Lúqá 21
21
1Phir us ne áṉkh uṭhákar un daulatmandoṉ ko dekhá, jo apní nazroṉ ke rupaye haikal ke ḳhazáne meṉ ḍál rahe the; 2aur ek kaṉgál bewa ko bhí us meṉ do damṛiyáṉ ḍálte dekhá. 3Is par us ne kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki is kaṉgál bewa ne sab se ziyáda ḍálá; 4kyúṉki un sab ne to apne mál kí bahutát se nazr ká chandá ḍálá: magar is ne apní nádárí kí hálat meṉ jitní rozí us ke pás thí, sab ḍál dí.
5Aur jab baʻz log haikal kí bábat kah rahe the, ki wuh nafís pattharoṉ aur nazr kí húí chízoṉ se árásta hai, to us ne kahá; 6Wuh din áeṉge, ki in chízoṉ meṉ se, jo tum dekhte ho, yaháṉ kisí patthar par patthar báqí na rahegá, jo giráyá na jáe. 7Unhoṉ ne us se púchhá, ki Ai ustád, phir yih báteṉ kab hoṉgí? aur jab wuh hone ko hoṉ, us waqt ká kyá nishán hai? 8Us ne kahá; Ḳhabardár, gumráh na honá; kyúṉki bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge, ki Wuh maiṉ hí húṉ; aur yih bhí, ki Waqt nazdík á pahuṉchá hai: tum un ke píchhe na chále jáná. 9Aur jab laṛáiyoṉ aur fasádoṉ kí afwáheṉ suno, to ghabrá na jáná; kyúṉki un ká pahle wáqiʻ honá zarúr hai; lekin us waqt fauran ḳhátima na hogá.
10Phir us ne un se kahá, ki Qaum par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛháí karegí. 11Aur baṛe baṛe bhauṉchál áeṉge, aur já ba já kál aur marí paṛegí; aur ásmán par baṛí baṛí dahshatnák báteṉ aur nisháníáṉ záhir hoṉgí. 12Lekin in sab bátoṉ se pahle wuh mere nám ke sabab tumheṉ pakṛeṉge, aur satáeṉge, aur ʻibádatḳhánoṉ kí ʻadálat ke hawále kareṉge, aur qaidḳhánoṉ meṉ dalwáeṉge, aur bádsháhoṉ aur hákimoṉ ke sámne házir kareṉge. 13Aur yih tumháre gawáhí dene ká mauqaʻ hogá. 14Pas apne dil meṉ ṭhán rakkho, ki ham pahle se fikr na kareṉge, ki kyá jawáb deṉ. 15Kyúṉki maiṉ tumheṉ aisí zabán aur hikmat dúṉgá, ki tumhárá koí muḳhálif sámná karne yá ḳhiláf kahne ká maqdúr na rakkhegá. 16Aur tumheṉ máṉ báp, aur bháí, aur rishtadár, aur dost bhí pakaṛwáeṉge; balki wuh tum meṉ se baʻz ko marwá ḍáleṉge. 17Aur mere nám ke sabab sab log tum se ʻadáwat rakkheṉge. 18Lekin tumháre sir ká ek bál bhí bíká na hogá. 19Apne sabr se tum apní jáneṉ bacháe rakkhoge.
20Phir jab tum Yarúshalem ko faujoṉ se ghirá húá dekho, to ján lená, ki us ká ujaṛ jáná nazdík hai. 21Us waqt jo Yahúdiya meṉ hoṉ, paháṛoṉ par bhág jáeṉ, aur jo Yarúshalem ke andar hoṉ, báhar nikal jáeṉ; aur jo díhát meṉ hoṉ, shahr meṉ na jáeṉ. 22Kyúṉki yih intiqám ke din hoṉge, jin meṉ sab báteṉ, jo likhí haiṉ, púrí ho jáeṉgí. 23Un par afsos hai jo un dinoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pilátí hoṉ! kyúṉki mulk meṉ baṛí musíbat aur is qaum par gazab hogá. 24Aur wuh talwár ká luqma ho jáeṉge, aur asír hokar sab qaumoṉ meṉ pahuṉcháe jáeṉge, aur jab tak gairqaumoṉ kí míʻád púrí na ho, Yarúshalem gairqaumoṉ se pámál hotí rahegí. 25Aur súraj aur chánd aur sitároṉ meṉ nishán záhir hoṉge, aur zamín par qaumoṉ ko taklíf hogí; kyúṉki wuh samundar aur us kí lahroṉ ke shor se ghabrá jáeṉgí. 26Aur ḍar ke máre aur zamín par ánewálí baláoṉ kí ráh dekhte dekhte logoṉ kí ján meṉ ján na rahegí; is liye ki ásmán kí quwwateṉ híláí jáeṉgí. 27Us waqt log Ibn i Ádam ko qudrat aur baṛe jalál ke sáth bádal meṉ áte dekheṉge. 28Aur jab yih báteṉ hone lageṉ, to sídhe hokar sir úpar uṭháná; is liye ki tumhárí maḳhlasí nazdík hogí.
29Aur us ne un se ek tamsíl kahí, ki Anjír ke daraḳht aur sab daraḳhtoṉ ko dekho. 30Joṉhíṉ un meṉ koṉpaleṉ nikaltí haiṉ, tum dekhkar áp hí ján lete ho, ki ab garmí nazdík hai. 31Isí tarah jab tum in bátoṉ ko hote dekho, to ján lo, ki Ḳhudá kí bádsháhat nazdík hai. 32Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jab tak yih sab báteṉ na ho leṉ, yih nasl hargiz tamám na hogí. 33Ásmán aur zamín ṭal jáeṉge, lekin merí báteṉ hargiz na ṭaleṉgí.
34Pas ḳhabardár raho; aisá na ho ki tumháre dil ḳhumár, aur nashebází, aur is zindagí kí fikroṉ se sust ho jáeṉ, aur wuh din tum par phande kí tarah nágaháṉ á paṛe. 35Kyúṉki jitne log tamám rú e zamín par maujúd hoṉge, un sab par wuh isí tarah á paṛegá. 36Pas har waqt jágte aur duʻá máṉgte raho, táki tum ko in sab honewálí bátoṉ se bachne, aur Ibn i Ádam ke huzúr khaṛe hone ká maqdúr#21:36 maqdúr istatát, himmat, taqat ya gunjaesh k máni meṉ istemal hota hai. Is ka mutzad be-maqdoor hay. ho.
37Aur wuh har roz haikal meṉ taʻlím detá thá; aur rát ko báhar jáke us paháṛ par rahá kartá thá, jo Zaitún ká kahlátá hai. 38Aur subh sawere sab log us kí báteṉ sunne ko haikal meṉ us ke pás áyá karte the.
Pilihan Saat Ini:
Lúqá 21: URDR55
Sorotan
Berbagi
Salin
Ingin menyimpan sorotan di semua perangkat Anda? Daftar atau masuk
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Pelajari Selebihnya Tentang Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)