Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 47

47
SAIṈTÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ ek fath ká tazkira hai, jo Ḳhudá kí ummat i ḳháss ne kai ek muttahid qaumoṉ par páí, aur ag̣lab hai ki us fath ká tazkira ho jo Yahásafat ne Ammúníon aur Moábíoṉ aur Adúmíon, wag̣aira par pái, jis ká bayán 2 Tawár. 20 báb meṉ hai. Pahle hisse meṉ Yahowáh kí hamd is sabab se hai, ki wuh qaumoṉ par fath pánewálá hai (1—4); aur dúsre meṉ is sabab se, ki wuh un ká haqíqí Sultán hai (5—9); aur donoṉ hissoṉ meṉ Yahowáh kí tạríf is sabab se hai, kí wuh apní Isráíli ummat ká háfiz hai. Pahle hisse meṉ Ḳhudá kí hamd karne kí targ̣íb g̣air-qaum-oṉ ko dí játí hai, aur dúsre meṉ Isráíli ummat, yạne, kálísyá i qadím ko.
Sardár Mug̣ranní ke liye; Baní Qurah kí Zabúr.
1Ai sárí ummato, tálíán bajáo! Tarannum kí áwáz se Ḳhudá ke liye lalkáro! 2Kyúṉki Yahowáh Taạ́lá muhíb hai, 3wuh sárí zamín par Baṛá Bádsháh hai. Wuh ummatoṉ ko hamáre tale dabáegá, aur qaumoṉ ko hamáre páṉwoṉ ke níche. 4Wuh hamáre liye hamárí mírás ko chunegá, Yạqúb kí balandí ko, jise us ne piyár kiyá hai. Siláh.
5Ḳhudá lalkár ke sáth chaṛh gayá, Yahowáh turhí kí áwáz ke sáth. 6Ḳhudá kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karo, nag̣ma-saráí karo! Hamáre Bádsbáh kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karo, nag̣ma-saráí karo! 7Kyúṉki Ḳhudá sárí zamín par Bádsháh hai. #47:7 Tạlim yih hai, ki Yahowáh Masíh ki bádshahat meṉ sárí zamín par musallit hai.Tálímdihinda zabúr se us kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karo. 8Ḳhudá qaumoṉ par bádsháh húá, Ḳhudá apne taḳht i muqaddas par baiṭhá hai. 9Ummatoṉ ke sharíf; Ibráhím ke Ḳhudá kí ummat hokar, faráham húe; kyúṉki zamín kí ḍháleṉ Ḳhudá kí haiṉ; wuh niháyat baland hai.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 47: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia