Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 21

21
1Aur Ḳhudáwand ne, jaisá us ne farmáyá thá, Sárah par nazar kí: aur us ne apne wa‘de ke mutábiq Sárah se kiyá. 2So Sárah hámila húí, aur Abrahám ke liye us ke buṛhápe meṉ, usí mu‘aiyan waqt par jis ká zikr Ḳhudá ne us se kiyá thá, us ke beṭá húá. 3Aur Abrahám ne apne beṭe ká nám, jo us se Sárah ke paidá húá, Izháq rakkhá. 4Aur Abrahám ne, Ḳhudá ke hukm ke mutábiq, apne beṭe Izháq ká ḳhatna us waqt kiyá jab wuh áṭh din ká húá. 5Aur jab us ká beṭá Izháq us se paidá húá, to Abrahám sau baras ká thá. 6Aur Sárah ne kahá, ki Ḳhudá ne mujhe haṉsáyá, aur sab sunnewále mere sáth haṉseṉge. 7Aur yih bhí kahá, ki Bhalá, koí Abrahám se kah sakta thá, ki Sárah laṛkoṉ ko dúdh piláegí? kyúṉki us se us ke buṛhápe meṉ mere ek beṭá húá.
8Aur wuh laṛká baṛhá, aur us ká dúdh chhuṛáyá gayá: aur Izháq ke dúdh chhuṛáne ke din Abrahám ne baṛí ziyáfat kí. 9Aur Sárah ne dekhá, ki Hájirah Misrí ká beṭá, jo us ke Abrahám se húá thá, ṭhaṭṭhe mártá hai. 10Tab us ne Abrahám se kahá, ki Is lauṉḍí ko aur us ke beṭe ko nikál de: kyúṉki is lauṉḍí ká beṭá mere beṭe Izháq ke sáth wáris na hogá. 11Par Abrahám ko us ke beṭe ke bá‘is yih bát niháyat burí ma‘lúm húí. 12Aur Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Tujhe is laṛke aur apní lauṉḍí ke bá‘is burá na lage; jo kuchh Sárah tujh se kahtí hai, tú us kí bát mán, kyúṉki Izháq se terí nasl ká nám chalegá. 13Aur is lauṉḍí ke beṭe se bhí maiṉ ek qaum paidá karúṉgá, is liye ki wuh terí nasl hai. 14Tab Abrahám ne subh sawere uṭhkar roṭí aur pání kí ek mashk lí, aur use Hájirah ko diyá, balki use us ke kandhe par dhar diyá, aur laṛke ko bhí us ke hawále karke use ruḳhsat kar diyá; so wuh chalí gayí aur Baírsaba‘ ke biyábán meṉ áwára phirne lagí. 15Aur jab mashk ká pání ḳhatm ho gayá, to us ne laṛke ko ek jháṛí ke níche ḍál diyá, 16aur áp us ke muqábil ek tír ke ṭappe par dúr já baiṭhí: aur kahne lagí, ki Maiṉ is laṛke ká marná to na dekhúṉ. So wuh us ke múqabil baiṭh gayí aur chillá chillákar rone lagí. 17Aur Ḳhudá ne us laṛke kí áwáz suní; aur Ḳhudá ke firishte ne ásmán se Hájirah ko pukárá, aur us se kahá, Ai Hájirah, tujh ko kyá húá? mat ḍar, kyúṉki Ḳhudá ne us jagah se jaháṉ laṛká paṛá hai us kí áwáz sun lí hai. 18Uṭh, aur laṛke ko uṭhá, aur use apne háth se sambhál: kyúṉki maiṉ us ko ek baṛí qaum banáúṉgá. 19Phir Ḳhudá ne us kí áṉkheṉ kholíṉ, aur us ne pání ká ek kúáṉ dekhá; aur jákar mashk ko pání se bhar liyá, aur laṛke ko piláyá. 20Aur Ḳhudá us laṛke ke sáth thá; aur wuh baṛá húá, aur biyábán meṉ rahne lagá, aur tírandáz baná. 21Aur wuh Fárán ke biyábán meṉ rahtá thá: aur us kí máṉ ne mulk i Misr se us ke liye bíwí lí.
22Phir us waqt yúṉ húá, ki Abímalik aur us ke lashkar ke sardár Fíkul ne Abrahám se kahá, ki Har kám meṉ, jo tú kartá hai, Ḳhudá tere sáth hai; 23is liye tú ab mujh se Ḳhudá kí qasam khá, ki tú na mujh se, na mere beṭe se, aur na mere pote se, dagá karegá; balki jo mihrbání maiṉ ne tujh par kí hai waisí hí tú bhí mujh par, aur is mulk par, jis meṉ tú ne qiyám kiyá hai, karegá. 24Tab Abrahám ne kahá, Maiṉ qasam kháúṉgá. 25Aur Abrahám ne pání ke ek kúeṉ kí wajh se, jise Abímalik ke naukaroṉ ne zabardastí chhín liyá thá, Abímalik ko jhiṛká. 26Abímalik ne kahá, Mujhe ḳhabar nahíṉ, ki kis ne yih kám kiyá: aur tú ne bhí mujhe nahíṉ batáyá aur na maiṉ ne áj se pahle is kí bábat kuchh suná. 27Phir Abrahám ne bheṛ bakriyáṉ, aur gáe bail lekar Abímalik ko diye; aur donoṉ ne ápas meṉ ‘ahd kiyá. 28Aur Abrahám ne bheṛ ke sát máda bachchoṉ ko lekar alag rakkhá. 29Aur Abímalik ne Abrahám se kahá, ki Bheṛ ke in sát máda bachchoṉ ko alag rakhne se terá matlab kyá hai? 30Us ne kahá, ki Bheṛ ke in sátoṉ máda bachchoṉ ko tú mere háth se le, táki wuh mere gawáh hoṉ, ki maiṉ ne yih kúáṉ khodá. 31Isí liye us ne us maqám ká nám Baír Saba‘ rakkhá; kyúṉki wahíṉ un donoṉ ne qasam kháí. 32So unhoṉ ne Baír Saba‘ meṉ ‘ahd kiyá; tab Abímalik aur us ke lashkar ká sardár Fíkul donoṉ uṭh khaṛe húe aur Filistíoṉ ke mulk ko lauṭ gaye. 33Tab Abrahám ne Baír Saba‘ meṉ jháú ká ek daraḳht lagáyá, aur waháṉ us ne Ḳhudáwand se, jo abadí Ḳhudá hai, du‘á kí. 34Aur Abrahám bahut dinoṉ tak Filistíoṉ ke mulk meṉ rahá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 21: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia