Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 39

39
1Aur Yúsuf ko Misr meṉ láe, aur Fútífár Misrí ne, jo Fir‘aun ká ek hákim aur jilaudároṉ ká sardár thá, us ko Ismá‘ílíoṉ ke háth se, jo use waháṉ le gaye the, ḳharíd liyá. 2Aur Ḳhudáwand Yúsuf ke sáth thá, aur wuh iqbálmand húá aur apne Misrí áqá ke ghar meṉ rahtá thá. 3Aur us ke áqá ne dekhá, ki Ḳhudáwand us ke sáth hai, aur jis kám ko wuh háth lagátá hai Ḳhudáwand us meṉ use iqbálmand kartá hai. 4Chunáṉchi Yúsuf us kí nazar meṉ maqbúl ṭhahrá, aur wuhí us kí ḳhidmat kartá thá; aur us ne use apne ghar ká muḳhtár banákar apná sab kuchh use sauṉp diyá. 5Aur jab us ne use ghar ká aur sáre mál ká muḳhtár banáyá, to Ḳhudáwand ne us Misrí ke ghar meṉ Yúsuf kí ḳhátir barakat baḳhshí; aur us kí sab chízoṉ par, jo ghar meṉ aur khet meṉ thíṉ, Ḳhudáwand kí barakat hone lagí. 6Aur us ne apná sab kuchh Yúsuf ke háth meṉ chhoṛ diyá, aur siwá roṭí ke, jise wuh khá letá thá, use apní kisí chíz ká hosh na thá. Aur Yúsuf ḳhúbsúrat aur hasín thá. 7In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki us ke áqá kí bíwí kí áṉkh Yúsuf par lagí, aur us ne us se kahá, ki Mere sáth hambistar ho. 8Lekin us ne inkár kiyá, aur apne áqá kí bíwí se kahá, ki Dekh, mere áqá ko ḳhabar bhí nahíṉ, ki is ghar meṉ mere pás kyá kyá hai, aur us ne apná sab kuchh mere háth meṉ chhoṛ diyá hai. 9Is ghar meṉ mujh se baṛá koí nahíṉ: aur us ne, tere siwá, koí chíz mujh se báz nahíṉ rakkhí, kyúṉki tú us kí bíwí hai; so bhalá, maiṉ kyúṉ aisí baṛí badí karúṉ, aur Ḳhudá ká gunahgár banúṉ? 10Aur wuh harchand roz Yúsuf ke sir hotí rahí, par us ne us kí bát na mání ki us se hambistar hone ke liye us ke sáth leṭe. 11Aur ek din yúṉ húá, ki wuh apná kám karne ke liye ghar meṉ gayá; aur ghar ke ádmíoṉ meṉ se koí bhí andar na thá. 12Tab us ‘aurat ne us ká pairáhan pakaṛkar kahá, ki Mere sáth hambistar ho. Wuh apná pairáhan us ke háth meṉ chhoṛkar bhágá, aur báhar nikal gayá. 13Jab us ne dekhá, ki wuh apná pairáhan us ke háth meṉ chhoṛkar bhág gayá, 14to us ne apne ghar ke ádmíoṉ ko bulákar un se kahá, ki Dekho, wuh ek ‘Ibrí ko ham se mazzáq karne ke liye hamáre pás le áyá hai. Yih mujh se hambistar hone ko andar ghus áyá, aur maiṉ baland áwáz se chilláne lagí. 15Jab us ne dekhá, ki maiṉ zor zor se chillá rahí húṉ, to apná pairáhan mere pás chhoṛkar bhágá, aur báhar nikal gayá. 16Aur wuh us ká pairáhan us ke áqá ke ghar lauṭne tak apne pás rakkhe rahí. 17Tab us ne yih báteṉ us se kahíṉ, ki Yih ‘Ibrí g̣ulám, jo tú láyá hai, mere pás andar ghus áyá, ki mujh se mazzáq kare. 18Jab maiṉ zor zor se chilláne lagí, to wuh apná pairáhan mere hí pás chhoṛkar báhar bhág gayá. 19Jab us ke áqá ne apní bíwí kí wuh báteṉ, jo us ne us se kahíṉ, sun líṉ, ki Tere gulám ne mujh se aisá aisá kiyá, to us ká g̣azab bhaṛká. 20Aur Yúsuf ke áqá ne us ko lekar qaidḳháne meṉ, jaháṉ bádsháh ke qaidí band the, ḍál diyá; so wuh waháṉ qaidḳhane meṉ rahá. 21Lekin Ḳhudáwand Yúsuf ke sáth thá; us ne us par rahm kiyá, aur qaidḳháne ke dárog̣e kí nazar meṉ use maqbúl banáyá. 22Aur qaidḳháne ke dárog̣e ne sab qaidíoṉ ko, jo qaid meṉ the, Yúsuf ke háth meṉ sauṉpá; aur jo kuchh wuh karte usí ke hukm se karte the. 23Aur qaidḳháne ká dárog̣a sab kámoṉ kí taraf se, jo us ke háth meṉ the, befikr thá, is liye ki Ḳhudáwand us ke sáth thá; aur jo kuchh wuh kartá Ḳhudáwand us meṉ iqbálmandí baḳhshtá thá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 39: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia