Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 19

19
1Aur wuh donoṉ firishte shám ko Sadúm meṉ áe; aur Lút Sadúm ke pháṭak par baiṭhá thá: aur Lút un ko dekhkar un ke istiqbál ke liye uṭhá; aur zamín tak jhuká; 2aur kahá, Ai mere ḳhudáwando, apne ḳhádim ke ghar tashríf le chaliye, aur rát bhar árám kíjiye, aur apne páṉw dhoiye, aur subh uṭhkar apní ráh líjiye. Aur unhoṉ ne kahá, Nahíṉ, ham chauk hí meṉ rát káṭ leṉge. 3Lekin jab wuh bahut bajidd húá to wuh us ke sáth chalkar us ke ghar meṉ áe; aur us ne un ke liye ziyáfat taiyár kí, aur beḳhamírí roṭí pakáí aur unhoṉ ne kháyá. 4Aur is se peshtar ki wuh árám karne ke liye leṭeṉ, Sadúm shahr ke mardoṉ ne, jawán se lekar buḍḍhe tak, sab logoṉ ne har taraf se us ghar ko gher liyá. 5Aur unhoṉ ne Lút ko pukárkar us se kahá, ki Wuh mard, jo áj rát tere háṉ áe, kaháṉ haiṉ? Un ko hamáre pás báhar le á, táki ham un se suhbat kareṉ. 6Tab Lút nikalkar un ke pás darwáze par gayá, aur apne píchhe kiwáṛ band kar diyá. 7Aur kahá, ki Ai bháiyo, aisí badí to na karo. 8Dekho, merí do beṭiyáṉ haiṉ, jo mard se wáqif nahíṉ; marzí ho, to maiṉ un ko tumháre pás le áúṉ, aur jo tum ko bhalá ma‘lúm ho, un se karo: magar in mardoṉ se kuchh na karná; kyúṉki wuh isí wáste merí panáh meṉ áe haiṉ. 9Unhoṉ ne kahá, Yaháṉ se haṭ já. Phir kahne lage, ki Yih shaḳhs hamáre darmiyán qiyám karne áyá thá aur ab hukúmat jatátá hai, so ham tere sáth un se ziyáda badsulúkí kareṉge. Tab wuh us mard, ya‘ní Lút par pil paṛe, aur nazdík áe táki kiwáṛ toṛ ḍáleṉ. 10Lekin un mardoṉ ne apne háth baṛhákar Lút ko apne pás ghar meṉ kheṉch liyá, aur darwáza band kar diyá. 11Aur un mardoṉ ko, jo ghar ke darwáze par the, kyá chhoṭe, kyá baṛe, andhá kar diyá: so wuh darwáza ḍhúṉḍhte ḍhúṉḍhte thak gaye. 12Tab un mardoṉ ne Lút se kahá, Kyá yaháṉ terá âur koí hai? dámád, aur apne beṭoṉ aur beṭiyoṉ aur jo koí terá is shahr meṉ ho, sab ko is maqám se báhar nikál le já: 13kyúṉki ham is maqám ko nest kareṉge, is liye ki un ká shor Ḳhudáwand ke huzúr bahut baland húá hai, aur Ḳhudáwand ne use nest karne ko hameṉ bhejá hai. 14Tab Lút ne báhar jákar apne dámádoṉ se, jinhoṉ ne us kí beṭiyáṉ biyáhí thíṉ, báteṉ kíṉ aur kahá, ki Uṭho, aur is maqám se niklo; kyúṉki Ḳhudáwand is shahr ko nest karegá. Lekin wuh apne dámádoṉ kí nazar meṉ muzhik sá ma‘lúm húá. 15Jab subh húí to firishtoṉ ne Lút se jaldí karáí aur kahá, ki Uṭh, apní bíwí, aur apní donoṉ beṭiyoṉ ko jo yaháṉ haiṉ le já, aisá na ho ki tú bhí is shahr kí badí meṉ giriftár hokar halák ho jáe. 16Magar us ne derí lagáí, to un mardoṉ ne us ká, aur us kí bíwí, aur us kí donoṉ beṭiyoṉ ká háth pakṛá; kyúṉki Ḳhudáwand kí mihrbání us par húí: aur use nikálkar shahr se báhar kar diyá. 17Aur yúṉ húá ki jab wuh un ko báhar nikál láe, to us ne kahá, Apní ján bacháne ko bhág; na to píchhe muṛkar dekhná; na kahíṉ maidán meṉ ṭhahrná. Us paháṛ ko chalá já, tá na ho ki tú halák ho jáe. 18Aur Lút ne un se kahá, ki Ai mere Ḳhudáwand, aisá na kar. 19Dekh, tú ne apne ḳhádim par karam kí nazar kí hai, aur aisá baṛá fazl kiyá, ki merí ján bacháí; maiṉ paháṛ tak já nahíṉ saktá, kahíṉ aisá na ho ki mujh par musíbat á paṛe aur maiṉ mar jáúṉ. 20Dekh, yih shahr aisá nazdík hai, ki waháṉ bhág saktá húṉ, aur yih chhoṭá bhí hai. Ijázat ho to maiṉ waháṉ chalá jáúṉ. Wuh chhoṭá sá bhí hai, aur merí ján bach jáegí. 21Us ne us se kahá, ki Dekh, maiṉ is bát meṉ bhí terá liház kartá húṉ ki is shahr ko, jis ká tú ne zikr kiyá, g̣árat nahíṉ karúṉgá. 22Jaldí kar, aur waháṉ chalá já, kyúṉki maiṉ kuchh nahíṉ kar saktá jab tak ki tú waháṉ pahuṉch na jáe. Isí liye us shahr ká nám Zug̣r kahláyá. 23Aur zamín par dhúp nikal chukí thí jab Lút Zug̣r meṉ dáḳhil húá. 24Tab Ḳhudáwand ne apní taraf se Sadúm aur ‘Amúrah par gandhak aur ág ásmán se barsáí. 25Aur us ne un shahroṉ ko, aur us sárí taráí ko, aur un shahroṉ ke sab rahnewáloṉ ko, aur sab kuchh jo zamín se ugá thá, g̣árat kiyá. 26Magar us kí bíwí ne us ke píchhe se muṛkar dekhá, aur wuh namak ká sutún ban gayí. 27Aur Abrahám subh sawere uṭhkar us jagah gayá, jaháṉ wuh Ḳhudáwand ke huzúr khaṛá húá thá: 28aur us ne Sadúm aur ‘Amúrah, aur us taráí kí sárí zamín kí taraf nazar kí, aur kyá dekhtá hai, ki zamín par se dhuwáṉ aisá uṭh rahá hai, jaise bhaṭṭí ká dhuwáṉ.
29Aur yúṉ húá ki jab Ḳhudá ne us taráí ke shahroṉ ko nest kiyá, to Ḳhudá ne Abrahám ko yád kiyá, aur un shahroṉ ko, jaháṉ Lút rahtá thá, g̣árat karte waqt Lút ko us balá se bacháyá.
30Aur Lút Zug̣r se nikalkar paháṛ par já basá, aur us kí donoṉ beṭiyáṉ us ke sáth thíṉ, kyúṉki use Zug̣r meṉ baste ḍar lagá, aur wuh aur us kí donoṉ beṭiyáṉ ek g̣ár meṉ rahne lage. 31Tab pahlauṭhí ne chhoṭí se kahá, ki Hamárá báp buḍḍhá hai, aur zamín par koí mard nahíṉ, jo dunyá ke dastúr ke mutábiq hamáre pás áe. 32Áo, ham apne báp ko mai piláeṉ, aur us se hamág̣osh hoṉ táki apne báp se nasl báqí rakkheṉ. 33So unhoṉ ne usí rát apne báp ko mai piláí: aur pahlauṭhí andar gayí, aur apne báp se hamág̣osh húí; par us ne na jáná ki wuh kab leṭí aur kab uṭh gayí. 34Aur dúsre roz yúṉ húá, ki pahlauṭhí ne chhoṭí se kahá, ki Dekh, kal rát ko maiṉ apne báp se hamágosh húí: áo, áj rát bhí us ko mai piláeṉ; aur tú bhí jákar us se hamág̣osh ho, táki ham apne báp se nasl báqí rakkheṉ. 35So us rát bhí unhoṉ ne apne báp ko mai piláí: aur chhoṭí gayí aur us se hamág̣osh húí; par us ne na jáná ki wuh kab leṭí aur kab uṭh gayí. 36So Lút kí donoṉ beṭiyáṉ apne báp se hámila húíṉ. 37Aur baṛí ke ek beṭá húá, aur us ne us ká nám Moáb rakkhá: wuhí Moábíoṉ ká báp hai, jo ab tak maujúd haiṉ. 38Aur chhoṭí ke bhí ek beṭá húá, aur us ne us ká nám Bin ‘Ammí rakkhá: wuhí Baní ‘Ammon ká báp hai jo ab tak maujúd haiṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 19: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia