1
Paidáish 13:15
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
kyúṉki yih tamám mulk, jo tú dekh rahá hai, maiṉ tujh ko, aur terí nasl ko, hamesha ke liye dúṉgá.
Mampitaha
Mikaroka Paidáish 13:15
2
Paidáish 13:14
Aur Lút ke judá ho jáne ke ba‘d ḲHUDáWAND ne Abrám se kahá, ki Apní áṉkh uṭhá, aur jis jagah tú hai waháṉ se shimál aur junúb aur mashriq aur mag̣rib kí taraf nazar dauṛá
Mikaroka Paidáish 13:14
3
Paidáish 13:16
Aur maiṉ terí nasl ko ḳhák ke zarroṉ kí mánind banáúṉgá: aisá ki agar koí shaḳhs ḳhák ke zarroṉ ko gin sake, to terí nasl bhí gin lí jáegí.
Mikaroka Paidáish 13:16
4
Paidáish 13:8
Tab Abrám ne Lút se kahá, ki Mere aur tere darmiyán aur mere charwáhoṉ aur tere charwáhoṉ ke darmiyán jhagṛá na húá kare, kyúṉki ham bháí haiṉ.
Mikaroka Paidáish 13:8
5
Paidáish 13:18
Aur Abrám ne apná ḍerá uṭháyá, aur Mamre ke balútoṉ meṉ, jo Habrún meṉ haiṉ, jákar rahne lagá, aur waháṉ ḲHUDáWAND ke liye ek qurbángáh banáí.
Mikaroka Paidáish 13:18
6
Paidáish 13:10
Tab Lút ne áṉkh uṭhákar Yardan kí sárí taráí par, jo Zug̣r kí taraf hai, nazar dauṛáí, kyúṉki wuh is se peshtar ki ḲHUDáWAND ne Sadúm aur ‘Amúrah ko tabáh kiyá, ḲHUDáWAND ke bág̣ aur Misr ke mulk kí mánind ḳhúb seráb thí.
Mikaroka Paidáish 13:10
Fidirana
Baiboly
Planina
Horonan-tsary