin wuh kisī ajnabī ke pīchhe nahīṅ chaleṅgī balki us se bhāg jāeṅgī, kyoṅki wuh us kī āwāz nahīṅ pahchāntīṅ.”
6Īsā ne unheṅ yih tamsīl pesh kī, lekin wuh na samjhe ki wuh unheṅ kyā batānā chāhtā hai.
Achchhā Charwāhā
7Is lie Īsā dubārā is par bāt karne lagā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki bheṛoṅ ke lie darwāzā maiṅ hūṅ. 8Jitne bhī mujh se pahle āe wuh chor aur ḍākū haiṅ. Lekin bheṛoṅ ne un kī na sunī. 9Maiṅ hī darwāzā hūṅ. Jo bhī mere zariye andar āe use najāt milegī. Wuh ātā jātā aur harī charāgāheṅ pātā rahegā. 10Chor to sirf chorī karne, zabah karne aur tabāh karne ātā hai. Lekin maiṅ is lie āyā hūṅ ki wuh zindagī pāeṅ, balki kasrat kī zindagī pāeṅ.
11Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Achchhā charwāhā apnī bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hai. 12Mazdūr charwāhe kā kirdār adā nahīṅ kartā, kyoṅki bheṛeṅ us kī apnī nahīṅ hotīṅ. Is lie jyoṅ hī koī bheṛiyā ātā hai to mazdūr use deḳhte hī bheṛoṅ ko chhoṛ kar bhāg jātā hai. Natīje meṅ bheṛiyā kuchh bheṛeṅ pakaṛ letā aur bāqiyoṅ ko muntashir kar detā hai. 13Wajah yih hai ki wuh mazdūr hī hai aur bheṛoṅ kī fikr nahīṅ kartā. 14Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Maiṅ apnī bheṛoṅ ko jāntā hūṅ aur wuh mujhe jāntī haiṅ, 15bilkul usī tarah jis tarah Bāp mujhe jāntā hai aur maiṅ Bāp ko jāntā hūṅ. Aur maiṅ bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hūṅ. 16Merī aur bhī bheṛeṅ haiṅ jo is bāṛe meṅ nahīṅ haiṅ. Lāzim hai ki unheṅ bhī le āūṅ. Wuh bhī merī āwāz suneṅgī. Phir ek hī gallā aur ek hī gallābān hogā.
17Merā Bāp mujhe is lie pyār kartā hai ki maiṅ apnī jān detā hūṅ tāki use phir le lūṅ. 18Koī merī jān mujh se chhīn nahīṅ saktā balki maiṅ use apnī marzī se de detā hūṅ. Mujhe use dene kā iḳhtiyār hai aur use wāpas lene kā bhī. Yih hukm mujhe apne Bāp kī taraf se milā hai.”
19In bātoṅ par Yahūdiyoṅ meṅ dubārā phūṭ paṛ gaī. 20Bahutoṅ ne kahā, “Yih badrūh kī girift meṅ hai, yih dīwānā hai. Is kī kyoṅ suneṅ!”
21Lekin auroṅ ne kahā, “Yih aisī bāteṅ nahīṅ haiṅ jo badrūh-giriftā shaḳhs kar sake. Kyā badrūheṅ andhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kar saktī haiṅ?”
Īsā ko Radd Kiyā Jātā Hai
22Sardiyoṅ kā mausam thā aur Īsā Baitul-muqaddas kī Maḳhsūsiyat kī Īd banām Hanūkā ke daurān Yarūshalam meṅ thā. 23Wuh Baitul-muqaddas ke us barāmde meṅ phir rahā thā jis kā nām Sulemān kā barāmdā thā. 24Yahūdī use gher kar kahne lage, “Āp hameṅ kab tak uljhan meṅ rakheṅge? Agar āp Masīh haiṅ to hameṅ sāf sāf batā deṅ.”
25Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ, lekin tum ko yaqīn nahīṅ āyā. Jo kām maiṅ apne Bāp ke nām se kartā hūṅ wuh mere gawāh haiṅ. 26Lekin tum īmān nahīṅ rakhte kyoṅki tum merī bheṛeṅ nahīṅ ho. 27Merī bheṛeṅ merī āwāz suntī haiṅ. Maiṅ unheṅ jāntā hūṅ aur wuh mere pīchhe chaltī haiṅ. 28Maiṅ unheṅ abadī zindagī detā hūṅ, is lie wuh kabhī halāk nahīṅ hoṅgī. Koī unheṅ mere hāth se chhīn na legā, 29kyoṅki mere Bāp ne unheṅ mere sapurd kiyā hai aur wuhī sab se baṛā hai. Koī unheṅ Bāp ke hāth se chhīn nahīṅ saktā. 30Maiṅ aur Bāp ek haiṅ.”
31Yih sun kar Yahūdī dubārā patthar uṭhāne lage tāki Īsā ko sangsār kareṅ. 32Us ne un se kahā, “Maiṅ ne tumheṅ Bāp kī taraf se kaī ilāhī nishān dikhāe haiṅ. Tum mujhe in meṅ se kis nishān kī wajah se sangsār kar rahe ho?”
33Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, “Ham tum ko kisī achchhe kām kī wajah se sangsār nahīṅ kar rahe balki kufr bakne kī wajah se. Tum jo sirf insān ho Allāh hone kā dāwā karte ho.”
34Īsā ne kahā, “Kyā yih tumhārī sharīat meṅ nahīṅ likhā hai ki Allāh ne farmāyā, ‘Tum Ḳhudā ho’? 35Unheṅ ‘Ḳhudā’ kahā gayā jin tak Allāh kā yih paiġhām pahuṅchāyā gayā. Aur ham jānte haiṅ ki kalām-e-muqaddas ko mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā. 36To phir tum kufr bakne kī bāt kyoṅ karte ho jab maiṅ kahtā hūṅ ki maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ? Āḳhir Bāp ne ḳhud mujhe maḳhsūs karke duniyā meṅ bhejā hai. 37Agar maiṅ apne Bāp ke kām na karūṅ to merī bāt na māno. 38Lekin agar us ke kām karūṅ to beshak merī bāt na māno, lekin kam az kam un kāmoṅ kī gawāhī to māno. Phir tum jān loge aur samajh jāoge ki Bāp mujh meṅ hai aur maiṅ Bāp meṅ hūṅ.”
39Ek bār phir unhoṅ ne use giriftār karne kī koshish kī, lekin wuh un ke hāth se nikal gayā.
40Phir Īsā dubārā Dariyā-e-Yardan ke pār us jagah chalā gayā jahāṅ Yahyā shurū meṅ baptismā diyā kartā thā. Wahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. 41Bahut-se log us ke pās āte rahe. Unhoṅ ne kahā, “Yahyā ne kabhī koī ilāhī nishān na dikhāyā, lekin jo kuchh us ne is ke bāre meṅ bayān kiyā, wuh bilkul sahīh niklā.” 42Aur wahāṅ bahut-se log Īsā par īmān lāe.

S'ha seleccionat:

Yūhannā 10: GVR

Subratllat

Comparteix

Copia

None

Vols que els teus subratllats es desin a tots els teus dispositius? Registra't o inicia sessió