Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 29

29
1Aur Ya‘qúb áge chalkar mashriqí logoṉ ke mulk meṉ pahuṉchá. 2Aur us ne dekhá, ki maidán meṉ ek kúáṉ hai, aur kúeṉ ke nazdík bheṛ bakriyoṉ ke tín rewaṛ baiṭhe haiṉ; kyúṉki charwáhe isí kúeṉ se rewaṛoṉ ko pání piláte the; aur kúeṉ ke muṉh par ek baṛá patthar dhará rahtá thá. 3Aur jab sab rewaṛ waháṉ ikaṭṭhe hote the, tab wuh us patthar ko kúeṉ ke muṉh par se ḍhalkáte aur bheṛoṉ ko pání pilákar us patthar ko phir usí jagah kúeṉ ke muṉh par rakh dete the. 4Tab Ya‘qúb ne un se kahá, Ai mere bháiyo, tum kaháṉ ke ho? Unhoṉ ne kahá, Ham Hárán ke haiṉ. 5Phir us ne púchhá, ki Tum Nahúr ke beṭe Lában se wáqif ho? Unhoṉ ne kahá, Ham wáqif haiṉ. 6Us ne púchhá, Kyá wuh ḳhairiyat se hai? Unhoṉ ne kahá, Ḳhairiyat se hai: aur dekh, us kí beṭí Ráḳhil bheṛ bakriyoṉ ke sáth chalí átí hai. 7Aur us ne kahá, Dekho, abhí to din bahut hai aur chaupáyoṉ ke jama‘ hone ká waqt nahíṉ. Tum bheṛ bakriyoṉ ko pání pilákar phir charáne ko le jáo. 8Unhoṉ ne kahá, Ham aisá nahíṉ kar sakte, jab tak ki sab rewaṛ jama‘ na ho jáeṉ; tab ham us patthar ko kúeṉ ke muṉh par se ḍhalkáte haiṉ, aur bheṛ bakriyoṉ ko pání piláte haiṉ. 9Wuh un se báteṉ kar hí rahá thá, ki Ráḳhil apne báp kí bheṛ bakriyoṉ ke sáth áí, kyúṉki wuh un ko charáyá kartí thí. 10Jab Ya‘qúb ne apne mámúṉ Lában kí beṭí Ráḳhil ko, aur apne mámúṉ Lában ke rewaṛ ko dekhá, to wuh nazdík gayá, aur patthar ko kúeṉ ke muṉh par se ḍhalkákar apne mámúṉ Lában ke rewaṛ ko pání piláyá. 11Aur Ya‘qúb ne Ráḳhil ko chúmá, aur chillá chillákar royá. 12Aur Ya‘qúb ne Ráḳhil se kahá, ki Maiṉ tere báp ká rishtadár, aur Ribqah ká beṭá húṉ. Tab us ne ḍaurkar apne báp ko ḳhabar dí. 13Lában apne bháṉje kí ḳhabar páte hí us se milne ko dauṛá, aur us ko gale lagáyá, aur chúmá, aur use apne ghar láyá. Tab us ne Lában ko apná sárá hál batáyá. 14Lában ne use kahá, ki Tú wáqa‘í merí haḍḍí aur merá gosht hai. So wuh ek mahína us ke sáth rahá. 15Tab Lában ne Ya‘qúb se kahá, Chúṉki tú merá rishtadár hai, to kyá is liye lázim hai ki tú merí ḳhidmat muft kare? So mujhe batá, ki terí ujrat kyá hogí? 16Aur Lában kí do beṭiyáṉ thíṉ; baṛí ká nám Leáh, aur chhoṭí ká nám Ráḳhil thá. 17Leáh kí áṉkheṉ chundhí thíṉ, par Ráḳhil hasín aur ḳhúbsúrat thí. 18Aur Ya‘qúb Ráḳhil par farefta thá: so us ne kahá, ki Terí chhoṭí beṭí Ráḳhil kí ḳhátir maiṉ sát baras terí ḳhidmat kar dúṉgá. 19Lában ne kahá, Use g̣air ádmí ko dene kí jagah to tujhí ko dená bihtar hai. Tú mere pás rah. 20Chunáṉchi Ya‘qúb sát baras tak Ráḳhil kí ḳhátir ḳhidmat kartá rahá; par wuh use Ráḳhil kí mahabbat ke sabab se chand dinoṉ ke barábar ma‘lúm húe. 21Aur Ya‘qúb ne Lában se kahá, ki Merí muddat púrí ho gayí, so merí bíwí mujhe de, táki maiṉ us ke pás jáúṉ. 22Tab Lában ne us jagah ke sab logoṉ ko bulákar jama‘ kiyá, aur un kí ziyáfat kí. 23Aur jab shám húí to apní beṭí Leáh ko us ke pás le áyá, aur Ya‘qúb us se hamág̣osh húá. 24Aur Lában ne apní lauṉḍí Zilfah apní beṭí Leáh ke sáth kar dí, ki us kí lauṉḍí ho. 25Jab subh ko ma‘lúm húá ki Yih to Leáh hai, tab us ne Lában se kahá, ki Tú ne mujh se yih kyá kiyá? Kyá maiṉ ne jo terí ḳhidmat kí, wuh Ráḳhil kí ḳhátir na thí? Phir tú ne kyúṉ mujhe dhoká diyá? 26Lában ne kahá, Hamáre mulk meṉ yih dastúr nahíṉ, ki pahlauṭhí se pahle chhoṭí ko biyáh deṉ. 27Tú is ká hafta púrá kar de, phir ham dúsrí bhí tujhe de deṉge, jis kí ḳhátir tujhe sát baras âur merí ḳhidmat karní hogí. 28Ya‘qúb ne aisá hí kiyá, ki Leáh ká hafta púrá kiyá; tab Lában ne apní beṭí Ráḳhil bhí use biyáh dí, 29aur apní lauṉḍí Bilháh apní beṭí Ráḳhil ke sáth kar dí, ki us kí lauṉḍí ho. 30So wuh Ráḳhil se bhí hamág̣osh húá, aur wuh Leáh se ziyáda Ráḳhil ko cháhtá thá, aur sát baras âur sáth rahkar Lában kí ḳhidmat kí.
31Aur jab Ḳhudáwand ne dekhá, ki Leáh se nafrat kí gayí, to us ne us ká rihm kholá, magar Ráḳhil báṉjh rahí. 32Aur Leáh hámila húí, aur us ke beṭá húá, aur us ne us ká nám Rúbin rakkhá; kyúṉki us ne kahá, ki Ḳhudáwand ne merá dukh dekh liyá, so merá shauhar ab mujhe piyár karegá. 33Wuh phir hámila húí, aur us ke beṭá húá. Tab us ne kahá, ki Ḳhudáwand ne suná, ki mujh se nafrat kí gayí, is liye us ne mujhe yih bhí baḳhshá. So us ne us ká nám Shama‘ún rakkhá. 34Aur wuh phir hámila húí aur us ke beṭá húá. Tab us ne kahá, ki Ab is bár mere shauhar ko mujh se lagan hogí, kyúṉki us se mere tín beṭe húe. Is liye us ká nám Láwí rakkhá gayá. 35Aur wuh phir hámila húí, aur us ke beṭá húá. Tab us ne kahá, ki Ab maiṉ Ḳhudáwand kí sitáish karúṉgí: is liye us ká nám Yahúdáh rakkhá. Phir us ke aulád hone meṉ tawaqquf húá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 29: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia