Lúqá 17
17
1Phir us ne apne shágirdoṉ se kahá; Yih nahíṉ ho saktá, ki ṭhokareṉ na lageṉ: lekin us par afsos hai, jis ke báʻis se lageṉ! 2In chhoṭoṉ meṉ se ek ko ṭhokar khiláne kí banisbat, us shaḳhs ke liye yih mufíd hotá, ki chakkí ká páṭ us ke gale meṉ laṭkáyá játá, aur wuh samundar meṉ pheṉká játá. 3Ḳhabardár raho; agar terá bháí gunáh kare, use malámat kar; agar tauba kare, use muʻáf kar. 4Aur agar wuh ek din meṉ sát dafʻa terá gunáh kare, aur sátoṉ dafʻa tere pás phir ákar kahe, ki Tauba kartá húṉ, to use muʻáf kar.
5Is par rasúloṉ ne Ḳhudáwand se kahá; Hamáre ímán ko baṛhá. 6Ḳhudáwand ne kahá, ki Agar tum meṉ ráí ke dáne ke barábar bhí ímán hotá, aur tum is tút ke daraḳht se kahte, ki Jaṛ se ukhaṛkar samundar meṉ lag já, to tumhárí mántá. 7Magar tum meṉ se aisá kaun hai, jis ká naukar hal jottá, yá gallabání kartá ho, aur jab wuh khet se áe, to us se kahe, ki Jald ákar kháná kháne baiṭh? 8aur yih na kahe, ki Merá kháná taiyár kar, aur jab tak maiṉ kháúṉ piúṉ, kamar báṉdhkar merí ḳhidmat kar; baʻd us ke tú ḳhud khá pí lená? 9Kyá wuh is liye us naukar ká ihsán mánegá, ki us ne un bátoṉ kí jin ká hukm húá taʻmíl kí? 10Isí tarah tum bhí, jab un sab bátoṉ kí jin ká tumheṉ hukm húá taʻmíl kar chuko, to kaho, ki Ham nikamme naukar haiṉ; jo ham par karná farz thá, wuhí kiyá hai.
11Aur aisá húá, ki Yarúshalem ko játe húe wuh Sámariya aur Galíl ke bích se hokar já rahá thá. 12Aur ek gáṉw meṉ dáḳhil hote waqt, das koṛhí us ko mile. 13Unhoṉ ne dúr khaṛe hokar baland áwáz se kahá; Ai Yisúʻ, ai sáhib, ham par rahm kar. 14Us ne unheṉ dekhkar kahá; Jáo, apne taíṉ káhinoṉ ko dikháo. Aur aisá húá ki wuh játe játe pák sáf ho gaye. 15Phir un meṉ se ek, yih dekhkar ki maiṉ shifá pá gayá, baland áwáz se Ḳhudá kí baṛáí kartá húá lauṭá. 16Aur muṉh ke bal Yisúʻ ke páṉwoṉ par girke us ká shukr karne lagá; aur wuh Sámarí thá. 17Yisúʻ ne jawáb meṉ kahá, Kyá dasoṉ pák sáf na húe? Phir wuh nau kaháṉ haíṉ? 18Kyá siwá is pardesí ke âur na nikle, jo lauṭkar Ḳhudá kí tamjíd karte? 19Phir us se kahá; Uṭhkar chalá já; tere ímán ne tujhe achchhá kiyá hai.
20Jab Farísíoṉ ne us se púchhá, ki Ḳhudá kí bádsháhat kab áegí? to us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ḳhudá kí bádsháhat záhirí taur par na áegí. 21Aur log yih na kaheṉge, ki Dekho, yaháṉ hai, yá Waháṉ hai! kyúṉki, dekho, Ḳhudá kí bádsháhat tumháre darmiyán hai.
22Us ne shágirdoṉ se kahá; Wuh din áeṉge, ki tum ko Ibn i Ádam ke dinoṉ meṉ se ek din ke dekhne kí árzú hogí, aur na dekhoge. 23Aur log tum se kaheṉge, ki Dekho, waháṉ hai, yá Dekho, yaháṉ hai; magar tum chale na jáná, na un ke píchhe ho lená. 24Kyúṉki jaise bijlí ásmán kí ek taraf se kauṉdkar dúsrí taraf chamaktí hai, waise hí Ibn í Ádam apne din meṉ záhir hogá. 25Lekin pahle zarúr hai, kí wuh bahut dukh uṭháe, aur is za-máne ke log use radd kareṉ. 26Aur jaisá Núh ke dinoṉ meṉ húá thá, isí tarah Ibn i Ádam ke dinoṉ meṉ bhí hogá; 27ki log kháte píte the, aur un meṉ biyáh shádí hotí thí, us din tak, ki Núh kishtí par chaṛhá, aur túfán ne ákar sab ko halák kiyá. 28Aur jaisá Lút ke dinoṉ meṉ húá thá, ki log kháte píte, aur ḳharíd o faroḳht karte, aur daraḳht lagáte, aur ghar banáte the; 29lekin jis dín Lút Sadom se niklá, ág aur gandhak ne ásmán se baraskar sab ko halák kiyá; 30Ibn i Ádam ke záhir hone ke din bhí aisá hí hogá. 31Us din jo koṭhe par ho, aur us ká asbáb ghar meṉ ho, wuh us ke lene ko na utre; aur isí tarah jo khet meṉ ho, wuh píchhe ko na lauṭe. 32Lút kí bíwí ko yád rakkho. 33Jo koí apní ján bacháne kí koshish kare, wuh use khoegá: aur jo koí use khoe, wuh us ko zinda rakkhegá. 34Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Us rát do ádmí ek chárpáí par sote hoṉge; ek le liyá jáegá, aur dúsrá chhoṛ diyá jáegá. 35Do ʻaurateṉ ek sáth chakkí pístí hoṉgí; ek le lí jáegí, aur dúsrí chhoṛ dí jáegí. [36Do ádmí khet meṉ hoṉge; ek le liyá jáegá, aur dúsrá chhoṛ diyá jáegá.] 37Unhoṉ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Ai Ḳhudáwand, yih kaháṉ hogá? Us ne un se kahá; Jaháṉ murdár hai, waháṉ giddh bhí jamaʻ hoṉge.
Pilihan Saat Ini:
Lúqá 17: URDR55
Sorotan
Berbagi
Salin
Ingin menyimpan sorotan di semua perangkat Anda? Daftar atau masuk
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Pelajari Selebihnya Tentang Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)