Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 46

46
CHHIYÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá kí himáyat o panáh meṉ kalísyá har waqt sahíh o sálim rahtí kai. Ag̣lab hai ki yih zabúr us mụjiaze se taạlluq rakhtí ho, jab Ḳhudá ne Hizqiyáh kí ạmaldárí meṉ Asúrí lashkar ko ek hí rát meṉ halák kar dálá (2 Salátín 19:35; Yashạiyáh 37:36).
Sardár Mug̣anní ke liye: Baní Qurah ke liye; Kuṉwáríoṉ kí áwáz ke sáth; G̣azal.
1Ḳhudá hamáre liye já i panáh aur qúwat hai; wuh tangíoṉ meṉ niháyat madadgár páyá gayá. 2Isí sabab se rú i zamín ke mubaddal ho jane, aur paháṛoṉ ke samundaroṉ ke qalb meṉ hil jane se ham na ḍarenge. 3Us ke pání shor macháeṉ aur phenáeṉ, us ke baṛhne se paháṛ larzeṉ. Siláh. 4Ek naddí hai, jis kí nahreṉ Ḳhudá ke shahr, yạne, Haqq Taạlá ke maskanoṉ ke maqám i muqaddas ko ḳhush karengí. 5Ḳhudá us ke bích meṉ hai, wuh na ṭálegá; Ḳhudá subh hote hí us kí madad karegá. 6Qaumoṉ ne shor macháyá, mamlukateṉ kámp uṭhíṉ; us ne apní áwáz dí hai, zamín pighal jáegí. 7Yahowáh, Lashkaroṉ ká Ḳhudá, hamáre sáth hai; Yạqúb ká Ḳhudá hamáre liye já i panáh hai. Siláh.
8Áo, Yahowáh ke kámoṉ ko dekho, jis ne zamín par wíráníáṉ kí haiṉ; 9jo zamín kí intihá tak laṛáíáṉ mauqúf kartá hai; wuh kamán ko toṛegá, aur barchhí ko tukṛe tukṛe karegá, rathoṉ ko ág se jaláegá. 10“Báz áo, aur jáno ki Maiṉ Ḳhudá húṉ; maiṉ qaumoṉ meṉ baland húṉgá, zamín par baland húṉgá.” 11Yahowáh, Lashkaron ká Ḳhudá, hamáre sáth hai; Yạqúb ká Ḳhudá hamáre liye já i panáh hai. Siláh.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 46: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia