Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 48

48
AṚTÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Yahowáh kí hamd aur us ke makán i muqaddas kí tạrif (1—3), aur us májare ká zikr jis ke báịs se Yahowáh aur us ke shahr i muqaddas kí búzurgí ziyádạ záhir húi, yạne, bụze muttahid bádsháh Yarúshalam ki muḳhálafat meṉ faráham húe, par joṉhi unhoṉ ne us shahr ko dekhạ́, woṉhi ḳhauf ke máre bhág nikle (4—8), aur is riháí ke sabab se Ḳhudá abadí shukrguzárí ká mustahiqq hai (9—14). Ag̣lab hai ki yih zabúr bhí us fath se mutaạlliq ho jo Yahúsafat ne Moábíoṉ aur Ammúnioṉ aur Adúmíoṉ par páí, Yahúsafat aur us ke logoṉ ne jang ke maidán meṉ (2 Tawár. 20:9, 26), aur wahán se lauṭke Yahowáh ke ghar Yarúshalam, meṉ Ḳhudá kí shukrguzárí kí (2 Tawár. 20:27, 28). Ag̣lab hai ki saiṉtálíswín zabúr jang ke maidán meṉ, aur yih zabúr Yarúshalam meṉ istịmál kí gaí ho, aur tirásíwín zabúr jang se peshtar.
Baní Qurah kí G̣azal o Zabúr.
1Hamáre Ḳhudá ke shahr meṉ, apne koh i muqaddas par Yahowáh buzurg aur niháyat hamd ke láiq hai. 2Balandí meṉ khushnumá, sárí zamín kí ḳhushi, atráf i shimál meṉ Koh i Saihún, Baṛe Bádsháh ká shahr hai. 3Ḳhudá us ke mahaloṉ meṉ já i panáh jáná gayá hai.
4Kyúṉki dekho, bádsháh báham mile, 5wuh ek sáth hí guzar gae. Joṉhí unhoṉ ne dekhá, woṉhí mutaạjjib húe, 6ghabrá gae, aur bhág nikle. 7Waháṉ, jannewálí ke dard i zih ke mánind, kampkapí ne unheṉ pakṛá. Tú Tarsís ke jaházoṉ ko purwá hawá se toṛegá. 8Jaisá ham ne suná thá, waisá hí ham ne Yahowáh, lashkaroṉ ke Ḳhudá ke shahr meṉ, apne Ḳhudá ke shahr meṉ dekhá hai. Ḳhudá use abad tak qáim rakhegá. Siláh.
9Ai Ḳhudá, ham ne terí haikal ke darmiyán terí mihrbání par g̣aur kiyá hai. 10Ai Ḳhudá, jaisá terá nám waisí hí terí hamd intihá i zamín tak hai; tera dahná háth sadáqat se pur hai. 11Terí ạdálatoṉ ke sabab se Koh i Saihún ḳhush aur banát i Yahúdáh shád hongí. 12Saihún kí tawáf karo aur us ke ird-gird phiro; us ke burjoṉ ko gino. 13Apná dil us kí shahrpanáh par lagáo, us ke mahaloṉ ká hál daryáft karo, táki tum ánewálí pusht se bayán karo. 14Kyúṉki yih Ḳhudá abad-ul-ábád hamárá Ḳhudá hai; wahí tá dam i marg hamárí hidáyat karegá.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 48: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia