Logo YouVersion
Eicon Chwilio

Paidáish 6

6
1Jab rú e zamín par ádmí bahut baṛhne lage, aur un ke beṭiyáṉ paidá húíṉ, 2to Ḳhudá ke beṭoṉ ne ádmí kí beṭiyoṉ ko dekhá, ki wuh ḳhúbsúrat haiṉ; aur jin ko unhoṉ ne chuná un se biyáh kar liyá. 3Tab Ḳhudáwand ne kahá, ki Merí rúh insán ke sáth hamesha muzáhamat na kartí rahegí, kyúṉki wuh bhí to bashar hai; taubhí us kí ‘umr ek sau bís baras kí hogí. 4Un dinoṉ meṉ zamín par jabbár the; aur ba‘d meṉ jab Ḳhudá ke beṭe ádmí kí beṭiyoṉ ke pás gaye, to un ke liye un se aulád húí. Yihí qadím zamáne ke súrmá haiṉ, jo baṛe námwar húe haiṉ. 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ. 6Tab Ḳhudáwand zamín par insán ke paidá karne se malúl húá aur dil meṉ g̣am kiyá. 7Aur Ḳhudáwand ne kahá, ki Maiṉ insán ko, jise maiṉ ne paidá kiyá, rú e zamín par se miṭá ḍálúṉgá; insán se lekar haiwán aur reṉgnewále jándár aur hawá ke parandoṉ tak; kyúṉki maiṉ un ke banáne se malúl húṉ. 8Magar Núh Ḳhudáwand kí nazar meṉ maqbúl húá.
9Núh ká nasabnáma yih hai: Núh mard i rástbáz aur apne zamáne ke logoṉ meṉ be‘aib thá, aur Núh Ḳhudá ke sáth sáth chaltá rahá. 10Aur us se tín beṭe, Sim, Hám, aur Yáfat paidá húe. 11Par zamín Ḳhudá ke áge nárást ho gayí thí, aur wuh zulm se bharí thí. 12Aur Ḳhudá ne zamín par nazar kí, aur dekhá, ki wuh nárást ho gayí hai; kyúṉki har bashar ne zamín par apná taríqa bigáṛ liyá thá.
13Aur Ḳhudá ne Núh se kahá, ki Tamám bashar ká ḳhátima mere sámne á pahuṉchá hai; kyúṉki un ke sabab se zamín zulm se bhar gayí; so dekh, maiṉ zamín samet un ko halák karúṉgá. 14Tú gophar kí lakṛí kí ek kishtí apne liye baná; us kishtí meṉ koṭhriyáṉ taiyár karná, aur us ke andar aur báhar rál lagáná. 15Aur aisá karná ki kishtí kí lambáí tín sau háth, us kí chauṛáí pachás háth, aur us kí úṉcháí tís háth ho. 16Aur us kishtí meṉ ek raushandán banáná, aur úpar se háth bhar chhoṛkar use ḳhatm kar dená; aur us kishtí ká darwáza us ke pahlú meṉ rakhná, aur us meṉ tín darje banáná, nichlá, dúsrá, aur tísrá. 17Aur dekh, maiṉ ḳhud zamín par pání ká túfán lánewálá húṉ, táki har bashar ko, jis meṉ zindagí ká dam hai, dunyá se halák kar ḍálúṉ: aur sab jo zamín par haiṉ mar jáeṉge. 18Par tere sáth maiṉ apná ‘ahd qáim karúṉgá; aur tú kishtí meṉ jáná, tú, aur tere sáth tere beṭe, aur terí bíwí, aur tere beṭoṉ kí bíwiyáṉ. 19Aur jánwaroṉ kí har qism meṉ se do do apne sáth kishtí meṉ le lená, ki wuh tere sáth jíte bacheṉ; wuh nar o máda hoṉ. 20Aur parandoṉ kí har qism meṉ se, aur charandoṉ kí har qism meṉ se, aur zamín ke reṉgnewáloṉ kí har qism meṉ se do do tere pás áeṉ, táki wuh jíte bacheṉ. 21Aur tú har tarah ke kháne kí chíz lekar apne pás jama‘ kar lená, kyúṉki yihí tere aur un ke kháne ko hogá. 22Aur Núh ne yúṉ hí kiyá; jaisá Ḳhudá ne use hukm diyá thá, waisá hí ‘amal kiyá.

Dewis Presennol:

Paidáish 6: URDR55

Uwcholeuo

Rhanna

Copi

None

Eisiau i'th uchafbwyntiau gael eu cadw ar draws dy holl ddyfeisiau? Cofrestra neu mewngofnoda