1
Zabúr 46:10
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
“Báz áo, aur jáno ki Maiṉ Ḳhudá húṉ; maiṉ qaumoṉ meṉ baland húṉgá, zamín par baland húṉgá.”
Linganisha
Chunguza Zabúr 46:10
2
Zabúr 46:1-2
Ḳhudá hamáre liye já i panáh aur qúwat hai; wuh tangíoṉ meṉ niháyat madadgár páyá gayá. Isí sabab se rú i zamín ke mubaddal ho jane, aur paháṛoṉ ke samundaroṉ ke qalb meṉ hil jane se ham na ḍarenge.
Chunguza Zabúr 46:1-2
3
Zabúr 46:4-5
Ek naddí hai, jis kí nahreṉ Ḳhudá ke shahr, yạne, Haqq Taạlá ke maskanoṉ ke maqám i muqaddas ko ḳhush karengí. Ḳhudá us ke bích meṉ hai, wuh na ṭálegá; Ḳhudá subh hote hí us kí madad karegá.
Chunguza Zabúr 46:4-5
4
Zabúr 46:9
jo zamín kí intihá tak laṛáíáṉ mauqúf kartá hai; wuh kamán ko toṛegá, aur barchhí ko tukṛe tukṛe karegá, rathoṉ ko ág se jaláegá.
Chunguza Zabúr 46:9
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video