Yúhanná 16
16
1Maiṉ ne yih báteṉ tum se is liye kahíṉ ki tum ṭhokar na kháo. 2Log tum ko ʻibádatḳhánoṉ se ḳhárij kar deṉge, balki wuh waqt átá hai ki jo koí tum ko qatl karegá, wuh gumán karegá ki maiṉ Ḳhudá kí ḳhidmat kartá húṉ. 3Aur wuh is liye yih kareṉge, ki unhoṉ ne na Báp ko jáná, na mujhe. 4Lekin maiṉ ne yih báteṉ is liye tum se kahíṉ, kí jab un ká waqt áe, to tum ko yád á jáe ki maiṉ ne tum se kah diyá thá; aur maiṉ ne shurúʻ meṉ tum se yih báteṉ is liye na kahíṉ, ki maiṉ tumháre sáth thá. 5Magar ab maiṉ apne bhejnewále ke pás játá húṉ; aur tum meṉ se koí mujh se nahíṉ púchhtá, ki Tú kaháṉ játá hai? 6balki is liye ki maiṉ ne yih báteṉ tum se kahíṉ, tumhárá dil gam se bhar gayá. 7Lekin maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Merá jáná tumháre liye fáidamand hai; kyúṉki agar maiṉ na jáúṉ, to wuh Madadgár tumháre pás na áegá; lekin agar jáúṉgá, to use tumháre pás bhej dúṉgá. 8Aur wuh ákar dunyá ko gunáh, aur rástbází, aur ʻadálat ke báre meṉ qusúrwár ṭhahráegá: 9gunáh ke báre meṉ, is liye ki wuh mujh par ímán nahíṉ láte; 10rástbází ke báre meṉ, is liye ki maiṉ Báp ke pás játá húṉ, aur tum mujhe phir na dekhoge; 11ʻadálat ke báre meṉ, is liye ki dunyá ká sardár mujrim ṭhahráyá gayá hai. 12Mujhe tum se âur bhí bahut sí báteṉ kahní haiṉ; magar ab tum un kí bardásht nahíṉ kar sakte. 13Lekin jab wuh, yaʻní Sachcháí kí Rúh, áegí, to tum ko tamám sachcháí kí ráh dikháegí: is liye ki wuh apní taraf se na kahegí; lekin jo kuchh sunegí, wuhí kahegí, aur tumheṉ áyanda kí ḳhabareṉ degí. 14Wuh merá jalál záhir karegí; is liye ki mujh hí se hásil karke tumheṉ ḳhabareṉ degí. 15Jo kuchh Báp ká hai, wuh sab merá hai; is liye maiṉ ne kahá, ki wuh mujh hí se hásil kartí hai, aur tumheṉ ḳhabareṉ degí. 16Thoṛí der meṉ tum mujhe na dekhoge; aur phir thoṛí der meṉ mujhe dekh loge. 17Pas us ke baʻz shágirdoṉ ne ápas meṉ kahá; Yih kyá hai jo wuh ham se kahtá hai, ki Thoṛí der meṉ tum mujhe na dekhoge; aur phir thoṛí der meṉ mujhe dekh loge: aur yih, ki Is liye ki maiṉ Báp ke pás játá húṉ? 18Pas unhoṉ ne kahá, ki Thoṛí der jo wuh kahtá hai, yih kyá bát hai? ham nahíṉ jánte ki kyá kahtá hai. 19Yisúʻ ne, yih jánkar ki wuh mujh se suwál karná cháhte haiṉ, un se kahá; Kyá tum ápas meṉ merí is bát kí nisbat púchh páchh karte ho, ki Thoṛí der meṉ tum mujhe na dekhoge; aur phir thoṛí der meṉ mujhe dekh loge? 20Maiṉ tum se sach sach kahtá huṉ, ki Tum to rooge aur mátam karoge, magar dunyá ḳhush hogí: tum gamgín to hoge; lekin tumhárá gam hí ḳhushí ban jáegá. 21Jab ʻaurat janne lagtí hai, to gamgín hotí hai, is liye ki us ke dukh kí ghaṛí á pahuṉchí; lekin jab bachcha paidá ho chuktá hai, to is ḳhushí se ki dunyá meṉ ek ádmí paidá húá, us dard ko phir yád nahíṉ kartí. 22Pas tumheṉ bhí ab to gam hai; magar maiṉ tum se phir milúṉgá, aur tumhárá dil ḳhush hogá, aur tumhárí ḳhushí koí tum se chhín na legá. 23Us dín tum mujh se kuchh na púchhoge. Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Agar Báp se kuchh máṉgoge, to mere nám se tum ko degá. 24Ab tak tum ne mere nám se kuchh nahíṉ máṉgá: máṉgo, to páoge, táki tumhárí ḳhushí púrí ho jáe.
25Maiṉ ne yih báteṉ tum se tamsíloṉ meṉ kahíṉ; wuh waqt átá hai ki phir tum se tamsíloṉ meṉ na kahúṉgá, balki sáf sáf tumheṉ Báp kí ḳhabar dúṉgá. 26Us din tum mere nám se máṉgoge: aur maiṉ tum se yih nahíṉ kahtá, ki Báp se tumháre liye darḳhwást karúṉgá; 27is liye ki Báp to áp hí tum ko ʻazíz rakhtá hai, kyúṉki tum ne mujh ko ʻazíz rakkhá hai, aur ímán láe ho ki maiṉ Báp kí taraf se niklá. 28Maiṉ Báp meṉ se niklá aur dunyá meṉ áyá húṉ; phir dunyá se ruḳhsat hokar Báp ke pás játá húṉ. 29Us ke shágirdoṉ ne kahá; Dekh, ab tú sáf sáf kahtá hai, aur koí tamsíl nahíṉ kahtá. 30Ab ham ján gaye, ki tú sab kuchh jántá hai, aur is ká muhtáj nahíṉ ki koí tujh se púchhe. Is sabab se ham ímán láte haiṉ, ki tú Ḳhudá se niklá hai. 31Yisúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Kyá tum ab ímán láte ho? 32Dekho wuh ghaṛí átí hai, balki á pauṉchí, ki tum sab paráganda hokar apne apne ghar kí ráh loge, aur mujhe akelá chhoṛ doge; taubhí maiṉ akelá nahíṉ húṉ, kyúṉki Báp mere sáth hai. 33Maiṉ ne tum se yih báteṉ is liye kahíṉ, ki tum mujh meṉ itmínán páo. Dunyá meṉ musíbat uṭháte ho; lekin ḳhátir jamaʻ rakkho; maiṉ dunyá par gálib áyá húṉ.
अहिले सेलेक्ट गरिएको:
Yúhanná 16: URDR55
हाइलाइट
शेयर गर्नुहोस्
कपी गर्नुहोस्
तपाईंका हाइलाइटहरू तपाईंका सबै यन्त्रहरूमा सुरक्षित गर्न चाहनुहुन्छ? साइन अप वा साइन इन गर्नुहोस्
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl) बारे थप जान्नुहोस्