1
Yūhannā 3:16
Kitab-i Muqaddas
Kyoṅki Allāh ne duniyā se itnī muhabbat rakhī ki us ne apne iklaute Farzand ko baḳhsh diyā, tāki jo bhī us par īmān lāe halāk na ho balki abadī zindagī pāe.
Bandingkan
Selidiki Yūhannā 3:16
2
Yūhannā 3:17
Kyoṅki Allāh ne apne Farzand ko is lie duniyā meṅ nahīṅ bhejā ki wuh duniyā ko mujrim ṭhahrāe balki is lie ki wuh use najāt de.
Selidiki Yūhannā 3:17
3
Yūhannā 3:3
Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, sirf wuh shaḳhs Allāh kī bādshāhī ko dekh saktā hai jo nae sire se paidā huā ho.”
Selidiki Yūhannā 3:3
4
Yūhannā 3:18
Jo bhī us par īmān lāyā hai use mujrim nahīṅ qarār diyā jāegā, lekin jo īmān nahīṅ rakhtā use mujrim ṭhahrāyā jā chukā hai. Wajah yih hai ki wuh Allāh ke iklaute Farzand ke nām par īmān nahīṅ lāyā.
Selidiki Yūhannā 3:18
5
Yūhannā 3:19
Aur logoṅ ko mujrim ṭhahrāne kā sabab yih hai ki go Allāh kā nūr is duniyā meṅ āyā, lekin logoṅ ne nūr kī nisbat andhere ko zyādā pyār kiyā, kyoṅki un ke kām bure the.
Selidiki Yūhannā 3:19
6
Yūhannā 3:30
Lāzim hai ki wuh baṛhtā jāe jabki maiṅ ghaṭtā jāūṅ.
Selidiki Yūhannā 3:30
7
Yūhannā 3:20
Jo bhī ġhalat kām kartā hai wuh nūr se dushmanī rakhtā hai aur us ke qarīb nahīṅ ātā tāki us ke bure kāmoṅ kā pol na khul jāe.
Selidiki Yūhannā 3:20
8
Yūhannā 3:36
Chunāṅche jo Allāh ke Farzand par īmān lātā hai abadī zindagī us kī hai. Lekin jo Farzand ko radd kare wuh is zindagī ko nahīṅ dekhegā balki Allāh kā ġhazab us par ṭhahrā rahegā.”
Selidiki Yūhannā 3:36
9
Yūhannā 3:14
Aur jis tarah Mūsā ne registān meṅ sāṅp ko lakaṛī par laṭkā kar ūṅchā kar diyā usī tarah zarūr hai ki Ibn-e-Ādam ko bhī ūṅche par chaṛhāyā jāe
Selidiki Yūhannā 3:14
10
Yūhannā 3:35
Bāp apne Farzand ko pyār kartā hai, aur us ne sab kuchh us ke sapurd kar diyā hai.
Selidiki Yūhannā 3:35
Halaman Utama
Alkitab
Pelan
Video