Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 7

7
1Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Dekh, maiṉ ne tujhe Fir‘aun ke liye goyá Ḳhudá ṭhahráyá: aur terá bháí Hárún terá paig̣ambar hogá. 2Jo jo hukm maiṉ tujhe dúṉ, so tú kahná, aur terá bháí Hárún use Fir‘aun se kahe, ki wuh baní Isráíl ko apne mulk se jáne de. 3Aur maiṉ Fir‘aun ke dil ko saḳht karúṉgá, aur apne nishán aur ‘ajáib mulk i Misr meṉ kasrat se dikháúṉgá. 4Taubhí Fir‘aun tumhárí na sunegá, tab maiṉ Misr ko háth lagáúṉgá, aur use baṛí baṛí sazáeṉ dekar apne logoṉ baní Isráíl ke jathoṉ ko mulk i Misr se nikál láúṉgá. 5Aur maiṉ jab Misr par háth chaláúṉgá, aur baní Isráíl ko un meṉ se nikál láúṉgá, tab Misrí jáneṉge ki maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 6Músá aur Hárún ne, jaisá Ḳhudáwand ne un ko hukm diyá, waisá hí kiyá. 7Aur Músá assí baras, aur Hárún tirásí baras ká thá jab wuh Fir‘aun se hamkalám húe.
8Aur Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, 9ki Jab Fir‘aun tum ko kahe, ki Apná mu‘jiza dikháo, to Hárún se kahná, ki Apní láṭhí ko lekar Fir‘aun ke sámne ḍál de, táki wuh sáṉp ban jáe. 10Aur Músá aur Hárún Fir‘aun ke pás gaye, aur unhoṉ ne Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq kiyá: aur Hárún ne apní láṭhí Fir‘aun aur us ke ḳhádimoṉ ke sámne ḍál dí aur wuh sáṉp ban gayí. 11Tab Fir‘aun ne bhí dánáoṉ aur jádúgaroṉ ko bulwáyá, aur Misr ke jádúgaroṉ ne bhí apne jádú se aisá hí kiyá. 12Kyúṉki unhoṉ ne bhí apní apní láṭhí sámne ḍálí, aur wuh sáṉp ban gayíṉ, lekin Hárún kí láṭhí un kí láṭhiyoṉ ko nigal gayí. 13Aur Fir‘aun ká dil saḳht ho gayá, aur jaisá Ḳhudáwand ne kah diyá thá, us ne un kí na suní.
14Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Fir‘aun ká dil muta‘assib hai, wuh in logoṉ ko jáne nahíṉ detá. 15Ab tú subh ko Fir‘aun ke pás já. Wuh daryá par jáegá, so tú lab i daryá us kí muláqát ke liye khaṛá rahná, aur jo láṭhí sáṉp ban gayí thí use háth meṉ le lená. 16Aur us se kahná, ki Ḳhudáwand ‘Ibráníoṉ ke Ḳhudá ne mujhe tere pás yih kahne ko bhejá hai, ki Mere logoṉ ko jáne de, táki wuh biyábán meṉ merí ‘ibádat kareṉ: aur ab tak tú ne kuchh samá‘at nahíṉ kí. 17Pas Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Tú isí se ján legá, ki maiṉ Ḳhudáwand húṉ: dekh, maiṉ apne háth kí láṭhí ko daryá ke pání par márúṉgá, aur wuh ḳhún ho jáegá. 18Aur jo machhliyáṉ daryá meṉ haiṉ, mar jáeṉgí, aur daryá se ta‘affun uṭhegá, aur Misríoṉ ko daryá ká pání píne se karáhiyat hogí. 19Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Hárún se kah, Apní láṭhí le, aur Misr meṉ jitná pání hai, ya‘ní daryáoṉ aur nahroṉ aur jhíloṉ aur táláboṉ par apná háth baṛhá, táki wuh ḳhún ban jáeṉ; aur sáre mulk i Misr meṉ patthar aur lakṛí ke bartanoṉ meṉ bhí ḳhún hí ḳhún hogá. 20Aur Músá aur Hárún ne Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq kiyá; us ne láṭhí uṭhákar use Fir‘aun aur us ke ḳhádimoṉ ke sámne daryá ke pání par márá; aur daryá ká pání sab ḳhún ho gayá. 21Aur daryá kí machhliyáṉ mar gayíṉ, aur daryá se ta‘affun uṭhne lagá, aur Misrí daryá ká pání pí na sake, aur tamán mulk i Misr meṉ ḳhún hí ḳhún ho gayá. 22Tab Misr ke jádúgaroṉ ne bhí, apne jádú se, aisá hí kiyá; par Fir‘aun ká dil saḳht ho gayá, aur jaisá Ḳhudáwand ne kah diyá thá, us ne un kí na suní. 23Aur Fir‘aun lauṭkar apne ghar chalá gayá, aur us ke dil par kuchh asar na húá. 24Aur sab Misríoṉ ne daryá ke ás pás píne ke pání ke liye kúeṉ khod ḍále; kyúṉki wuh daryá ká pání nahíṉ pí sakte the. 25Aur jab se Ḳhudáwand ne daryá ko márá, us ke ba‘d sát din guzre.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 7: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia