Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 71

71
EKHATTARWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá ká banda, jo dushmanoṉ kí ḍáh se musíbatzada hai, un se riháí pane kí duạ́ kartá hai (1—3). Wuh Ḳhudá kí us mihrbání ká iqrár kartá hai jo laṛakpan aur jawání ke aiyám meṉ us par zahir húí (4—8), aur minnat kartá hai ki yihí mihrbání buṛhápe aur zaífí ke ạ́lam meṉ us par kí jáe (9—13). Use yaqín hai ki merí duạ́ mustajáb hogí (14—21), aur wạda kartá hai ki maiṉ munásib taur se us ke liye Ḳhudá ki shukrguzárí karúṉgá (22—24). Jin jin zabúroṉ meṉ sádiqoṉ ke dukhoṉ ká bayán hai, maslan báíswín aur paiṉtíswíṉ aur aṛtíswíṉ aur chálíswíṉ, un se yih zabúr mushábahat rakhtí hai. Is sabab se chálíswíṉ zabúr ká pichhlá hissa is zabúr ke úpar hai, aur isí báịs se Dáúd kí is zabúr kí peshání par sarnáma nahíṉ hai.
1Ai Yahowáh, maiṉ ne tujh par bharosa rakhá hai; mujhe abad tak sharminda na hone de. 2Tú apní sadáqat se merí riháí karegá aur mujhe chhuṛáegá; apná kan merí taraf jhuká aur mujhe bachá. 3Tú mere makán kí chaṭán ho, ki maiṉ hamesha áyá karúṉ; tú ne mujhe bacháne ká hukm diyá hai; kyúṉki Tú hí merí chaṭán aur mera hisár hai.#Zabúr 31:1-3 ko dekho.
4Ai mere Ḳhudá, sharír ke háth se, aur kajrau aur ḳharáb insán ke panje se mujhe chhuṛá. 5Kyúṉki, Ai Ḳhudáwand, Yahowáh, merí ummed Tú hí hai, merí jawání se merí já i panáh. 6Maiṉ rihm se tujh se sambhálá gayá; Tú hí ne mujhe merí má ke peṭ se nikálá; merí tạríf hamesha terí nisbat hai. 7Maiṉ bahuteroṉ ke liye achambhá húá; par Tú hí merí mazbút já i panáh hai. 8Merá muṉh terí taríf se aur sáre din tere jamál se bhará rahegá.
9Buṛhápe meṉ mujhe phenk na de; jab merí táqat ghaṭe, tab mujhe tark na kar. 10Kyúṉki mere dushmanoṉ ne mujh se yúṉ kahá hai; aur jo merí ján ke darpai haiṉ, unhoṉ ne báham mashwarateṉ kí haiṉ; 11aur kahte haiṉ, ki “Ḳhudá ne use tark kiyá hai, us ká píchhá karo aur use pakaṛ lo, kyúṉki koí riháí denewálá nahíṉ hai.” 12Ai Ḳhudá, mujh se dúr na rah; Ai mere Ḳhudá, merí madad ke liye jaldí kar. 13Mere jání dushman sharminda aur faná ho jáenge; mere nuqsán ke tálib ḳhijálat aur ruswáí se ḍhap jáenge.
14Aur Maiṉ hamesha ummed rakhúṉgá, aur terí sárí tạríf par baṛhátá jáúṉgá. 15Mera muṉh terí sadáqat ká, aur sáre din terí naját ká bayán kiyá karegá, kyúṉki maiṉ un ke shumár nahíṉ jántá. 16Maiṉ Ḳhudáwand Yahowáh ke qawí kámoṉ ke sáth áúṉgá; maiṉ terí, sirf terí hí sadáqat ká zikr karúṉgá. 17Ai Ḳhudá, tú ne merí jawání se mujhe tạlím kiyá, aur ab tak maiṉ tere ạjáibát bayán kiyá kartá húṉ. 18Aur buṛhápe aur bal pakne tak bhí, Ai Ḳhudá, mujhe tark na kar, jab tak ki maiṉ pusht i áyanda se tere bázú ká, aur har ek ánewále se terí qudrat ká bayán na karúṉ. 19Aur, Ai Ḳhudá, terí sadáqat balandí tak hai; Ai Ḳhudá, tú jis ne baṛe baṛe kám kie haiṉ, tere mánind kaun hai? 20Tú jis ne hameṉ bahut tangíáṉ aur musíbateṉ dikhláí haiṉ, phir áke hameṉ jiláegá, aur zamín ke gahráoṉ se phir áke hameṉ uṭhá legá. 21Tú merí buzurgí ko ziyáda karegá, aur phirke mujhe tasalli baḳhshegá.
22Ai mere Ḳhudá, Maiṉ bhí terí amánatdárí ke liye bin ke sáz ke sáth tera shukr karúṉgá; Ai Isráíl ke Quddús, maiṉ barbat ke sáth terí hamd meṉ nag̣ma-saráí karúṉgá. 23Jab maiṉ terí hamd meṉ nag̣ma-saráí karúṉgá, tab mere lab, aur merí ján jise tú ne ḳhalásí baḳhshí hai, tarannum karenge. 24Merí zabán bhí sáre din terí sadáqat ko wazífa karegí, kyúṉki mere nuqsán ke tálib sharminda aur ḳhajil ho gae haiṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 71: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia