1
Yúhanná 3:16
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.
Bandingkan
Telusuri Yúhanná 3:16
2
Yúhanná 3:17
Kyúṉki Ḳhudá ne Beṭe ko dunyá meṉ is liye nahíṉ bhejá, ki dunyá par sazá ká hukm kare, balki is liye ki dunyá us ke wasíle se naját páe.
Telusuri Yúhanná 3:17
3
Yúhanná 3:3
Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki jab tak koí naye sire se paidá na ho, wuh Ḳhudá kí bádsháhat ko dekh nahíṉ saktá.
Telusuri Yúhanná 3:3
4
Yúhanná 3:18
Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá.
Telusuri Yúhanná 3:18
5
Yúhanná 3:19
Aur sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the.
Telusuri Yúhanná 3:19
6
Yúhanná 3:30
Zarúr hai ki wuh baṛhe, aur maiṉ ghaṭúṉ.
Telusuri Yúhanná 3:30
7
Yúhanná 3:20
Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní rakhtá hai, aur núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí jáe.
Telusuri Yúhanná 3:20
8
Yúhanná 3:36
Jo Beṭe par ímán látá hai, hamesha kí zindagi us kí hai; lekin jo Beṭe kí nahíṉ mántá, zindagi ko na dekhegá, balki us par Ḳhudá ká gazab rahtá hai.
Telusuri Yúhanná 3:36
9
Yúhanná 3:14
Aur jis tarah Músá ne sáṉp ko biyábán meṉ úṉche par chaṛháyá, usí tarah zarúr hai ki Ibn i Ádam bhí úṉche par chaṛháyá jáe
Telusuri Yúhanná 3:14
10
Yúhanná 3:35
Báp Beṭe se mahabbat rakhtá hai, aur us ne sab chízeṉ us ke háth meṉ de dí haiṉ.
Telusuri Yúhanná 3:35
Beranda
Alkitab
Rencana
Video