Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 49

49
1Aur Ya‘qúb ne apne beṭoṉ ko yih kahkar bulwáyá, ki Tum sab jama‘ ho jáo, táki maiṉ tum ko batáúṉ ki áḳhirí dinoṉ meṉ tum par kyá kyá guzregá.
2Ai Ya‘qúb ke beṭo! jama‘ hokar suno
Aur apne báp Isráíl kí taraf kán lagáo.
3Ai Rúbin, tú merá pahlauṭhá thá, merí quwwat aur merí shahzorí ká pahlá phal hai,
Tú mere ru‘b kí aur merí táqat kí shán hai.
4Tú pání kí tarah besabát hai, is liye tujhe fazílat nahíṉ milegí,
Kyúṉki tú apne báp ke bistar par chaṛhá;
Tú ne use najis kiyá; Rúbin mere bichhaune par chaṛh gayá.
5Shama‘ún aur Láwí to bháí bháí haiṉ;
Un kí talwáreṉ zulm ke hathyár haiṉ.
6Ai merí ján, un ke mashware meṉ sharík na ho;
Ai merí buzurgí, un kí majlis meṉ shámil na ho:
Kyúṉki unhoṉ ne apne g̣azab meṉ ek mard ko qatl kiyá,
Aur apní ḳhudráí se bailoṉ kí kúṉchen káṭíṉ.
7La‘nat un ke g̣azab par, kyúṉki wuh tund thá;
Aur un ke qahr par, kyúṉki wuh saḳht thá.
Maiṉ unheṉ Ya‘qúb meṉ alag alag
Aur Isráíl meṉ paráganda kar dúṉgá.
8Ai Yahúdáh, tere bháí terí madh kareṉge;
Terá háth tere dushmanoṉ kí gardan par hogá;
Tere báp kí aulád tere áge sarnigún hogí.
9Yahúdáh sher i babar ká bachcha hai:
Ai mere beṭe! tú shikár márkar chal diyá hai;
Wuh sher i babar, balki sherní kí tarah dabakkar baiṭh gayá.
Kaun use chheṛe?
10Yahúdáh se saltanat nahíṉ chhúṭegí,
Aur na us kí nasl se hukúmat ká ‘asá mauqúf hogá,
Jab tak Shíloh na áe;
Aur qaumeṉ us kí mutí‘ hoṉgí.
11Wuh apná jawán gadhá angúr ke daraḳht se,
Aur apní gadhí ká bachcha a‘lá darje ke angúr ke daraḳht se báṉdhá karegá.
Wuh apná libás mai meṉ,
Aur apní poshák áb i angúr meṉ, dhoyá karegá.
12Us kí áṉkheṉ mai ke sabab se lál
Aur us ke dáṉt dúdh kí wajh se safed rahá kareṉge.
13Zabúlún samundar ke kanáre basegá,
Aur jaházoṉ ke liye bandar ká kám degá,
Aur us kí hadd Saidá tak phailí hogí.
14Ishkár mazbút gadhá hai,
Jo do bheṛsáloṉ ke darmiyán baiṭhá hai;
15Us ne ek achchhí árámgáh
Aur ḳhushnumá zamín ko dekhkar
Apná kandhá bojh uṭháne ko jhukáyá,
Aur begár meṉ g̣ulám kí tarah kám karne lagá.
16Dán Isráíl ke qabíloṉ meṉ se ek kí mánind
Apne logoṉ ká insáf karegá.
17Dán ráste ká sáṉp hai,
Wuh ráhguzar ká afa‘í hai,
Jo ghoṛe ke ‘aqab ko aisá ḍastá hai
Ki us ká sawár pichháṛ khákar gir paṛtá hai.
18Ai Ḳhudáwand, maiṉ terí naját kí ráh dekhtá áyá húṉ.
19Jadd par ek fauj hamla karegí,
Par wuh us ke dumbále par chhápá máregá.
20Áshar nafís anáj paidá kiyá karegá,
Aur bádsháhoṉ ke láiq lazíz ashyá muhaiyá karegá.
21Naftálí aisá hai jaise chhúṭí húí harní.
Wuh míṭhí míṭhí báteṉ kartá hai.
22Yúsuf ek phaldár paudá hai;
Aisá phaldár paudá jo pání ke chashme ke pás lagá húá ho,
Aur us kí sháḳheṉ díwár par phail gayí hoṉ.
23Tírandázoṉ ne use bahut chheṛá,
Aur márá aur satáyá hai:
24Lekin us kí kamán mazbút rahí,
Aur us ke háthoṉ aur bázúoṉ ne
Ya‘qúb ke Qádir ke háth se quwwat páí;
Wahíṉ se wuh chaupán uṭhá hai jo Isráíl kí chaṭán hai:
25Yih tere báp ke Ḳhudá ká kám hai, jo terí madad karegá,
Usí Qádir i mutlaq ká kám,
Jo úpar se ásmán kí barakateṉ,
Aur níche se gahre samundar kí barakateṉ,
Aur chhátiyoṉ aur rihmoṉ kí barakateṉ ‘atá karegá.
26Tere báp kí barakateṉ
Mere bápdádá kí barakatoṉ se kahíṉ ziyáda haiṉ,
Aur qadím paháṛoṉ kí intihá tak pahuṉchí haiṉ:
Wuh Yúsuf ke sir, balki us ke sir kí chándí par,
Jo apne bháiyoṉ se judá húá, názil hoṉgí.
27Binyamín pháṛnewálá bheṛiyá hai;
Wuh subh ko shikár kháegá,
Aur shám ko lúṭ ká mál báṉṭegá.
28Isráíl ke bárah qabíle yihí haiṉ: aur un ke báp ne jo jo báteṉ kahkar un ko barakat dí, wuh bhí yihí haiṉ; har ek ko, us kí barakat ke muwáfiq, us ne barakat dí. 29Phir us ne un ko hukm kiyá, aur kahá, ki Maiṉ apne logoṉ meṉ shámil hone par húṉ; mujhe mere bápdádá ke pás us mag̣áre meṉ, jo ‘Ifron Hittí ke khet meṉ hai, dafn karná. 30Ya‘ní us mag̣áre meṉ, jo mulk i Kan‘án meṉ Mamre ke sámne Makfílah ke khet meṉ hai, jise Abrahám ne khet samet ‘Ifron Hittí se mol liyá thá, taki goristán ke liye wuh us kí milkíyat ban jáe. 31Waháṉ unhoṉ ne Abrahám ko, aur us kí bíwí Sárah ko, dafn kiyá; wahíṉ unhoṉ ne Izháq aur us kí bíwí Ribqah ko dafn kiyá; aur wahíṉ maiṉ ne bhí Leáh ko dafn kiyá, 32ya‘ní usí khet ke mag̣áre meṉ, jo baní Hitt se ḳharídá thá. 33Aur jab Ya‘qúb apne beṭoṉ ko wasíyat kar chuká, to us ne apne páṉwoṉ bichhaune par sameṭ liye, aur dam chhoṛ diyá, aur apne logoṉ meṉ já milá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 49: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia