Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 43

43
1Aur kál mulk meṉ âur bhí saḳht ho gayá. 2Aur yúṉ húá, ki jab us g̣alle ko, jise Misr se láe the, khá chuke, to un ke báp ne un se kahá, ki Jákar hamáre liye phir kuchh anáj mol le áo. 3Tab Yahúdáh ne use kahá, ki Us shaḳhs ne ham ko niháyat tákíd se kah diyá thá, ki Tum merá muṉh na dekhoge, jab tak tumhárá bháí tumháre sáth na ho. 4So agar tú hamáre bháí ko hamáre sáth bhej de, to ham jáeṉge, aur tere liye anáj mol láeṉge. 5Aur agar tú use na bheje, to ham nahíṉ jáeṉge, kyúṉki us shaḳhs ne kah diyá hai, ki Tum merá muṉh na dekhoge, jab tak tumhárá bháí tumháre sáth na ho. 6Tab Isráíl ne kahá, ki Tum ne mujh se kyúṉ yih badsulúkí kí, ki us shaḳhs ko batá diyá ki Hamárá ek bháí âur bhí hai? 7Unhoṉ ne kahá, Us shaḳhs ne bajidd hokar hamárá aur hamáre ḳhándán ká hál púchhá, ki Kyá tumhárá báp ab tak jítá hai? aur kyá tumhárá koí âur bháí hai? to ham ne in suwáloṉ ke mutábiq use batá diyá. Ham kyá jánte the, ki wuh kahegá, ki Apne bháí ko le áo? 8Tab Yahúdáh ne apne báp Isráíl se kahá, ki Us laṛke ko mere sáth kar de, to ham chale jáeṉge, táki ham, aur tú, aur hamáre bál bachche zinda raheṉ aur halák na hoṉ. 9Aur maiṉ us ká zámin hotá húṉ; tú us ko mere háth se wápas máṉgná. Agar maiṉ use tere pás pahuṉchákar sámne khaṛá na kar dúṉ, to maiṉ hamesha ke liye gunahgár ṭhahrúṉgá. 10Agar ham der na lagáte, to ab tak dúsrí daf‘a lauṭkar á bhí játe. 11Tab un ke báp Isráíl ne un se kahá, Agar yihí bát hai, to aisá karo, ki apne bartanoṉ meṉ is mulk kí mashhúr paidáwár meṉ se kuchh us shaḳhs ke liye nazrána lete jáo, jaise thoṛá sá raug̣an i balsán, thoṛá sá shahd, kuchh garm masálih, aur murr, aur pista, aur bádám: 12aur dúná dám apne háth meṉ le lo; aur wuh naqdí, jo pher dí gayí aur tumháre boroṉ ke muṉh meṉ rakkhí milí, apne sáth wápas le jáo, kyúṉki sháyad bhúl ho gayí hogí. 13Aur apne bháí ko bhí sáth lo, aur uṭhkar phir us shaḳhs ke pás jáo. 14Aur Ḳhudá e Qádir us shaḳhs ko tum par mihrbán kare, táki wuh tumháre dúsre bháí ko aur Binyamín ko tumháre sáth bhej de. Maiṉ agar beaulád húá, to húá.
15Tab unhoṉ ne nazrána liyá, aur dúná dám bhí háth meṉ le liyá, aur Binyamín ko lekar chal paṛe, aur Misr pahuṉchkar Yúsuf ke sámne já khaṛe húe. 16Jab Yúsuf ne Binyamín ko un ke sáth dekhá, to us ne apne ghar ke muntazim se kahá, In ádmíoṉ ko ghar meṉ le já, aur koí jánwar zabh karke kháná taiyár karwá; kyúṉki yih ádmí do pahar ko mere sáth kháná kháeṉge. 17Us shaḳhs ne, jaisá Yúsuf ne farmáyá thá, kiyá; aur in ádmíoṉ ko Yúsuf ke ghar meṉ le gayá. 18Jab in ko Yúsuf ke ghar meṉ pahuṉchá diyá, to ḍar ke máre kahne lage, ki Wuh naqdí jo pahlí daf‘a hamáre boroṉ meṉ rakhkar wápas kar dí gayí thí, usí ke sabab se ham ko andar karwá diyá hai, táki use hamáre ḳhiláf bahána mil jáe, aur wuh ham par hamla karke ham ko g̣ulám baná le, aur hamáre gadhoṉ ko chhín le. 19Aur wuh Yúsuf ke ghar ke muntazim ke pás gaye, aur darwáze par khaṛe hokar us se kahne lage, 20Janáb, ham pahle bhí yaháṉ anáj mol lene áe the; 21aur yúṉ húá, ki jab ham ne manzil par utarkar apne boroṉ ko kholá, to apní apní púrí tulí húí naqdí apne apne bore ke muṉh meṉ rakkhi dekhí, so ham use apne sáth wápas lete áe haiṉ. 22Aur ham anáj mol lene ko âur bhí naqdí sáth láe haiṉ. Yih ham nahíṉ jánte ki hamárí naqdí kis ne hamáre boroṉ meṉ rakh dí. 23Us ne kahá, ki Tumhárí salámatí ho; mat ḍaro; tumháre Ḳhudá aur tumháre báp ke Ḳhudá ne tumháre boroṉ meṉ tum ko ḳhazána diyá hogá; mujhe to tumhárí naqdí mil chukí. Phir wuh Shama‘ún ko nikálkar un ke pás le áyá. 24Aur us shaḳhs ne un ko Yúsuf ke ghar meṉ lákar pání diyá, aur unhoṉ ne apne páṉw dhoe; aur un ke gadhoṉ ko chárá diyá. 25Phir unhoṉ ne Yúsuf ke intizár meṉ, ki wuh do pahar ko áegá, nazrána taiyár karke rakkhá; kyúṉki unhoṉ ne suná thá, ki un ko wahíṉ roṭí khání hai. 26Jab Yúsuf ghar áyá, to wuh us nazráne ko, jo un ke pás thá, us ke sámne le gaye, aur zamín par jhukkar us ke huzúr ádáb bajá láe. 27Us ne un se ḳhair o ‘áfiyat púchhí, aur kahá, ki Tumhárá búṛhá báp, jis ká tum ne zikr kiyá thá, achchhá to hai? Kyá, wuh ab tak jítá hai? 28Unhoṉ ne jawáb diyá, Terá ḳhádim hamárá báp ḳhairiyat se hai; aur ab tak jítá hai. Phir wuh sir jhuká jhukákar us ke huzúr ádáb bajá láe. 29Phir us ne áṉkh uṭhákar apne bháí Binyamín ko jo us kí máṉ ká beṭá thá dekhá, aur kahá, ki Tumhárá sab se chhoṭá bháí, jis ká zikr tum ne mujh se kiyá thá, yihí hai? Phir kahá, ki Ai mere beṭe! Ḳhudá tujh par mihrbán rahe. 30Tab Yúsuf ne jaldí kí; kyúṉki bháí ko dekhkar us ká jí bhar áyá, aur wuh cháhtá thá ki kahíṉ jákar roe. So wuh apní koṭhrí meṉ jákar waháṉ rone lagá. 31Phir wuh apná muṉh dhokar báhar niklá, aur apne ko zabt karke hukm diyá, ki Kháná chuno. 32Aur unhoṉ ne us ke liye alag, aur un ke liye judá, aur Misríoṉ ke liye, jo us ke sáth kháte the, judá kháná chuná; kyúṉki Misr ke log ‘Ibráníoṉ ke sáth kháná nahíṉ khá sakte the, kyúṉki Misríoṉ ko is se karáhiyat hai. 33Aur Yúsuf ke bháí us ke sámne tartíbwár apní ‘umr kí baṛáí aur chhoṭáí ke mutábiq baiṭhe aur ápas meṉ hairán the. 34Phir wuh apne sámne se kháná uṭhákar hisse kar karke un ko dene lagá, aur Binyamín ká hissa un ke hissoṉ se páṉch guná ziyáda thá. Aur unhoṉ ne mai pí aur us ke sáth ḳhushí manáí.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 43: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia