Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 13

13
1Aur Ḳhudáwand ne Músá ko farmáyá, ki 2Sab pahlauṭhoṉ ko, ya‘ní jo baní Isráíl meṉ, ḳhwáh insán ho ḳhwáh haiwán, pahlauṭhí ke bachche hoṉ, un ko mere liye muqaddas ṭhahrá, kyúṉki wuh mere haiṉ.
3Aur Músá ne logoṉ se kahá, ki Tum is din ko yád rakhná, jis meṉ tum Misr se jo g̣ulámí ká ghar hai nikle; kyúṉki Ḳhudáwand apne zor i bázú se tum ko waháṉ se nikál láyá: is meṉ ḳhamírí roṭí kháí na jáe. 4Tum Abíb ke mahíne meṉ, áj ke din, nikle ho. 5So jab Ḳhudáwand tum ko Kan‘áníoṉ, aur Hittíoṉ, aur Amoríoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ ke mulk meṉ pahuṉchá de, jise tum ko dene kí qasam us ne tumháre bápdádá se kháí thí, aur jis meṉ dúdh aur shahd bahtá hai, to tum isí mahíne meṉ yih ‘ibádat kiyá karná. 6Sát din tak to tum beḳhamírí roṭí kháná, aur sátweṉ din Ḳhudáwand kí ‘íd manáná. 7Beḳhamírí roṭí sátoṉ din kháí jáe, aur ḳhamírí roṭí tumháre pás dikháí bhí na de, aur na tumháre mulk kí hudúd meṉ kahíṉ kuchh ḳhamír nazar áe. 8Aur tum us roz apne beṭe ko yih batáná, ki Is din ko ham us kám ke sabab se mánte haiṉ, jo Ḳhudáwand ne hamáre liye us waqt kiyá jab ham mulk i Misr se nikle. 9Aur yihí tumháre pás goyá tumháre háth meṉ ek nishán, aur tumhárí donoṉ áṉkhoṉ ke sámne ek yádgár ṭhahre, táki Ḳhudáwand kí sharí‘at tumhárí zabán par ho, kyúṉki Ḳhudáwand ne tum ko apne zor i bazú se mulk i Misr se nikálá. 10Pas tum is rasm ko isí waqt i mu‘aiyan meṉ sál ba sál máná karná.
11Aur jab Ḳhudáwand us qasam ke mutábiq jo us ne tum se aur tumháre bápdádá se kháí, tum ko Kan‘áníoṉ ke mulk meṉ pahuṉchákar wuh mulk tum ko de de; 12to tum pahlauṭhí ke bachchoṉ ko aur jánwaroṉ ke pahlauṭhoṉ ko Ḳhudáwand ke liye alag kar dená. Sab nar bachche Ḳhudáwand ke hoṉge. 13Aur gadhe ke pahle bachche ke fidiye meṉ barra dená; aur agar tum us ká fidiya na do, to us kí gardan toṛ ḍálná: aur tumháre beṭoṉ meṉ jitne pahlauṭhe hoṉ, un sab ká fidiya tum ko dená hogá. 14Aur jab áyanda zamáne meṉ terá beṭá tujh se suwál kare, ki Yih kyá hai? To tú use yih jawab dená, ki Ḳhudáwand ham ko Misr se, jo g̣ulámí ká ghar hai, ba zor i bázú nikál láyá. 15Aur jab Fir‘aun ne ham ko jáne dená na cháhá, to Ḳhudáwand ne mulk i Misr meṉ insán aur haiwán donoṉ ke pahlauṭhe már diye: is liye ham jánwaroṉ ke sab nar bachchoṉ ko, jo apní apní máṉ ke rihm ko kholte haiṉ, Ḳhudáwand ke áge qurbání karte haiṉ; lekin apne beṭoṉ ke sab pahlauṭhoṉ ká fidiya dete haiṉ. 16Aur yih tumháre háth par ek nishán aur tumhárí peshání par ṭíkoṉ kí mánind hoṉ; kyúṉki Ḳhudáwand apne zor i bázú se ham ko Misr se nikál láyá.
17Aur jab Fir‘aun ne un logoṉ ko jáne kí ijázat de dí, to Ḳhudá in ko Filistíoṉ ke mulk ke ráste se nahíṉ le gayá, agarchi udhar se nazdík paṛtá; kyúṉki Ḳhudá ne kahá, Aisá na ho ki yih log laṛáí bhaṛáí dekhkar pachhtáne lageṉ aur Misr ko lauṭ jáeṉ. 18Balki Ḳhudá in ko chakkar khilákar bahr i Qulzum ke biyábán ke ráste se le gayá, aur baní Isráíl mulk i Misr se musallah nikle the. 19Aur Músá Yúsuf kí haḍḍiyoṉ ko sath lete gayá, kyúṉki us ne baní Isráíl se yih kahkar, ki Ḳhudá zarúr tumhárí ḳhabar legá, is bát kí saḳht qasam le lí thí, ki tum yaháṉ se merí haḍḍiyáṉ apne sáth lete jáná. 20Aur unhoṉ ne Sukkát se kúch karke biyábán ke kanáre Etám meṉ ḍerá kiyá. 21Aur Ḳhudáwand un ko din ko rásta dikháne ke liye bádal ke sutún meṉ, aur rát ko raushní dene ke liye ág ke sutún meṉ hokar un ke áge áge chalá kartá thá, táki wuh din aur rát donoṉ meṉ chal sakeṉ. 22Wuh bádal ká sutún din ko, aur ág ká sutún rát ko, un logoṉ ke áge se haṭtá na thá.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 13: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia