Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 25

25
1Aur Abrahám ne phir ek âur bíwí kí, jis ká nám Qatúrah thá. 2Aur us se Zimrán, aur Yuqsán, aur Midán, aur Midyán, aur Isbáq, aur Súḳh paidá húe. 3Aur Yuqsán se Sibá, aur Dadán, paidá húe. Aur Dadán kí aulád se Asúrí, aur Latúsí, aur Lumí the. 4Aur Midyán ke beṭe ‘Aifah, aur ‘Ifir, aur Hanúk, aur Abídá‘, aur Ildu‘á the. Yih sab Baní Qatúrah the. 5Aur Abrahám ne apná sab kuchh Izháq ko diyá; 6aur apní haramoṉ ke beṭoṉ ko, Abrahám ne bahut kuchh in‘ám dekar apne jíte jí un ko apne beṭe Izháq ke pás se mashriq kí taraf, ya‘ní mashriq ke mulk meṉ, bhej diyá. 7Aur Abrahám kí kull ‘umr jab tak wuh jítá rahá, ek sau pachhattar baras kí húí. 8Tab Abrahám ne dam chhoṛ diyá aur ḳhúb buṛhápe meṉ, niháyat za‘íf aur púrí ‘umr ká hokar, wafát páí, aur apne logoṉ meṉ já milá. 9Aur us ke beṭe Izháq aur Ismá‘íl ne Makfílah ke g̣ár meṉ, jo Mamre ke sámne Hittí Suhr ke beṭe ‘Ifron ke khet meṉ hai, use dafn kiyá. 10Yih wuhí khet hai jise Abrahám ne Baní Hitt se ḳharídá thá; wahíṉ Abrahám aur us kí bíwí Sárah dafn húe. 11Aur Abrahám kí wafát ke ba‘d Ḳhudá ne us ke beṭe Izháq ko barakat baḳhshí; aur Izháq Baír Lahai Roí ke nazdík rahtá thá.
12Yih nasabnáma Abrahám ke beṭe Ismá‘íl ká hai, jo Abrahám se Sárah kí lauṉḍí Hájirah Misrí ke batn se paidá húá. 13Aur Ismá‘íl ke beṭoṉ ke nám yih haiṉ, yih nám tartíbwár un kí paidáish ke mutábiq haiṉ: Ismá‘íl ká pahlauṭhá Nabáyot thá, phir Qídár, aur Adbiel, aur Mibsám, 14aur Mishmá‘, aur Dúmah, aur Massá, 15Hadad, aur Taimá, aur Itúr, aur Nafís, aur Qidmah. 16Yih Ismá‘íl ke beṭe haiṉ, aur in hí ke námoṉ se in kí bastiyáṉ aur cháoniyáṉ námzad húíṉ; aur yihí bárah apne apne qabíle ke sardár húe. 17Aur Ismá‘íl kí kull ‘umr ek sau saiṉtís baras kí húí; tab us ne dam chhoṛ diyá aur wafát páí, aur apne logoṉ meṉ já milá. 18Aur us kí aulád Hawílah se Shor tak, jo Misr ke sámne us ráste par hai, jis se Asúr ko játe haiṉ, ábád thí. Yih log apne sab bháiyoṉ ke sámne base húe the.
19Aur Abrahám ke beṭe Izháq ká nasabnáma yih hai: Abrahám se Izháq paidá húá: 20Izháq chálís baras ká thá, jab us ne Ribqah se biyáh kiyá jo Faddán Arám ke báshinda Baitúel Arámí kí beṭí, aur Lában Arámí kí bahin thí. 21Aur Izháq ne apní bíwí ke liye Ḳhudáwand se du‘á kí, kyúṉki wuh báṉjh thí: aur Ḳhudáwand ne us kí du‘á qubúl kí; aur us kí bíwí Ribqah hámila húí. 22Aur us ke peṭ meṉ do laṛke ápas meṉ muzáhamat karne lage: tab us ne kahá, Agar aisá hí hai to maiṉ jítí kyúṉ húṉ? Aur wuh Ḳhudáwand se púchhne gayí. 23Ḳhudáwand ne us se kahá,
Do qaumeṉ tere peṭ meṉ haiṉ,
Aur do qabíle tere batn se nikalte hí alag alag ho jáeṉge,
Aur ek qabíla dúsre qabíle se zoráwar hogá;
Aur baṛá chhoṭe kí ḳhidmat karegá.
24Aur jab us ke waza‘ i haml ke din púre húe, to kyá dekhte haiṉ, ki us ke peṭ meṉ tauam haiṉ. 25Aur pahlá jo paidá húá to surḳh thá aur úpar se aisá jaise pashmína, aur unhoṉ ne us ká nám ‘Esau rakkhá. 26Us ke ba‘d us ká bháí paidá húá, aur us ká háth ‘Esau kí eṛí ko pakṛe húe thá; aur us ká nám Ya‘qúb rakkhá gayá: jab wuh Ribqah se paidá húe, to Izháq sáṭh baras ká thá. 27Aur wuh laṛke baṛhe: aur ‘Esau shikár meṉ máhir ho gayá, aur jangal meṉ rahne lagá, aur Ya‘qúb sáda mizáj ḍeroṉ meṉ rahnewálá ádmí thá. 28Aur Izháq ‘Esau ko piyár kartá thá, kyúṉki wuh us ke shikár ká gosht khátá thá: aur Ribqah Ya‘qúb ko piyár kartí thí. 29Aur Ya‘qúb ne dál pakáí: aur ‘Esau jangal se áyá, aur bedam ho rahá thá. 30Aur ‘Esau ne Ya‘qúb se kahá, ki Yih jo lál lál hai mujhe khilá de, kyúṉki maiṉ bedam ho rahá húṉ. Isí liye us ká nám Adom bhí ho gayá. 31Tab Ya‘qúb ne kahá, Tú áj apne pahlauṭhe ká haqq mere háth bech de. 32‘Esau ne kahá, Dekh, maiṉ to mará játá húṉ: pahlauṭhe ká haqq mere kis kám áegá? 33Tab Ya‘qúb ne kahá, ki Áj hí mujh se qasam khá: us ne us se qasam kháí: aur us ne apná pahlauṭhe ká haqq Ya‘qúb ke háth bech diyá. 34Tab Ya‘qúb ne ‘Esau ko roṭí aur masúr kí dál dí; wuh khá píkar uṭhá aur chalá gayá. Yúṉ ‘Esau ne apne pahlauṭhe ke haqq ko náchíz jáná.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 25: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia