Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 40

40
1In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki sháh i Misr ká sáqí aur nánpaz apne ḳhudáwand sháh i Misr ke mujrim húe. 2Aur Fir‘aun apne in donoṉ hákimoṉ se, jin meṉ ek sáqíoṉ, aur dúsrá nánpazoṉ ká sardár thá, náráz ho gayá. 3Aur us ne in ko, jilaudároṉ ke sardár ke ghar meṉ, usí jagah, jaháṉ Yúsuf hirásat meṉ thá, qaidḳháne meṉ nazarband kará diyá. 4Jilaudároṉ ke sardár ne un ko Yúsuf ke hawále kiyá, aur wuh un kí ḳhidmat karne lagá: aur wuh ek muddat tak nazarband rahe. 5Aur sháh i Misr ke sáqí aur nánpaz donoṉ ne, jo qaidḳháne meṉ nazarband the, ek hí rát meṉ apne apne honhár ke mutábiq ek ek ḳhwáb dekhá. 6Aur Yúsuf subh ko un ke pás andar áyá, aur dekhá, ki wuh udás haiṉ; 7aur us ne Fir‘aun ke hákimoṉ se, jo us ke sáth us ke áqá ke ghar meṉ nazarband the, púchhá, ki Áj tum kyúṉ aise udás nazar áte ho? 8Unhoṉ ne us se kahá, Ham ne ek ḳhwáb dekhá hai, jis kí ta‘bír karnewálá koí nahíṉ. Yúsuf ne un se kahá, Kyá ta‘bír kí qudrat Ḳhudá ko nahíṉ? Mujhe zará wuh ḳhwáb batáo. 9Tab sardár sáqí ne apná ḳhwáb Yúsuf se bayán kiyá. Us ne kahá, Maiṉ ne ḳhwáb meṉ dekhá, ki angúr kí bel mere sámne hai. 10Aur us bel meṉ tín sháḳheṉ haiṉ, aur aisá dikháí diyá ki us meṉ kaliyáṉ lagíṉ, aur phúl áe, aur us ke sab guchchhoṉ meṉ pakke pakke angúr lage. 11Aur Fir‘aun ká piyála mere háth meṉ hai; aur maiṉ ne un angúroṉ ko lekar Fir‘aun ke piyále meṉ nichoṛá; aur wuh piyála maiṉ ne Fir‘aun ke háth meṉ diyá. 12Yúsuf ne us se kahá, Is kí ta‘bír yih hai, ki wuh tín sháḳheṉ tín din haiṉ. 13So ab se tín din ke andar Fir‘aun tujhe sarfaráz farmáegá, aur tujhe phir tere mansab par bahál kar degá, aur pahle kí tarah, jab tú us ká sáqí thá, piyála Fir‘aun ke háth meṉ diyá karegá. 14Lekin jab tú ḳhushhál ho jáe, to mujhe yád karná, aur zará mujh se mihrbání se pesh áná, aur Fir‘aun se merá zikr karná, aur mujhe is ghar se chhuṭkárá dilwáná. 15Kyúṉki ‘Ibráníoṉ ke mulk se mujhe churákar le áe haiṉ, aur yaháṉ bhí maiṉ ne aisá koí kám nahíṉ kiyá, jis ke sabab se qaidḳháne meṉ ḍálá jáúṉ. 16Jab sardár nánpaz ne dekhá ki ta‘bír achchhí niklí, to Yúsuf se kahá, ki Maiṉ ne bhí ḳhwáb meṉ dekhá, ki mere sir par safed roṭí kí tín ṭokriyáṉ haiṉ. 17Aur úpar kí ṭokrí meṉ har qism ká paká húá kháná Fir‘aun ke liye hai, aur parande mere sir par kí ṭokrí meṉ se khá rahe haiṉ. 18Yúsuf ne use kahá, Is kí ta‘bír yih hai, ki wuh tín ṭokriyáṉ tín din haiṉ. 19So ab se tín din ke andar Fir‘aun terá sir tere tan se judá karáke tujhe ek daraḳht par ṭangwá degá, aur parande terá gosht noch nochkar kháenge. 20Aur tísre din, jo Fir‘aun kí sálgirah ká din thá, yúṉ húá, ki us ne apne sab naukaroṉ kí ziyáfat kí, aur us ne sardár sáqí aur nánpaz ko apne naukaroṉ ke sáth yád farmáyá. 21Aur us ne sardár sáqí ko phir us kí ḳhidmat par bahál kiyá, aur wuh Fir‘aun ke háth meṉ piyála dene lagá. 22Par us ne sardár nánpaz ko pháṉsí dilwáí, jaisá Yúsuf ne ta‘bír karke un ko batáyá thá. 23Lekin sardár sáqí ne Yúsuf ko yád na kiyá, balki use bhúl gayá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 40: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia