Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 52

52
BÁWANWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr ke tin hisse haiṉ, aur har ek hisse meṉ tín tín áyaten haiṉ. Pahle meṉ Dáúd ek mag̣rúr aur zálim o saḳhtdil aur dag̣ábáz dushman se hujjat kartá hai (1—3). Aur dúsre meṉ peshḳhabarí detá hai ki yih dushman Ḳhudá kí ạdálatoṉ se halák hogá, aur us kí himáqat par baṛí hiqárat hogí (4—6). Aur tísre meṉ us kí beímání kí tabáhí ká aur apne ímán ke phal ká muqábala kartá hai (7—9). Khulása yih hai, ki jo Sáúl ke mánind apní qúwat par bharosa rakhke ímándáron kí ízá-rasání par faḳhr karte haiṉ, wuh Qádir i Mutlaq kí qudrat se halák honge; aur jin ímándároṉ ko unhoṉ ne satáyá, wuh Ḳhudá kí himáyat meṉ abad, tak sahíh o sálim rahenge.
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Tạlím-dihinda Zabúr; jab Adúmí Doeg áyá, aur Sáúl ko khabar dí, aur us se kahá, ki “Dáúd Aḳhimalik ke ghar meṉ áyá hai.”#1 Sam. 22.
1Ai pahlawán, tú kyúṉ ziyáṉkárí par faḳhr karta hai? Qádir i Mutlaq kí mihrbání tamám din rahtí hai. 2Tez kie húe usture ke mánind, jo fareb se apná kám kartá hai, terí zabán ḳharábíáṉ íjád kartí hai. 3Tú ne nekí se ziyáda badí ko, aur sach bolne se ziyáda jhúṭh ko piyár kiyá hai. Siláh.
4Ai chhalí zabán, tú ne sárí halák karnewálí bátoṉ ko piyár kiyá hai. 5Qádir i Mutlaq bhí tujhe hamesha ke liye ḍhá degá; wuh tujhe jháṛ ḍálegá, aur tujhe tere ḳhaime se nikal phenkegá, aur tujhe zindagi kí zamín se ukháṛ ḍálegá. Siláh. 6Aur sádiq dekhenge, aur ḍarenge, aur us par haṉsenge:—
7“Dekh us zoráwar ko jo Ḳhudá ko apní já i panáh nahíṉ ṭhahrátá, aur apní daulat kí ziyádatí par bharosa rakhtá hai, aur apní ḳharábí meṉ qawí rahtá hai!” 8Par Maiṉ Ḳhudá ke ghar meṉ hare zaitún ke daraḳht ke mánind húṉ; maiṉ ne Ḳhudá kí mihrbání par, jo abad-ul-ábád rahegí, bharosá rakhá hai. 9Maiṉ abad tak terí shukrguzarí karúṉgá, kyúṉki tú ne yih kiyá hai, aur tere muqaddasoṉ ke sámhne tere nám kí intizárí karúṉgá kyúṉki wuh bhalá hai.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 52: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia