Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 17

17
1Phir baní Isráíl kí sárí jamá‘at Sín ke biyábán se chalí aur Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq safar kartí húí Rafídím meṉ ákar ḍerá kiyá: waháṉ un logoṉ ke píne ko pání na milá. 2Waháṉ wuh log Músá se jhagṛá karke kahne lage, ki Ham ko píne ko pání de. Músá ne un se kahá, ki Tum mujh se kyúṉ jhagaṛte ho, aur Ḳhudáwand ko kyúṉ ázmáte ho? 3Waháṉ un logoṉ ko baṛí piyás lagí; so wuh Músá par buṛbuṛáne lage aur kahá, ki Tú ham ko aur hamáre bachchoṉ aur chaupáyoṉ ko piyásá márne ke liye ham logoṉ ko kyúṉ mulk i Misr se nikál láyá? 4Músá ne Ḳhudáwand se faryád karke kahá, ki Maiṉ in logoṉ se kyá karún? wuh sab to abhí mujhe sangsár karne ko taiyár haiṉ. 5Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Logoṉ ke áge hokar chal, aur baní Isráíl ke buzurgoṉ meṉ se chand ko apne sáth le le, aur jis láṭhí se tú ne daryá par márá thá, use apne háth meṉ letá já. 6Dekh, maiṉ tere áge jákar waháṉ Horib kí ek chaṭán par khaṛá rahúṉgá: aur tú us chaṭán par márná, to us meṉ se pání niklegá, ki yih log píeṉ. Chunáṉchi Músá ne baní Isráíl ke buzurgoṉ ke sámne yihí kiyá. 7Aur us ne us jagah ká nám Massah aur Maríbah rakkhá; kyúṉki baní Isráíl ne waháṉ jhagṛá kiyá aur yih kahkar Ḳhudáwand ká imtihán kiyá, ki Ḳhudáwand hamáre bích meṉ hai yá nahíṉ?
8Tab ‘Amálíqí ákar Rafídím meṉ baní Isráíl se laṛne lage. 9Aur Músá ne Yashú‘ se kahá, ki Hamárí taraf ke kuchh ádmí chunkar le já, aur ‘Amálíqíoṉ se laṛ: aur maiṉ kal Ḳhudá kí láṭhí apne háth meṉ liye húe paháṛ kí choṭí par khaṛá rahúṉgá. 10So Músá ke hukm ke mutábiq Yashú‘ ‘Amálíqíoṉ se laṛne lagá: aur Músá, aur Hárún, aur Húr paháṛ kí choṭí par chaṛh gaye. 11Aur jab tak Músá apná háth uṭháe rahtá thá, baní Isráíl g̣álib rahte the; aur jab wuh háth laṭká detá thá, tab ‘Amálíqí g̣álib hote the. 12Aur jab Músá ke háth bhar gaye, to unhoṉ ne ek patthar lekar Músá ke níche rakh diyá, aur wuh us par baiṭh gayá; aur Hárún aur Húr, ek idhar se, dúsrá udhar se, us ke háthoṉ ko sambhále rahe. Tab us ke háth áftáb ke g̣urúb hone tak mazbútí se uṭhe rahe. 13Aur Yashú‘ ne ‘Amálíq aur us ke logoṉ ko talwár kí dhár se shikast dí. 14Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Is bát kí yádgárí ke liye kitáb meṉ likh de, aur Yashú‘ ko suná de; ki maiṉ ‘Amálíq ká nám o nishán dunyá se bi’lkull miṭá dúṉgá. 15Aur Músá ne ek qurbángáh banáí, aur us ká nám Yahowáh NISSÍ rakkhá: 16Aur us ne kahá, Ḳhudáwand ne qasam kháí hai; so Ḳhudáwand ‘Amálíqíoṉ se nasl dar nasl jang kartá rahegá.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 17: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia