Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 50

50
1Tab Yúsuf apne báp ke muṉh se lipaṭkar us par royá, aur us ko chúmá. 2Aur Yúsuf ne un tabíboṉ ko, jo us ke naukar the, apne báp kí lásh meṉ ḳhushbú bharne ká hukm diyá. So tabíboṉ ne Isráíl kí lásh meṉ ḳhushbú bharí. 3Aur us ke chálís din púre húe, kyúṉki ḳhushbú bharne meṉ itne hí din lagte haiṉ. Aur Misrí us ke liye sattar din tak mátam karte rahe.
4Aur jab mátam ke din guzar gaye, to Yúsuf ne Fir‘aun ke ghar ke logoṉ se kahá, Agar mujh par tumháre karam kí nazar hai, to Fir‘aun se zará ‘arz kar do, 5ki Mere báp ne yih mujh se qasam lekar kahá hai, ki Maiṉ to martá húṉ: tú mujh ko merí gor meṉ, jo maiṉ ne mulk i Kan‘án meṉ apne liye khudwáí hai, dafn karná. Is liye zará mujhe ijázat de, ki maiṉ waháṉ jákar apne báp ko dafn karúṉ; aur maiṉ lauṭkar á jáúṉgá. 6Fir‘aun ne kahá, ki Já, aur apne báp ko, jaise us ne tujh se qasam lí hai, dafn kar. 7So Yúsuf apne báp ko dafn karne chalá, aur Fir‘aun ke sab ḳhádim, aur us ke ghar ke masháiḳh, aur mulk i Misr ke sab masháiḳh, 8aur Yúsuf ke ghar ke sab log aur us ke bháí, aur us ke báp ke ghar ke ádmí us ke sáth gaye; wuh sirf apne bál bachche aur bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail Jashan ke ‘iláqe meṉ chhoṛ gaye. 9Aur us ke sáth rath aur sawár bhí gaye; so ek baṛá amboh us ke sáth thá. 10Aur wuh Atad ke khalíhán par, jo Yardan ke pár hai, pahuṉche, aur waháṉ unhoṉ ne baland aur dilsoz áwáz se nauha kiyá. Aur Yúsuf ne apne báp ke liye sát din tak mátam karáyá. 11Aur jab us mulk ke báshindoṉ, ya‘ní Kan‘áníoṉ ne, Atad meṉ, khalíhán par is tarah ká mátam dekhá, to kahne lage, ki Misríon ká yih baṛá dardnák mátam hai. So wuh jagah Abíl-Misrayim kahláí; aur wuh Yardan ke pár hai. 12Aur Ya‘qúb ke beṭoṉ ne, jaisá us ne un ko hukm kiyá thá, waisá hí us ke liye kiyá. 13Kyúṉki unhoṉ ne use mulk i Kan‘án meṉ le jákar Mamre ke sámne Makfílah ke khet ke mag̣áre meṉ, jise Abrahám ne ‘Ifron Hittí se ḳharídkar goristán ke liye apní milkíyat baná liyá thá, dafn kiyá.
14Aur Yúsuf apne báp ko dafn karke apne bháiyoṉ aur un ke sáth, jo us ke báp ko dafn karne ke liye us ke sáth gaye the, Misr ko lauṭá. 15Aur Yúsuf ke bháí yih dekhkar ki un ká báp mar gayá, kahne lage, ki Yúsuf sháyad ham se dushmaní kare, aur sárí badí ká, jo ham ne us se kí hai, púrá badla le. 16So unhoṉ ne Yúsuf ko yih kahlá bhejá, ki Tere báp ne apne marne se áge yih hukm kiyá thá, 17ki Tum Yúsuf se kahná, ki Apne bháiyoṉ kí ḳhatá, aur un ká gunáh ab baḳhsh de; kyúṉki unhoṉ ne tujh se badí kí: so ab tú apne báp ke Ḳhudá ke bandoṉ kí ḳhatá baḳhsh de. Aur Yúsuf, un kí yih báteṉ sunkar royá. 18Aur us ke bháiyoṉ ne ḳhud bhí us ke sámne jákar apne sir ṭek diye, aur kahá, Dekh, ham tere ḳhádim haiṉ. 19Yúsuf ne un se kahá, Mat ḍaro; kyá maiṉ Ḳhudá kí jagah par húṉ? 20Tum ne to mujh se badí karne ká iráda kiyá thá, lekin Ḳhudá ne usí se nekí ká qasd kiyá, táki bahut se logoṉ kí ján bacháe; chunáṉchi áj ke din aisá hí ho rahá hai. 21Is liye tum mat ḍaro; maiṉ tumhárí aur tumháre bál bachchoṉ kí parwarish kartá rahúṉgá. Yúṉ us ne apní muláim bátoṉ se un kí ḳhátirjama‘ kí.
22Aur Yúsuf aur us ke báp ke ghar ke log Misr meṉ rahe: aur Yúsuf ek sau das baras tak jítá rahá. 23Aur Yúsuf ne Ifráím kí aulád tísrí pusht tak dekhí, aur Munassí ke beṭe Makír kí aulád ko bhí Yúsuf ne apne ghuṭnoṉ par khiláyá. 24Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Maiṉ martá húṉ: aur Ḳhudá yaqínan tum ko yád karegá, aur tum ko is mulk se nikálkar us mulk meṉ pahuṉcháegá, jis ke dene kí qasam us ne Abrahám aur Izháq aur Ya‘qúb se kháí thí. 25Aur Yúsuf ne baní Isráíl se qasam lekar kahá, Ḳhudá yaqínan tum ko yád karegá, so tum zarúr hí merí haḍḍiyoṉ ko yaháṉ se le jáná. 26Aur Yúsuf ne ek sau das baras ká hokar wafát páí: aur unhoṉ ne us kí lásh meṉ ḳhushbú bharí aur use Misr hí meṉ tábút meṉ rakkhá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 50: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia