Kisary famantarana ny YouVersion
Kisary fikarohana

Paidáish 13

13
1Aur Abrám Misr se apní bíwí, aur apná sab mál, aur Lút ko, sáth lekar Kan‘án ke junúb kí taraf chalá. 2Aur Abrám ke pás chaupáye, aur soná chándí bakasrat thá. 3Aur wuh Kan‘án ke junúb se safar kartá húá, Baitel meṉ, us jagah pahuṉchá, jaháṉ pahle, Baitel aur ‘Aí ke darmiyán, us ká ḍerá thá; 4ya‘ní wuh maqám, jaháṉ us ne shurú‘ meṉ qurbángáh banáí thí, aur waháṉ Abrám ne Ḳhudáwand se du‘á kí. 5Aur Lút ke pás bhí, jo Abrám ká hamsafar thá, bheṛ bakriyáṉ, gáe bail, aur ḍere the. 6Aur us mulk meṉ itní gunjáish na thí, ki wuh ikaṭṭhe raheṉ: kyúṉki un ke pás itná mál thá, ki wuh ikaṭṭhe nahíṉ rah sakte the. 7Aur Abrám ke charwáhoṉ aur Lút ke charwáhoṉ meṉ jhagṛá húá: aur Kan‘ání aur Farizzí us waqt mulk meṉ rahte the. 8Tab Abrám ne Lút se kahá, ki Mere aur tere darmiyán aur mere charwáhoṉ aur tere charwáhoṉ ke darmiyán jhagṛá na húá kare, kyúṉki ham bháí haiṉ. 9Kyá yih sárá mulk tere sámne nahíṉ? so tú mujh se alag ho já: agar tú báeṉ jáe, to maiṉ dahine jáúṉgá: aur agar tú dahine jáe, to maiṉ báeṉ jáúṉgá. 10Tab Lút ne áṉkh uṭhákar Yardan kí sárí taráí par, jo Zug̣r kí taraf hai, nazar dauṛáí, kyúṉki wuh is se peshtar ki Ḳhudáwand ne Sadúm aur ‘Amúrah ko tabáh kiyá, Ḳhudáwand ke bág̣ aur Misr ke mulk kí mánind ḳhúb seráb thí. 11So Lút ne Yardan kí sárí taráí ko apne liye chun liyá; aur wuh mashriq kí taraf chalá: aur wuh ek dúsre se judá ho gaye. 12Abrám to mulk i Kan‘án meṉ rahá, aur Lút ne taráí ke shahroṉ meṉ sukúnat iḳhtiyár kí, aur Sadúm kí taraf apná ḍerá lagáyá. 13Aur Sadúm ke log Ḳhudáwand kí nazar meṉ niháyat badkár aur gunahgár the. 14Aur Lút ke judá ho jáne ke ba‘d Ḳhudáwand ne Abrám se kahá, ki Apní áṉkh uṭhá, aur jis jagah tú hai waháṉ se shimál aur junúb aur mashriq aur mag̣rib kí taraf nazar dauṛá: 15kyúṉki yih tamám mulk, jo tú dekh rahá hai, maiṉ tujh ko, aur terí nasl ko, hamesha ke liye dúṉgá. 16Aur maiṉ terí nasl ko ḳhák ke zarroṉ kí mánind banáúṉgá: aisá ki agar koí shaḳhs ḳhák ke zarroṉ ko gin sake, to terí nasl bhí gin lí jáegí. 17Uṭh, aur is mulk ke túl aur ‘arz meṉ sair kar, kyúṉki maiṉ ise tujh ko dúṉgá. 18Aur Abrám ne apná ḍerá uṭháyá, aur Mamre ke balútoṉ meṉ, jo Habrún meṉ haiṉ, jákar rahne lagá, aur waháṉ Ḳhudáwand ke liye ek qurbángáh banáí.

Voafantina amin'izao fotoana izao:

Paidáish 13: URDR55

Asongadina

Hizara

Dika mitovy

None

Tianao hovoatahiry amin'ireo fitaovana ampiasainao rehetra ve ireo nasongadina? Hisoratra na Hiditra