1
Zabúr 55:22
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Yahowáh par apná bojh ḍál de, aur wuh terí parwarish karegá; wuh sádiq ko abad tak ṭalne na degá.
Linganisha
Chunguza Zabúr 55:22
2
Zabúr 55:17
Sham aur subh aur do pahar ko maiṉ sochúṉgá aur shor macháúṉgá,— aur us ne merí áwáz suní hai.
Chunguza Zabúr 55:17
3
Zabúr 55:23
Aur Tú, Ai Ḳhudá, unheṉ saṛan ke kúe meṉ girá degá: ḳhúní aur dag̣ábáz insán apní ádhí ụmr tak na pahunchenge; aur Maiṉ tujh par bharosa rakhúṉgá.
Chunguza Zabúr 55:23
4
Zabúr 55:16
Maiṉ Ḳhudá ko pukárúṉgá, aur Yahowáh mujhe bachá legá.
Chunguza Zabúr 55:16
5
Zabúr 55:18
Jo laṛáí mujh par thí, us ne us se salámatí meṉ merí ján ko maḳhlasí dí, kyúṉki mere muḳhálif bahut the.
Chunguza Zabúr 55:18
6
Zabúr 55:1
Ai Ḳhudá, merí duạ par kan dhar, aur merí minnat se áp ko na chhipá.
Chunguza Zabúr 55:1
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video