Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 33

33
TAIṈTÍSWÍṈ ZABÚR.
Upar kí zabúr kí áḳhirí áyat meṉ jo targ̣íb thí, usí kí is zabúr meṉ tafsíl hai, aur donoṉ ká ek hí sarnáma, aur donoṉ hamqálib haiṉ. Dáúd sáre sádiqoṉ ko targ̣íb detá hai, ki Yahowáh kí hamd karo (1—3), kyúṉki wuh amánatdár aur wafádár aur mihrbán (4, 5), aur qádir i mutlaq ḳháliq hai (6—9), aur kull qaumoṉ ko dabáke un se apní marzí púrí kartá hai (10, 11), aur is sab se yih natíja nikaltá hai, ki us kí ummat niháyat ḳhushhál hai (12). Phir, Dáúd Ḳhudá kí ạ́lim-ul-gaibí kí tạríf kartá hai (13—15), aur bayán kartá hai ki insán o haiwán kí sárí táqateṉ naját ke báb meṉ mahz zaịf haiṉ (16, 17), lekin jin ká hámí Yahowáh hai, wuh har tarah se sálim haiṉ (18, 19), aur ḳhátime meṉ Ḳhudá ke sáre log kahte haiṉ, ki Yahowáh par hamesha aur har tarah se hamárá dilí bharosa rahtá hai (20—22).
1Ai sádiqo, Yahowáh meṉ tarannum karo! Hamd karná rást-károṉ ke liye zebá hai. 2Barbat ke sáth Yahowáh ká shukr karo; das tar ke bín ke sáth us kí hamd meṉ nag̣masaráí karo. 3Us ke liye naí gít gáo; ḳhushí kí áwáz ke sáth ḳhúb bajáo.
4Kyúṉki Yahowáh ká kalám rást hai, aur us ká sárá kám amánatdárí ke sáth kiyá gayá. 5Wuh sadáqat aur ạdálat se mahabbat rakhtá hai, zamín Yahowáh kí mihrbání se pur hai.
6Yahowáh ke kalam se ásmán bane, aur us ke muṉh ke dam se un ká sárá lashkar. 7Wuh samundar ke pání ko túde ke mánind jama kartá hai, gahráoṉ ko maḳhzanoṉ meṉ rakh chhortá hai. 8Sárí zamín ke rahnewále Yahowáh se ḍareṉ: jahán ke sáre báshinde us se ḳhauf rakheṉ. 9Kyúṉki usí ne kahá ki Ho, aur ho gaya; usí ne farmáyá, aur barpá húá.
10Yahowáh ne qaumoṉ kí maslahat ko radd kiyá; ummatoṉ ke mansúboṉ ko bátil kiyá hai. 11Yahowáh kí maslahat abad tak qáim rahegí; us ke dil ke mansúbe pusht dar pusht.
12Wuh qaum kyá hí mubárak hai jis ká Ḳhudá Yahowáh hai, wuh ummat jise us ne apní mírás ke liye chun liyá! 13Yahowáh ne ásmán se nigah kí; us ne sáre baní Ádam ko dekhá; 14apne rahne ke makán se us ne zamín ke sáre báshindoṉ kí taraf táká; 15jo un ke sáre diloṉ ko banátá hai, jo un ke sáre kámoṉ kí taraf dhyán rakhtá hai.
16Bádsháh qúwat kí kasrat se hargiz nahíṉ bachtá, pahlawán zor kí kasrat se riháí na páegá. 17Ghoṛá naját ke waste lag̣o hai, aur wuh apní qúwat kí kasrat se na bacháegá.
18Dekho, Yahowáh kí ánkh us ke ḍarnewáloṉ kí taraf hai, un ke liye jo us kí mihrbání ke muntazir haiṉ; 19táki maut se un kí ján ko riháí de, aur unheṉ kal meṉ zinda rakhe.
20Hamárí ján ne Yahowáh kí intizárí kí hai; hamárí madad aur hamárí sipar wahí hai. 21Kyúṉki hamárá dil us se ḳhush hogá, is liye ki ham ne us ke quddús nám par bharosa rakhá hai. 22Ai Yahowáh, terí mihrbáni ham par ho, jaisá ham ne terí intizárí kí hai.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 33: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia