Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 18

18
ATHÁRAWIṈ ZABÚR.
Dáúd is sabab se Ḳhudá kí hamd kiyá cháhtá hai, ki us ne ạjíb taur se use riháíáṉ baḳhshi haiṉ (1—3); aur in riháíoṉ ká tarah tarah kí misáloṉ se bayán kartá hai (4—19): aur kahtá hai, ki Ḳhudá ne sirf apní mihrbání hi se nahín, balki apní adálat aur intizám i muqarrar ke áín ke muwáfiq mujhe yih riháíáṉ baḳhshí haiṉ (20—27): aur apne guzre tajribe aur Ḳhudá ke wạdoṉ se taqwiyat hásil karke, sirf guzrí barakatoṉ ká nahíṉ, balki ánewálí barakatoṉ ká bhí bayán kartá hai (28—45). Aur asl matlab yih hai, ki yih wạde sirf Dáúd hí se nạhíṉ, balki us kí aulád se bhi abad tak taạlluq rakhte haiṉ, aur us kí aulád meṉ Masíh bhí shámil hai, jis se yih zabúr ḳháss taur se taạlluq rakhtí hai (46—50).
Sardár Mug̣anní ke liye; Yahowáh ke Bande Dáúd kí Zabúr, jis ne Yahowáh se is sarod kí báteṉ kahíṉ, jis din Yahowáh ne use us ke sáre dushmanoṉ ke panje se aur Sáúl ke háth se chhuṛáyá, aur kahá:—
1Ai Yahowáh, merí qúwat, maiṉ tera áshiq rahúṉgá. 2Yahowáh merí chaṭán aur mera gaṛh aur mera chhuṛánewálá hai; mera Qádir i Mutlaq merí chaṭán hai, maiṉ us par bharosa rakhúṉgá; merí sipar aur merí naját ká sing, merí únchí jagah. 3Maiṉ Yahowáh ko, jo hamd ke láiq hai, pukárúṉgá, aur apne dushmanoṉ se bach jáúṉgá.
4Maut ke bandhanoṉ ne mujhe gherá hai, aur ḳharábí ke sailáb mujhe ḍaráyá karenge. 5Qabr ke bandhanoṉ ne mujhe gherá, maut ke phandoṉ ne mera sámhná kiyá hai. 6Maiṉ apní tangí meṉ Yahowáh ko pukárúṉgá, aur apne Ḳhudá kí duháí dúṉgá; wuh apní haikal se merí áwáz sunegá, aur merí duháí us ke sámhne, balki us ke kánoṉ meṉ pahunchegí. 7Tab zamín jumbáṉ aur larzáṉ húí, aur paháṛoṉ kí beḳh o bun kámpí aur jumbish meṉ áí, kyúṉki wuh g̣azabnák thá. 8Us ke qahr se dhúṉwá uṭhá, aur us ke muṉh kí ág bhasam kartí hai; angáre us se dahke. 9Aur us ne ásmánoṉ ko jhukáyá, aur níche utrá, aur us ke páṉwoṉ tale ghaṭá thí. 10Aur wuh karúbí par sawár húá aur uṛá, aur us ne hawá ke paroṉ par parwáz kí; 11aur us ne apne ird-gird táríkí ko apná parda ṭhahráyá, apní áṛ pání ká andherá, bádaloṉ kí ghaṭáeṉ. 12Us chamak se, jo us ke áge thí, us ke badal haṭ gae:— ole aur angáre! 13Tab Yahowáh ásmánoṉ meṉ garjá, aur Haqq Taạlá ne apní áwáz dí:— ole aur angáre! 14Tab us ne apne tír chaláe aur unheṉ parágaṉda kiyá, aur bijlíáṉ chamkáíṉ aur unheṉ ghabrá diyá. 15Tab, Ai Yahowáh, terí tahdíd se aur tere g̣azab ke dam ke jhoke se pání kí nálíáṉ dekh paṛíṉ, aur jahán kí beḳh o bun khul gaíṉ. 16Wuh úpar se apná háth baṛháegá, mujhe le legá, mujhe baṛe pání meṉ se khainch legá. 17Wuh mere dushman se merí riháí karegá, kyúnki wuh zabardast hai; aur mere hásidoṉ se, kyúṉki wuh mujh se qawítar haiṉ. 18Wuh merí musibat ke din mera sámhná karenge, aur Yahowáh mere liye takya húá hai; aur mujhe kusháda jagah meṉ láyá; 19wuh mujhe bacháegá, kyúṉki wuh mujh se ḳhush hai.
20Yahowáh merí sadáqat ke muwáfiq mujh se sulúk karegá; merí pákdastí ke mutábiq wuh mujhe jazá degá. 21Kyúṉki maiṉ ne Yahowáh kí ráheṉ hifz kíṉ, aur apne Ḳhudá se bargashta na húá. 22Kyúnki us ke sáre hukm mere sámhne haiṉ, aur us ke huqúq maiṉ apne se dúr na karúṉgá. 23Aur maiṉ us ke sáth kámil rahá, aur áp ko apní badí se báz rakhá. 24Aur Yahowáh ne merí sadáqat ke mutábiq, aur merí pákdastí ke muwáfiq, jo us kí ánkhoṉ ke sámhne thí, mujhe jazá dí hai. 25Muqaddas ke sáth tú apne taíṉ muqaddas dikhláegá; kámil ádmí ke sáth tú apne taíṉ kámil dikhláegá; 26pák kie húe ke sáth tú apne taíṉ pák dikhláegá, aur ṭeṛhe ke sáth tú apne taíṉ kajrau dikhláegá. 27Kyúṉki Tú hí musíbatzada ummat ko baeháegá, aur únchí ánkhoṉ ko níchí karegá.
28Kyúṉki Tú hí mera chirág jaláegá; Yahowáh mera Ḳhudá merí táríkí ko ujálá karegá. 29Kyúṉki maiṉ terí kamak se fauj par dauṛúṉgá, aur apne Ḳhudá kí madad se díwár phándúṉgá; 30yạne, Qádir i Mutlaq se, jis kí rah kámil hai; Yahowáh ká kalám táyá gayá, wuh apne sáre mutawakkiloṉ ke liye sipar hai. 31Kyúṉki Yahowáh ke siwá kaun Ḳhudá hai? aur hamáre Ḳhudá ke bag̣air kaun chaṭán hai? 32yạne, Qádir i Mutlaq ke bagair, jo merí kamar mazbútí se bándhtá hai, aur jis ne merí ráh kámil kí hai; 33jo mere páṉw ko harníoṉ ke se banátá hai, aur merí úncháíoṉ par mujhe khaṛá kartá hai; 34jo mere háthoṉ ko jang karná sikhlátá hai, aur mere bázúoṉ ne pítal kí kamán jhukáí hai. 35Aur tú ne mujhe apní naját kí sipar dí hai, aur tera dahná háth mujhe sambhálegá, aur terí tawajjuh mujhe buzurg karegí. 36Tú mere qadam ko mere tale kushádagí baḳhshegá, aur mere ṭaḳhne na haṭenge. 37Maiṉ apne dushmanoṉ ká píchhá karúṉgá, aur unheṉ já lúṉgá, aur píchhe na phirúṉgá, jab tak wuh faná na hoṉ. Maiṉ unheṉ paṭak dúṉgá, 38aur wuh uṭh na sakenge, wuh mere páṉwoṉ tale gir paṛenge. 39Aur tú ne laṛáí ke waste merí kamar qúwat se bándhí hai, tú mere muḳhálifoṉ ko mere níche jhukáegá. 40Aur tú ne mere dushmanoṉ kí píṭh mujhe dikhláí, aur maiṉ apne hásidoṉ ko halák karúṉgá. 41Wuh duháí denge, aur koí bachánewálá nahíṉ; Yahowáh kí, aur wuh un kí nahíṉ suntá hai. 42Aur maiṉ unheṉ gard kí mánind, jo hawá ke sámhne hai, pís ḍálúngá, rastoṉ kí kích kí mánind unheṉ phenk dúṉgá. 43Tú mujhe ummat ke jhagṛoṉ se chhuṛáegá; tú mujhe g̣air-qaumoṉ ká sardár ṭhahráegá; jis ummat ko maiṉ ne nahíṉ jáná, wuh merí ḳhidmat karegí. 44Kan se sunte hí wuh mujhe mánenge, g̣air ke farzand mujh se jhúṭh bolenge; 45g̣air ke farzand murjhá jáenge, aur apne ihátoṉ se tharthará jáenge.
46Yahowáh zinda hai, aur mubárak merí chaṭán, aur merí naját ká Ḳhudá baland hogá; 47yạne, Qádir i Mutlaq, jo mere intiqám letá hai, aur jisne qaumoṉ ko mere tale dabáyá hai; 48jo mujhe mere dushmanoṉ se chhuṛátá hai; háṉ, mere muḳhálifoṉ se tú mujhe baland karegá; zálim insán se tú merí riháí karegá. 49Is liye, Ai Yahowáh, maiṉ qaumoṉ meṉ tera shukr karúṉgá, aur tere nám kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karúṉgá; 50jo apne bádsháh ko baṛí baṛí najáteṉ baḳhshtá hai, aur apne Masíh, yạne, Dáúd aur us kí nasl par abad tak mihrbání kartá hai.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 18: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia