Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 38

38
1Un hí dinoṉ meṉ aisá húá, ki Yahúdáh apne bháiyoṉ se judá hokar ek Adúllámí ádmí ke pás jis ká nám Hírah thá, gayá. 2Aur Yahúdáh ne waháṉ Súa‘ nám kisí Kan‘ání kí beṭí ko dekhá, aur us se biyáh karke us ke pás gayá. 3Wuh hámila húí, aur us ke ek beṭá húá jis ká nám us ne ‘Er rakkhá. 4Aur wuh phir hámila húí aur ek beṭá húá, aur us ká nám Onán rakkhá. 5Phir us ke ek âur beṭá húá, aur us ká nám Selah rakkhá; aur Yahúdáh Kazíb meṉ thá jab is ‘aurat ke yih laṛká húá. 6Aur Yahúdáh apne pahlauṭhá beṭe ‘Er ke liye ek ‘aurat biyáh láyá, jis ká nám Tamar thá. 7Aur Yahúdáh ká pahlauṭhá beṭá ‘Er Ḳhudáwand kí nigáh meṉ sharír thá: so Ḳhudáwand ne use halák kar diyá. 8Tab Yahúdáh ne Onán se kahá, ki Apne bháí kí bíwí ke pás já, aur dewar ká haqq adá kar, táki tere bháí ke nám se nasl chale. 9Aur Onán jántá thá ki Yih nasl merí na kahláegí: so yúṉ húá, ki jab wuh apne bháí kí bíwí ke pás játá to nutfe ko zamín par girá detá thá ki mabádá us ke bháí ke nám se nasl chale. 10Aur us ká yih kám Ḳhudáwand kí nazar meṉ bahut burá thá; is liye us ne use bhí halák kiyá. 11Tab Yahúdáh ne apní bahú Tamar se kahá, ki Mere beṭe Selah ke bálig̣ hone tak tú apne báp ke ghar bewa baiṭhí rah, kyúṉki us ne sochá ki Kahíṉ yih bhí apne bháiyoṉ kí tarah halák na ho jáe. So Tamar apne báp ke ghar meṉ jákar rahne lagí. 12Aur ek ‘arse ke ba‘d aisá húá ki Súa‘ kí beṭí, jo Yahúdáh kí bíwí thí, mar gayí; aur jab Yahúdáh ko us ká g̣am bhúlá, to wuh apne Adúllámí dost Hírah ke sáth apní bheṛoṉ kí pashm ke katarnewáloṉ ke pás Timnat ko gayá. 13Aur Tamar ko yih ḳhabar milí, ki Terá ḳhusar apní bheṛoṉ kí pashm katarne ke liye Timnat ko já rahá hai. 14Tab us ne apne ranḍápe ke kapṛoṉ ko utár pheṉká, aur burqa‘ oṛhá, aur apne ko ḍháṉká, aur ‘Ainaim ke pháṭak ke barábar, jo Timnat kí ráh par hai, já baiṭhí: kyúṉki us ne dekhá ki Selah bálig̣ ho gayá, magar yih us se biyáhí nahíṉ gayí. 15Yahúdáh use dekhkar samjhá, ki koí kasbí hai; kyúṉki us ne apná muṉh ḍháṉk rakkhá thá. 16So wuh ráste se us kí taraf ko phirá, aur us se kahne lagá, ki Zará mujhe apne sáth mubásharat kar lene de; kyúṉki ise bi’lkull nahíṉ ma‘lúm thá ki wuh is kí bahú hai. Us ne kahá, Tú mujhe kyá degá táki mere sáth mubásharat kare? 17Us ne kahá, Maiṉ rewaṛ meṉ se bakrí ká ek bachcha tujhe bhej dúṉgá. Us ne kahá, ki Us ke bhejne tak tú mere pás kuchh rihn kar degá? 18Us ne kahá, Tujhe rihn kyá dúṉ? Us ne kahá, Apní muhr, aur apná bázúband, aur apní láṭhí, jo tere háth meṉ hai. Us ne yih chízeṉ use díṉ, aur us ke sáth mubásharat kí, aur wuh us se hámila ho gayí. 19Phir wuh uṭhkar chalí gayí, aur burqa‘ utárkar ranḍápe ká joṛá pahin liyá. 20Aur Yahúdáh ne apne Adúllámí dost ke háth bakrí ká bachcha bhejá, táki us ‘aurat ke pás se apná rihn wápas maṉgáe, par wuh ‘aurat use na milí. 21Tab us ne us jagah ke logoṉ se púchhá, ki Wuh kasbí, jo ‘Ainaim meṉ ráste ke barábar baiṭhí thí kaháṉ hai? Unhoṉ ne kahá, Yaháṉ koí kasbí na thí. 22Tab us ne Yuhúdáh ke pás lauṭkar use batáyá, ki Wuh mujhe nahíṉ milí, aur waháṉ ke log bhí kahte the ki waháṉ koí kasbí nahíṉ thí. 23Yahúdáh ne kahá, Ḳhair, us rihn ko wuhí rakkhe, ham to badnám na hoṉ; maiṉ ne to bakrí ká bachcha bhejá, par wuh tujhe nahíṉ milí. 24Aur taqríban tín mahíne ke ba‘d Yahúdáh ko yih ḳhabar milí, ki Terí bahú Tamar ne ziná kiyá; aur use chhinále ke haml bhí hai. Yahúdáh ne kahá, ki Use báhar nikál láo, ki wuh jaláí jáe. 25Jab use báhar nikálá, to us ne apne ḳhusar ko kahlá bhejá, ki Mere usí shaḳhs ká haml hai, jis kí yih chízeṉ haiṉ: so tú pahchán to sahí, ki yih muhr, aur bázúband, aur láṭhí, kis kí hai? 26Tab Yahúdáh ne iqrár kiyá, aur kahá, ki Wuh mujh se ziyáda sádiq hai; kyúṉki maiṉ ne use apne beṭe Selah se nahíṉ biyáhá. Aur wuh phir kabhí us ke pás na gayá. 27Aur us ke waza‘ e haml ke waqt ma‘lúm húá, ki us ke peṭ meṉ tauam haiṉ. 28Aur jab wuh janne lagí, to ek bachche ká háth báhar áyá, aur dáí ne pakaṛkar us ke háth meṉ lál ḍorá báṉdh diyá, aur kahne lagí, ki Yih pahle paidá húá. 29Aur yúṉ húá, ki us ne apná háth phir kheṉch liyá; itne meṉ us ká bháí paidá ho gayá. Tab wuh dáí bol uṭhí, ki Tú kaise zabardastí nikal paṛá. So us ká nám Fáras rakkhá gayá. 30Phir us ká bháí, jis ke háth meṉ lál ḍorá baṉdhá thá, paidá húá, aur us ká nám Zárah rakkhá gayá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 38: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia