1
Paidāish 9:12-13
Kitab-i Muqaddas
Is abadī ahd kā nishān jo maiṅ tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth qāym kar rahā hūṅ yih hai ki maiṅ apnī kamān bādaloṅ meṅ rakhtā hūṅ. Wuh mere duniyā ke sāth ahd kā nishān hogā.
Compară
Explorează Paidāish 9:12-13
2
Paidāish 9:16
Qaus-e-quzah nazar āegī to maiṅ use dekh kar us dāymī ahd ko yād karūṅga jo mere aur duniyā kī tamām jāndār maḳhlūqāt ke darmiyān hai.
Explorează Paidāish 9:16
3
Paidāish 9:6
Jo bhī kisī kā ḳhūn bahāe us kā ḳhūn bhī bahāyā jāegā. Kyoṅki Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā hai.
Explorează Paidāish 9:6
4
Paidāish 9:1
Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe
Explorează Paidāish 9:1
5
Paidāish 9:3
Jis tarah maiṅ ne tumhāre khāne ke lie paudoṅ kī paidāwār muqarrar kī hai usī tarah ab se tumheṅ har qism ke jānwar khāne kī ijāzat bhī hai.
Explorează Paidāish 9:3
6
Paidāish 9:2
zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar, parinde aur machhliyāṅ sab tum se ḍareṅge. Unheṅ tumhāre iḳhtiyār meṅ kar diyā gayā hai.
Explorează Paidāish 9:2
7
Paidāish 9:7
Ab phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā meṅ phail jāo.”
Explorează Paidāish 9:7
Acasă
Biblia
Planuri
Videoclipuri