Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 14

14
1Aur Sin‘ár ke bádsháh Amráfil, aur Illásar ke bádsháh Aryúk, aur ‘Ailám ke bádsháh Kidarlá‘umr, aur Joím ke bádsháh Tid‘ál ke aiyám meṉ 2yúṉ húá, ki unhoṉ ne Sadúm ke bádsháh Bara‘, aur ‘Amúrah ke bádsháh Birsha‘, aur Adamah ke bádsháh Sinniab, aur Ziboím ke bádsháh Shimebar, aur Bála‘ ya‘ní Zug̣r ke bádsháh se jang kí. 3Yih sab Siddím, ya‘ní daryá e shor kí wádí meṉ, ikaṭṭhe húe. 4Bárah baras tak wuh Kidarlá‘umr ke mutí‘ rahe, par terahweṉ baras unhoṉ ne sarkashí kí. 5Aur chaudahweṉ baras Kidarlá‘umr, aur us ke sáth ke bádsháh, áe, aur Rifáíoṉ ko ‘Istárát Qarnaim meṉ, aur Zúzíoṉ ko Hám meṉ, aur Aimím ko Sawíqaryataim meṉ, 6aur Horíoṉ ko un ke Koh i Sha‘ír meṉ márte márte El Fárán tak, jo biyábán se lagá húá hai áe. 7Phir wuh lauṭkar ‘Ain i Misfát, ya‘ní Qádis, pahuṉche, aur ‘Amálíqíoṉ ke tamám mulk ko aur Amoríoṉ ko, jo Hasesún Tamar meṉ rahte the, márá. 8Tab Sadúm ká bádsháh, aur ‘Amúrah ká bádsháh, aur Adamah ká bádsháh, aur Ziboím ká bádsháh, aur Bála‘ ya‘ní Zug̣r ká bádsháh, nikle: aur unhoṉ ne Siddím kí wádí meṉ ma‘rika áráí kí; 9táki ‘Ailám ke bádsháh Kidarlá‘umr, aur Joím ke bádsháh Tid‘ál, aur Sin‘ár ke bádsháh Amráfil, aur Illásar ke bádsháh Aryúk se jang kareṉ: yih chár bádsháh un páṉchoṉ ke muqábale meṉ the. 10Aur Siddím kí wádí meṉ já ba já naft ke gaṛhe the; aur Sadúm aur ‘Amúrah ke bádsháh bhágte bhágte waháṉ gire; aur jo bache paháṛ par bhág gaye. 11Tab wuh Sadúm aur ‘Amúrah ká sab mál, aur waháṉ ká sab anáj lekar chale gaye; 12aur Abrám ke bhatíje Lút ko aur us ke mál ko bhí le gaye, kyúṉki wuh Sadúm meṉ rahtá thá. 13Tab ek ne, jo bach gayá thá, jákar Abrám ‘Ibrání ko ḳhabar dí, jo Iskál aur ‘Áner ke bháí Mamre Amorí ke balútoṉ meṉ rahtá thá; aur yih Abrám ke ham‘ahd the. 14Jab Abrám ne suná ki us ká bháí giriftár húá, to us ne apne tín sau aṭhárah mashsháq ḳhánazádoṉ ko lekar Dán tak un ká ta‘áqqub kiyá. 15Aur rát ko us ne aur us ke ḳhádimoṉ ne g̣ol g̣ol hokar un par dháwá kiyá aur un ko márá, aur Ḳhúbah tak, jo Damishq ke báeṉ háth hai, un ká píchhá kiyá. 16Aur wuh sáre mál ko, aur apne bháí Lút ko aur us ke mál, aur ‘auratoṉ ko bhí aur âur logoṉ ko wápas pher láyá. 17Aur jab wuh Kidarlá‘umr aur us ke sáth ke bádsháhoṉ ko márkar phirá, to Sadúm ká bádsháh us ke istiqbál ko Sawí kí wádí tak, jo bádsháhí wádí hai, áyá. 18Aur Malik i Sidq, Sálim ká bádsháh, roṭí aur mai láyá; aur wuh Ḳhudá Ta‘álá ká káhin thá; 19aur us ne us ko barakat dekar kahá, ki Ḳhudá Ta‘álá kí taraf se, jo ásmán aur zamín ká málik hai, Abrám mubárak ho; 20aur mubárak hai Ḳhudá Ta‘álá, jis ne tere dushmanoṉ ko tere háth meṉ kar diyá. Tab Abrám ne sab ká daswáṉ hissa us ko diyá. 21Aur Sadúm ke bádsháh ne Abrám se kahá, ki Ádmíoṉ ko mujhe de de, aur mál apne liye rakh le. 22Par Abrám ne Sadúm ke bádsháh se kahá, ki Maiṉ ne Ḳhudáwand Ḳhudá Ta‘álá, ásmán aur zamín ke málik kí qasam kháí hai, 23ki maiṉ na to koí dhágá, na jútí ká tasma, na terí âur koí chíz lúṉ, táki tú yih na kah sake, ki Maiṉ ne Abrám ko daulatmand baná diyá: 24siwá us ke jo jawánoṉ ne khá liyá, aur un ádmíoṉ ke hisse ke, jo mere sáth gaye: so ‘Áner aur Iskál aur Mamre apná apná hissa le leṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 14: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia