Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 75

75
PACHHATTARWÍ ZABÚR.
Is zabúr ká matlab yih hai, ki jab dushmanoṉ kí baṛí mamlukat ne kalísyá ke tabáh karne kí tadbíreṉ kíṉ, tab kalísyá ko yaqín húá ki Ḳhudá us kí madad o riháí karegá, aur dushmanoṉ kí tabáhí kí peshíngoí kí. Ḳhudá ke logoṉ ko naját ká aisá yaqín húá, ki unhoṉ ne apní musíbat meṉ is sabab se us ká shukr kiyá ki us ne wạda kiyá ki ạdálat ke liye záhir hogá (2), aur apní behadd qudrat se zamín i jumbáṉ o larzáṉ ko sambhálegá (3); aur Ḳhudá apne dushmanoṉ se kahtá hai ki Faḳhr na karo aur takabbur ko chhoṛ do (4, 5), kyúṉki kalísyá kí riháí dunyá kí kisí samt se nahíṉ, balki us Ḳhudá i ạ́dil kí taraf se hogí jo apne dushmanoṉ par apní ạdálaten názil karne ke wáste bilfịl taiyár hai (6—8). Ḳhudá ke logoṉ ká yih iráda hai, ki naját ke wáste hamesha us kí hamd o saná kareṉ; aur ímán se unheṉ yaqín hai, ki sharárat ko mag̣lúb karke fathyáb o sarfaráz rahenge (9, 10). Halák na kar; —is jumle se, jo sarnáme meṉ hai, mạlúm hotá hai ki yih zabúr kisí baṛe ḳhatre se taạlluq rakhtí hai. Aur is zabúr ke mazmún se gumán hotá hai ki g̣áliban usí hádise se taạlluq rakhtí hai jo Hizqiyáh bádsháh kí ạmaldári ke chaudahweṉ sál meṉ wáqị húá, jis meṉ Sháh i Asúr ká lashkar Ḳhudá ke g̣azab se ek hí rát meṉ tabáh ho gaya (Zabúr 46; Yashạiyáh 36, 37). Aur jo baní Ásaf Hizqiyáh ke waqt meṉ maujúd the, un meṉ se ek ne yih zabúr tasníf kí hogí, aur is sabab se Ásaf kí zabúr kahlátí hai,
Sardár Mug̣anní ke liye; Halák na kar#Zabúr 57 ke sarnáme ko dekho.; Ásaf kí Zabúr o Sarod.
1Ai Ḳhudá, ham tera shukr karte haiṉ, ham shukr karte haiṉ; kyúṉki tere nam ká zuhúr qaríb hai; unhoṉ ne tere ạjáibát ká bayán kiyá hai. 2“Kyúṉki maiṉ waqt i muqarrar chun lúṉgá; Maiṉ hí rástí se insáf karúṉgá. 3Zamin aur us ke sáre báshinde pighal gae; Maiṉ hí ne us ke sutúnoṉ ko sambhálá hai. Siláh. 4Maiṉ ne faḳhr karnewáloṉ se kahá, ki ‘Faḳhr na karo’, aur sharíroṉ se, ki 5‘Sing na uṭháo.’ Apná sing balandí par na uṭháo, aur gardan-kashí se gustákhí kí báten na karo.” 6Kyúṉki na púrab se, na pachchhim se, aur na paháṛoṉ ke bayábán se ạdálat áegí. 7Kyúnki Ḳhudá munsif hai: wuh ek ko past karegá, aur dúsre ko baland karegá. 8Kyúṉki Yahowáh ke háth meṉ piyála hai, aur us meṉ sharáb josh mártí hai, masálih se bharí húí hai, aur wuh is piyále se unḍelá kartá hai; sirf us kí talchhaṭ zamín ke sáre sharír nichoṛenge aur píenge.
9Aur Maiṉ abad tak bayán karúṉgá, Yạqúb ke Ḳhudá kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karúṉgá. 10Aur maiṉ sharíroṉ ke sáre síngoṉ ko káṭ ḍálúṉgá; sádiq ke sing baland kie jáenge.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 75: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia