Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 44

44
1Phir us ne apne ghar ke muntazim ko yih hukm kiyá, ki In ádmíoṉ ke boron meṉ jitná anáj wuh le já sakeṉ bhar de, aur har shaḳhs kí naqdí usí ke bore ke muṉh meṉ rakh de. 2Aur merá chándí ká piyála sab se chhoṭe ke bore ke muṉh meṉ us kí naqdí ke sáth rakhná. Chunáṉchi us ne Yúsuf ke farmáne ke mutábiq ‘amal kiyá. 3Subh raushní hote hí yih ádmí apne gadhoṉ ke sáth ruḳhsat kar diye gaye. 4Wuh shahr se nikalkar abhí dúr bhí nahíṉ gaye the, ki Yúsuf ne apne ghar ke muntazim se kahá, Já, un logoṉ ká píchhá kar; aur jab tú un ko já le, to un se kahná, ki Nekí ke ‘iwaz tum ne badí kyúṉ kí? 5Kyá yih wuhí chíz nahíṉ, jis se merá áqá pítá aur isí se ṭhík fál bhí kholá kartá hai? Tum ne jo yih kiyá so burá kiyá. 6Aur us ne un ko já liyá, aur yihí báteṉ un se kahíṉ. 7Tab unhoṉ ne us se kahá, ki Hamárá ḳhudáwand aisí báteṉ kyúṉ kahtá hai? Ḳhudá na kare, ki tere ḳhádim aisá kám kareṉ. 8Bhalá, jo naqdí ham ko apne boroṉ ke muṉh meṉ milí, use to ham mulk i Kan‘án se tere pás wápas le áe; phir tere áqá ke ghar se chándí yá soná kyúṉkar churá sakte haiṉ? 9So tere ḳhádimoṉ meṉ se jis kisí ke pás wuh nikle, wuh már diyá jáe, aur ham bhí apne ḳhudáwand ke g̣ulám ho jáeṉge. 10Us ne kahá, ki Tumhárá hí kahná sahí. Jis ke pás wuh nikal áe, wuh merá g̣ulám hogá, aur tum begunáh ṭhahroge. 11Tab unhoṉ ne jaldí kí, aur ek ek ne apná borá zamín par utár liyá, aur har shaḳhs ne apná borá khol diyá. 12So wuh ḍhúṉḍhne lagá; aur sab se baṛe se shurú‘ karke sab se chhoṭe par taláshí ḳhatm kí, aur piyála Binyamín ke bore meṉ milá. 13Tab unhoṉ ne apne pairáhan chák kiye, aur har ek apne gadhe ko ládkar ulṭá shahr ko phirá. 14Aur Yahúdáh aur us ke bháí Yúsuf ke ghar áe; wuh ab tak wahíṉ thá; so wuh us ke áge zamín par gire. 15Tab Yúsuf ne un se kahá, Tum ne yih kaisá kám kiyá? Kyá tum ko ma‘lúm nahíṉ, ki mujh sá ádmí ṭhík fál kholtá hai? 16Yahúdáh ne kahá, ki Ham apne ḳhudáwand se kyá kaheṉ? ham kyá bát kareṉ? yá kyúṉkar apne ko barí ṭhahráeṉ? Ḳhudá ne tere ḳhádimoṉ kí badí pakaṛ lí. So dekh, ham bhí aur wuh bhí, jis ke pás piyála niklá, donoṉ apne ḳhudáwand ke gulám haiṉ. 17Us ne kahá, Ḳhudá na kare ki maiṉ aisá karúṉ; jis shaḳhs ke pás yih piyála niklá, wuhí merá g̣ulám hogá; aur tum apne báp ke pás salámat chale jáo.
18Tab Yahúdáh us ke nazdík jákar kahne lagá, Ai mere ḳhudáwand, zará apne ḳhádim ko ijázat de, ki apne ḳhudáwand ke kán meṉ ek bát kahe; aur terá g̣azab tere ḳhádim par na bhaṛke, kyúṉki tú Fir‘aun kí mánind hai. 19Mere ḳhudáwand ne apne ḳhádimoṉ se suwál kiyá thá, ki Tumhárá báp yá tumhárá bháí hai? 20Aur ham ne apne ḳhudáwand se kahá thá, ki Hamárá ek búṛhá báp hai; aur us ke buṛhápe ká ek chhoṭá laṛká bhí hai; aur us ká bháí mar gayá hai, aur wuh apní máṉ ká ek hí rah gayá hai, so us ká báp us par ján detá hai. 21Tab tú ne apne ḳhádimoṉ se kahá, ki Use mere pás le áo, ki maiṉ use dekhúṉ. 22Ham ne apne ḳhudáwand ko batáyá, ki Wuh laṛká apne báp ko chhoṛ nahíṉ saktá; kyúṉki agar wuh apne báp ko chhoṛe, to us ká báp mar jáegá. 23Phir tú ne apne ḳhádimoṉ se kahá, ki Jab tak tumhárá chhoṭá bháí tumháre sáth na áe, tum phir merá muṉh na dekhoge. 24Aur yúṉ húá, ki jab ham apne báp ke pás, jo terá ḳhádim hai, pahuṉche, to ham ne apne ḳhudáwand kí báteṉ us se kahíṉ. 25Hamáre báp ne kahá, Phir jákar hamáre liye kuchh anáj mol láo. 26Ham ne kahá, Ham nahíṉ já sakte; agar hamárá sab se chhoṭá bháí hamáre sáth ho, to ham jáeṉge; kyúṉki jab tak hamárá sab se chhoṭá bháí hamáre sáth na ho, ham us shaḳhs ká muṉh na dekheṉge. 27Aur tere ḳhádim mere báp ne ham se kahá, Tum jánte ho ki merí bíwí ke mujh se do beṭe húe. 28Ek to mujhe chhoṛ hí gayá, aur maiṉ ne ḳhayál kiyá ki wuh zarúr pháṛ ḍálá gayá hogá, aur maiṉ ne use us waqt se phir nahíṉ dekhá. 29Ab, agar tum is ko bhí mere pás se le jáo, aur is par koí áfat á paṛe, to tum mere safed báloṉ ko g̣am ke sáth qabr meṉ utároge. 30So ab agar maiṉ tere ḳhádim apne báp ke pás jáúṉ, aur yih laṛká hamáre sáth na ho, to chúṉki us kí ján is laṛke kí ján ke sáth wábasta hai, 31wuh, yih dekhkar ki laṛká nahíṉ áyá, mar jáegá; aur tere ḳhádim apne báp ke, jo terá ḳhádim hai, safed báloṉ ko gam ke sáth qabr meṉ utáreṉge. 32Aur terá ḳhádim apne báp ke sámne is laṛke ká zámin bhí ho chuká hai, aur yih kahá hai, ki Agar maiṉ ise tere pás wápas na pahuṉchá dúṉ, to maiṉ hamesha ke liye apne báp ká gunahgár ṭhahrúṉgá. 33Is liye ab tere ḳhádim ko ijázat ho, ki wuh is laṛke ke badle apne ḳhudáwand ká g̣ulám hokar rah jáe, aur yih laṛká apne bháiyoṉ ke sáth chalá jáe. 34Kyúṉki laṛke ke bag̣air maiṉ kyá muṉh lekar apne báp ke pás jáúṉ? Kahíṉ aisá na ho ki mujhe wuh musíbat dekhní paṛe, jo aise hál meṉ mere báp par áegí.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 44: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia