Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 31

31
1Aur us ne Lában ke beṭoṉ kí yih báteṉ suníṉ, ki Ya‘qúb ne hamáre báp ká sab kuchh le liyá, aur hamáre báp ke mál kí badaulat us kí yih sárí shán o shaukat hai. 2Aur Ya‘qúb ne Lában ke chihre ko dekhkar táṛ liyá ki us ká ruḳh pahle se badlá húá hai. 3Aur Ḳhudáwand ne Ya‘qúb se kahá, ki Tú apne bápdádá ke mulk ko aur apne rishtadároṉ ke pás lauṭ já, aur maiṉ tere sáth rahúṉgá. 4Tab Ya‘qúb ne Ráḳhil aur Leáh ko, maidán meṉ, jaháṉ us kí bheṛ bakriyáṉ thíṉ, bulwáyá, 5aur un se kahá, Maiṉ dekhtá húṉ, ki tumháre báp ká ruḳh pahle se badlá húá hai, par mere báp ká Ḳhudá mere sáth rahá. 6Tum to jántí ho, ki maiṉ ne apne maqdúr bhar tumháre báp kí ḳhidmat kí hai. 7Lekin tumháre báp ne mujhe dhoká de dekar das bár merí mazdúrí badlí; par Ḳhudá ne us ko mujhe nuqsán pahuṉcháne na diyá. 8Jab us ne yih kahá, ki Chitle bachche terí ujrat hoṉge, to bheṛ bakriyáṉ chitle bachche dene lagíṉ. Aur jab kahá, ki Dhárídár bachche tere hoṉge, to bheṛ bakriyoṉ ne dhárídár bachche diye. 9Ḳhudá ne tumháre báp ke jánwar lekar mujhe de diye. 10Aur jab bheṛ bakriyáṉ gábhan húíṉ, to maiṉ ne ḳhwáb meṉ dekhá, ki jo bakre bakriyoṉ par chaṛh rahe haiṉ, so dhárídár, chitle aur chitkabre haiṉ. 11Aur Ḳhudá ke firishte ne ḳhwáb meṉ mujh se kahá, Ai Ya‘qúb. Maiṉ ne kahá, Maiṉ házir húṉ. 12Tab us ne kahá, ki Ab tú apní áṉkh uṭhákar dekh, ki sab bakre jo bakríoṉ par chaṛh rahe haiṉ dhárídár, chitle aur chitkabre haiṉ; kyúṉki jo kuchh Lában tujh se kartá hai, maiṉ ne dekhá. 13Maiṉ Baitel ká Ḳhudá húṉ, jaháṉ tú ne sutún par tel ḍálá, aur merí mannat mání; pas ab uṭh aur is mulk se nikalkar apní zádbúm ko lauṭ já. 14Tab Ráḳhil aur Leáh ne use jawáb diyá, Kyá ab bhí hamáre báp ke ghar meṉ kuchh hamárá baḳhra yá mírás hai? 15Kyá wuh ham ko ajnabí ke barábar nahíṉ samajhtá? kyúṉki us ne ham ko bhí bech ḍálá aur hamáre rupaye bhí khá baiṭhá. 16Is liye ab jo daulat Ḳhudá ne hamáre báp se lí, wuh hamárí aur hamáre farzandoṉ kí hai. Pas jo kuchh Ḳhudá ne tujh se kahá hai, wuhí kar. 17Tab Ya‘qúb ne uṭhkar apne bál bachchoṉ aur bíwiyoṉ ko úṉṭoṉ par biṭháyá; 18aur apne sab jánwaroṉ aur mál o asbáb ko, jo us ne ikaṭṭhá kiyá thá, ya‘ní wuh jánwar jo use Faddán-Arám meṉ ujrat meṉ mile the lekar chalá, táki mulk i Kan‘án meṉ apne báp Izháq ke pás jáe. 19Aur Lában apní bheṛoṉ kí pashm katarne ko gayá húá thá: so Ráḳhil apne báp ke butoṉ ko churá le gayí. 20Aur Ya‘qúb Lában Arámí ke pás se chorí se chalá gayá, kyúṉki use us ne apne bhágne kí ḳhabar na dí. 21So wuh apná sab kuchh lekar bhágá; aur daryá pár hokar apná ruḳh koh i Jili‘ád kí taraf kiyá.
22Aur tísre din Lában ko ḳhabar húí, ki Ya‘qúb bhág gayá. 23Tab us ne apne bháiyoṉ ko hamráh lekar sát manzil tak us ká ta‘áqqub kiyá, aur Jili‘ád ke paháṛ par use já pakṛá. 24Aur rát ko Ḳhudá Lában Arámí ke pás ḳhwáb meṉ áyá, aur us se kahá, ki Ḳhabardár, tú Ya‘qúb ko burá yá bhalá, kuchh na kahná. 25Aur Lában Ya‘qúb ke barábar já pahuṉchá. Aur Ya‘qúb ne apná ḳhaima paháṛ par khaṛá kar rakkhá thá; so Lában ne bhí apne bháiyoṉ ke sáth Jili‘ád ke paháṛ par ḍerá lagá liyá. 26Tab Lában ne Ya‘qúb se kahá, ki Tú ne yih kyá kiyá, ki mere pás se chorí se chalá áyá, aur merí beṭiyoṉ ko bhí is tarah le áyá goyá wuh talwár se asír kí gayí haiṉ? 27Tú chhipkar kyúṉ bhágá, aur mere pás se chorí se kyúṉ chalá áyá, aur mujhe kuchh kahá bhí nahíṉ; warna maiṉ tujhe ḳhushí ḳhushí table aur barbat ke sáth gáte bajáte rawána kartá? 28Aur mujhe apne beṭoṉ aur beṭiyoṉ ko chúmne bhí na diyá? yih tú ne behúda kám kiyá. 29Mujh meṉ itná maqdúr hai, ki tum ko dukh dúṉ; lekin tere báp ke Ḳhudá ne kal rát mujhe yúṉ kahá, ki Ḳhabardár, tú Ya‘qúb ko burá yá bhalá, kuchh na kahná. 30Ḳhair, ab tú chalá áyá to chalá áyá, kyúṉki tú apne báp ke ghar ká bahut mushtáq hai; lekin mere butoṉ ko kyúṉ churá láyá? 31Tab Ya‘qúb ne Lában se kahá, Is liye ki maiṉ ḍará: kyúṉki maiṉ ne sochá, ki kahíṉ tú apní beṭiyoṉ ko jabran mujh se chhín na le. 32Ab jis ke pás tujhe tere but mileṉ, wuh jítá nahíṉ bachegá. Terá jo kuchh mere pás nikle, use in bháiyoṉ ke áge pahchánkar le le. Kyúṉki Ya‘qúb ko ma‘lúm na thá ki Ráḳhil un butoṉ ko churá láí hai. 33Chunáṉchi Lában Ya‘qúb aur Leáh aur donoṉ lauṉḍiyoṉ ke ḳhaimoṉ meṉ gayá; par un ko waháṉ na páyá. Tab wuh Leáh ke ḳhaime se nikalkar Ráḳhil ke ḳhaime meṉ dáḳhil húá. 34Aur Ráḳhil un butoṉ ko lekar aur un ko úṉṭ ke kajáwe meṉ rakhkar un par baiṭh gayí thí. Aur Lában ne sáre ḳhaime meṉ ṭaṭol ṭaṭolkar dekh liyá, par un ko na páyá. 35Tab wuh apne báp se kahne lagí, ki Ai mere buzurg, tú is bát se náráz na honá, ki maiṉ tere áge uṭh nahíṉ saktí; kyúṉki maiṉ aise hál meṉ húṉ jo ‘auratoṉ ká húá kartá hai. So us ne ḍhúṉḍhá, par wuh but us ko na mile. 36Tab Ya‘qúb ne g̣azabnák hokar Lában ko malámat kí, aur Ya‘qúb Lában se kahne lagá, ki Merá kyá jurm aur kyá qusúr hai, ki tú ne aisí tundí se merá ta‘áqqub kiyá? 37Tú ne jo merá sárá asbáb ṭaṭol ṭaṭolkar dekh liyá, to mujhe tere ghar ke asbáb meṉ se kyá chíz milí? Agar kuchh hai, to use mere aur apne in bháiyoṉ ke áge rakh, ki wuh ham donoṉ ke darmiyán insáf kareṉ. 38Maiṉ púre bís baras tere sáth rahá; na to kabhí terí bheṛoṉ, aur bakriyoṉ ká gábh girá, aur na terí rewaṛ ke meṉḍhe maiṉ ne kháe. 39Jise darandoṉ ne pháṛá, maiṉ use tere pás na láyá; us ká nuqsán maiṉ ne sahá; jo din ko yá rát ko chorí gayá, use tú ne mujh se talab kiyá. 40Merá hál yih rahá, ki maiṉ din ko garmí, aur rát ko sardí meṉ mará; aur merí áṉkhoṉ se nínd dúr rahtí thí. 41Maiṉ bís baras tak tere ghar meṉ rahá; chaudah baras tak to maiṉ ne terí donoṉ beṭiyoṉ kí ḳhátir, aur chha baras tak terí bheṛ bakriyoṉ kí ḳhátir terí ḳhidmat kí: aur tú ne das bár merí mazdúrí badal ḍálí. 42Agar mere báp ká Ḳhudá, Abrahám ká Ma‘búd, jis ká ru‘b Izháq mántá thá, merí taraf na hotá, to zarúr hí tú ab mujhe ḳhálí háth jáne detá. Ḳhudá ne merí musíbat, aur mere háthoṉ kí mihnat dekhí hai, aur kal rát tujhe ḍáṉṭá bhí. 43Tab Lában ne Ya‘qúb ko jawáb diyá, ki Yih beṭiyáṉ merí aur yih laṛke bhí mere aur yih bheṛ bakriyáṉ bhí merí haiṉ, balki jo kuchh tujhe dikháí detá hai, wuh sab merá hí hai. So maiṉ áj ke din apní hí beṭiyoṉ se, yá un ke laṛkoṉ se, jo un ke húe, kyá kar saktá húṉ? 44Pas, ab á, ki maiṉ aur tú donoṉ milkar ápas meṉ ek ‘ahd báṉdheṉ, aur wuhí mere aur tere darmiyán gawáh rahe. 45Tab Ya‘qúb ne ek patthar lekar use sutún kí tarah khaṛá kiyá. 46Aur Ya‘qúb ne apne bháiyoṉ se kahá, ki Patthar jama‘ karo: unhoṉ ne patthar jama‘ karke ḍher lagá diyá, aur wahíṉ us ḍher ke pás unhoṉ ne kháná kháyá. 47Aur Lában ne us ká nám Yajr Sháhadúthá, aur Ya‘qúb ne Jili‘ád rakkhá. 48Aur Lában ne kahá, ki Yih ḍher áj ke din mere aur tere darmiyán gawáh ho. Isí liye us ká nám Jili‘ád rakkhá gayá, 49aur Misfáh bhí, kyúṉki Lában ne kahá, ki Jab ham ek dúsre se gairházir hoṉ, to Ḳhudáwand mere aur tere bích nigrání kartá rahe. 50Agar tú merí beṭiyoṉ ko dukh de, aur un ke siwá âur bíwiyáṉ kare, to koí ádmí hamáre sáth nahíṉ hai; par dekh, Ḳhudá mere aur tere bích meṉ gawáh hai. 51Lában ne Ya‘qúb se yih bhí kahá, ki Is ḍher ko dekh, aur is sutún ko dekh, jo maiṉ ne apne aur tere bích meṉ khaṛá kiyá hai: 52yih ḍher gawáh ho, aur yih sutún gawáh ho: zarar pahuṉcháne ke liye na to maiṉ is ḍher se udhar terí taraf tajáwuz karúṉ, aur na tú is ḍher aur sutún se idhar merí taraf tajáwuz kare. 53Abrahám ká Ḳhudá, aur Nahúr ká Ḳhudá, aur un ke báp ká Ḳhudá, hamáre bích meṉ insáf kare. Aur Ya‘qúb ne us Zát kí qasam kháí, jis ká ru‘b us ká báp Izháq mántá thá. 54Tab Ya‘qúb ne wahíṉ paháṛ par qurbání chaṛháí, aur apne bháiyoṉ ko kháne par buláyá: aur unhoṉ ne kháná kháyá aur rát paháṛ par káṭí. 55Aur Lában subh sawere uṭhá, aur apne beṭoṉ aur apní beṭiyoṉ ko chúmá, aur un ko du‘á dekar rawána ho gayá, aur apne makán ko lauṭá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 31: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia