Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 49

49
UNCHÁSWÍṈ ZABÚR.
Agarchi sharír log chand roz tak ạdáwat se sádiqoṉ ko satáeṉ, lekin un ká anjám achának aur ḳhatarnák hogá, kyúnki Ḳhudá apne barguzídon ko bacháegá, aur sharíroṉ ko halák karegá. Is zabúr ke díbáje meṉ sárí dunyá ke har ḍarje ke logoṉ ko targ̣ib hai ki is mazmún par g̣aur kareṉ (1—4). Díbáje ke bad do hisse haiṉ. Pahle meṉ yih hai, ki sáre nafạ aur ummed i jismání, ímán ke bag̣air, befáida haiṉ (5—12); aur dúsre meṉ ímándár ke nafạ aur ummed ká un se muqábala hai (13—20.)
Sardár Mug̣anní ke liye; Baní Qurah kí Zabúr.
1Ai sárí ummato, yih suno, Ai dunyá ke sáre báshindo, kan lagáo; 2kyá adná kyá álá, daulatmand aur kangál ek hí sáth! 3Mera muṉh hikmat kí báteṉ karegá aur mere dil ká soch ḳhirad hai. 4Maiṉ apná kán tamsíl kí taraf lagáúṉgá, barbat ke sáth apní pahelí kholke kahúṉgá.
5Maiṉ musibat ke dinoṉ meṉ kis liye ḍarúṉ, jab mere pámál karnewáloṉ kí badí mujhe gheregí; 6jo apní qúwat par takya karte haiṉ, aur apní daulat kí ziyádatí par faḳhr karte haiṉ? 7Insán apne bháí ká fidya hargiz na de sakegá; aur na Ḳhudá ko apná kafára degá. 8Aur un kí ján ká fidya qímatí hai, aur wuh abad tak ke liye us se báz áyá hai, 9ki hamesha tak jítá rahe aur saṛan ko na dekhe; kyúṉki wuh use dekhegá; 10dánishmand marenge; ahmaq aur haiwán ek hí sáth halák honge, aur apná mál auroṉ ke liye chhoṛ jáenge. 11Un ká dilí ḳhiyál yih hai, ki Hamáre ghar abad tak qáim rahenge, hamáre maskan pusht dar pusht: unhoṉ ne apne apne khetoṉ par apne nam rakhe haiṉ. 12Par ádamzád hashmat meṉ shabbásh bhi na hogá; wuh baháim kí misl ṭhahráyá gaya; wuh halák húe.
13Yih un kí raftár hai; un kí aisí himáqat hai; aur un ke pairau un kí bátoṉ se ḳhush honge. Siláh. 14Wuh galle ke mánind qabr ḳí taraf hankáe játe haiṉ; maut un ká charwáhá hogí; aur subh ko rástkár un par tasallut karenge; aur qabr un kí súrat ko galá ḍálegí; wuh apne makán se us meṉ utarte haiṉ. 15Sirf Ḳhudá qabr ke háth se merí ján ká fidya degá, kyúṉki wuh mujhe us se nikál legá. Siláh. 16Is se mat ḍar ki insán daulatmand ho jáe, aur us ke ghar ki shaukat baṛhe. 17Kyúṉki wuh apní maut meṉ kuchh na le jáegá; na us kí shaukat us ke píchhe utregí. 18Kyúṉki wuh apní zindagi meṉ apní ján ko barakat degá, aur ádmí terí taríf karange is sabab se ki tú apne liye bhalá kartá hai. 19Tú apne báp dádoṉ kí pusht meṉ mil jáegá, wuh abad tak roshní ko na dekhenge. 20Jo ádamzád hashmat meṉ hai aur samajh nahíṉ rakhtá, wuh un baháim kí misl ṭhahráyá gayá jo halák hote haiṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 49: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia