Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 48

48
1In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki kisí ne Yúsuf se kahá, Terá báp bímár hai, so wuh apne donoṉ beṭoṉ Munassí aur Ifráím ko sáth lekar chalá. 2Aur Ya‘qúb se kahá gayá, ki Terá beṭá Yúsuf tere pás á rahá hai. Aur Isráíl apne ko sambhálkar palang par baiṭh gayá. 3Aur Ya‘qúb ne Yúsuf se kahá, ki Ḳhudá e Qádir i mutlaq mujhe Lúz meṉ, jo mulk i Kan‘án meṉ hai, dikháí diyá, aur mujhe barakat dí; 4aur us ne mujh se kahá, Maiṉ tujhe baromand karúṉgá, aur baṛháúṉgá, aur tujh se qaumoṉ ká ek zumrah paidá karúṉgá; aur tere ba‘d yih zamín terí nasl ko dúṉgá, táki yih un kí dáimí milkíyat ho jáe. 5So tere donoṉ beṭe, jo mulk i Misr meṉ mere áne se pahle paidá húe, mere haiṉ, ya‘ní Rúbin aur Shama‘ún kí tarah Ifráím aur Munassí bhí mere hí hoṉge. 6Aur jo aulád ab un ke ba‘d tujh se hogí, wuh terí ṭhahregí, par apní mírás meṉ apne bháiyoṉ ke nám se wuh log námzad hoṉge. 7Aur maiṉ jab Faddán se átá thá, to Ráḳhil ne ráste hí meṉ, jab Ifrát thoṛí dúr rah gayá thá, mere sámne mulk i Kan‘án meṉ wafát páí. Aur maiṉ ne use wahíṉ Ifrát ke ráste meṉ dafn kiyá. Baitlahm wuhí hai. 8Phir Isráíl ne Yúsuf ke beṭoṉ ko dekhkar púchhá, Yih kaun haiṉ? 9Yúsuf ne apne báp se kahá, Yih mere beṭe haiṉ, jo Ḳhudá ne mujhe yaháṉ diye haiṉ. Us ne kahá, Un ko zará mere pás lá; maiṉ un ko barakat dúṉgá. 10Lekin Isráíl kí áṉkheṉ buṛhápe ke sabab se dhundlá gayí thíṉ, aur use dikháí nahíṉ detá thá; so Yúsuf un ko us ke nazdík le áyá. Tab us ne un ko chúmkar gale lagá liyá. 11Aur Isráíl ne Yúsuf se kahá, Mujhe to ḳhayál bhí na thá ki maiṉ terá muṉh dekhúṉgá; lekin Ḳhudá ne terí aulád bhí mujhe dikháí. 12Aur Yúsuf un ko apne ghuṭnoṉ ke níche se haṭákar muṉh ke bal zamín tak jhuká. 13Aur Yúsuf un donoṉ ko lekar, ya‘ní Ifráím ko apne dahine háth se Isráíl ke báeṉ háth ke muqábil, aur Munassí ko apne báeṉ háth se Isráíl ke dahine háth ke muqábil karke un ko us ke nazdík láyá. 14Aur Isráíl ne apná dahiná háth baṛhákar Ifráím ke sir par, jo chhoṭá thá, aur báyáṉ háth Munassí ke sir par rakh diyá; us ne ján bújhkar apne háth yúṉ rakkhe; kyúṉkí pahlauṭhá to Munassí hí thá. 15Aur us ne Yúsuf ko barakat dí, aur kahá, Ḳhudá, jis ke sámne mere báp Abrahám aur Izháq ne apná daur púrá kiyá, wuh Ḳhudá, jis ne sárí ‘umr áj ke din tak merí pásbání kí, 16aur wuh firishta, jis ne mujhe sab baláoṉ se bacháyá, in laṛkoṉ ko barakat de; aur jo merá aur mere bápdádá Abrahám aur Izháq ká nám hai, usí se yih námzad hoṉ, aur zamín par niháyat kasrat se baṛh jáeṉ. 17Aur Yúsuf yih dekhkar ki us ke báp ne apná dahiná háth Ifráím ke sir par rakkhá, náḳhush húá: aur us ne apne báp ká háth thám liyá, táki use Ifráím ke sir par se haṭákar Munassí ke sir par rakkhe. 18Aur Yúsuf ne apne báp se kahá, ki Ai mere báp, aisá na kar; kyúṉki pahlauṭhá yih hai; apná dahiná háth is ke sir par rakh. 19Us ke báp ne na máná, aur kahá, Ai mere beṭe, mujhe ḳhúb ma‘lúm hai. Is se bhí ek guroh paidá hogí, aur yih bhí buzurg hogá: par is ká chhoṭá bháí is se bahut baṛá hogá, aur us kí nasl se bahut sí qaumeṉ hoṉgí. 20Aur us ne un ko us din barakat baḳhshí aur kahá, ki Isráílí terá nám le lekar yúṉ du‘á diyá kareṉge, ki Ḳhudá tujh ko Ifráím aur Munassí kí mánind iqbálmand kare! So us ne Ifráím ko Munassí par fazílat dí. 21Aur Isráíl ne Yúsuf se kahá, Maiṉ to martá húṉ: lekin Ḳhudá tumháre sáth hogá, aur tum ko phir tumháre bápdádá ke mulk meṉ le jáegá. 22Aur maiṉ tujhe, tere bháiyoṉ se ziyáda, ek hissa, jo maiṉ ne Amoríoṉ ke háth se apní talwár aur kamán se liyá, detá húṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 48: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia