Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 58

58
AṬHÁWANWÍṈ ZABÚR.
Dáúd faryád kartá hai, ki mere dushman, jo hákim haiṉ, so zálim o náinsáf, aur asl se bilkull ḳharáb, aur saḳhtdilí se ḳharábí meṉ zidd bándhte haiṉ (1—5), aur duạ́ mángtá hai ki Ḳhudá un ki táqat shikast karne meṉ apná intiqám dikhláe aur apne bandoṉ ko shádmání ká sabab baḳhshe (6—11). Is zabúr meṉ Sáúl ká ishára hai.
Sardár Mug̣anní ḳe liye; Halák na kar; Dáúd ká Ráz.
1Ai baní Ádam, kyá tum sachmuch gúnge rahte ho, jab munásib hai ki sadáqat se bolo aur rástí se insáf karo? 2Háṉ, tum dil se badkáríáṉ karte ho; apne háthoṉ ká zulm zamín par taulte ho. 3Sharír rihm hí se begáne húe; wuh jhúṭh bolte húe peṭ hí se bhaṭak gae. 4Un ká zahr sámp ke zahr ke mánind hai, wuh apne kán ko us bahire nág ke mánind band karegá, 5jo mantar paṛhnewáloṉ kí áwáz na sunegá, kaisí hí hoshyárí se mantar kyúṉ na phúnktá ho.
6Ai Ḳhudá, un ke dánt un ke muṉh meṉ toṛ ḍál; Ai Yahowáh, jawán sheroṉ kí ḍáṛhoṉ ko kuchal ḍál. 7Wuh pání ke mánind pighal jáeṉ, apní ráh chale jáeṉ; wuh#58:7 Yạne, Ḳhudá. apne tír lagáe aisá ki wuh kat jáeṉ. 8Jis tarah ki ghongá pighal játá hai, wuh bhi guzar jáe; ạurat ke saqte ke mánind unhoṉ ne áftáb ko nahíṉ dekhá. 9Us se peshtar ki tumhárí hánḍíoṉ meṉ kánṭe kí ánch lage, ḳhwáh kachchá ho, ḳhwáh pakká, wuh#58:9 Yạne, Ḳhudá. use uṛá le jáegá. 10Sádiq ḳhush hogá, kyúṉki us ne intiqám ko dekhá hai; wuh apne qadamoṉ ko sharír ke lahú meṉ ḍubáegá. 11Aur ádamzád kahegá ki “Háṉ, sádiq ke liye bhala hai; háṉ, zamín par insáf karnewálá Ḳhudá hai.”

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 58: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia