Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 79

79
UNÁSÍWÍṈ ZABÚR.
Ag̣lab hai ki yih zabúr, chauhattarwíṉ zabúr ke muwáfiq, us waqt se taạlluq rakhtí ho, jab Bábulíoṉ aur Kaldáníoṉ ne Ḳhudá kí pák zamín aur bait-ul-muqaddas meṉ daḳhl karke sab ko nápák kiyá, aur barí barbádí aur ḳhúṉrezí kí. A ur jo Ásaf is zabúr ká musannif hai, wuh Dáúd ke sardár Mug̣anní Ásaf ke ḳhándán meṉ se thá. Is zabúr meṉ Ḳhudá kí ummat i ḳháss kí sakht musibatoṉ ká bayán (1—4), aur riháí kí duạ́ (5—12), aur shukrguzárí ká wạda hai (13).
Ásaf kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, g̣air-qaumeṉ terí mírás meṉ áí haiṉ; unhoṉ ne terí haikal i muqaddas ko nápák kiyá; Yarúshalam ko túda túda kar diyá hai. 2Unhoṉ ne tere bandoṉ kí lásheṉ ásmán ke parindoṉ ká, aur tere muqaddásoṉ ká gosht zamín ke darindoṉ ká kháná ṭhahráyá hai. 3Unhoṉ ne un ká lahú Yarúshalam ke ird-gird pání ke muwáfiq baháyá hai, aur koí gáṛnewálá nahíṉ hai. 4Ham apne hamsáyoṉ ke liye nang, aur apne gird-peshwáloṉ ke liye ṭhaṭṭhá aur khillíbází ho gae haiṉ.
5Ai Yahowáh, tú kab tak hamesha bezár rahegá, aur terí g̣aiyúrí ág kí mánind bhaṛaktí rahegí? 6Apná g̣azab un qaumoṉ par unḍel jinhoṉ ne tujhe nahíṉ jáná, aur un mamlukatoṉ par jinhoṉ ne tera nam leke nahíṉ pukárá hai. 7Kyúṉki unhoṉ ne Yạqúb ko khá liyá, aur us ke makán ko wírán kar diyá hai. 8Aglí pushtoṉ kí badíoṉ ká zikr hamárí nisbat na kar; jaldí kar, terí rahmateṉ hamáre áge áeṉ, kyúṉki ham bahut zalíl ho gae. 9Ai hamáre naját-dihinda Ḳhudá, apne nam ke jalál ke wáste hamárí madad kar; aur apne nám ke liye hameṉ riháí baḳhsh, aur hamáre gunáhoṉ ko muạf kar. 10G̣air-qaumeṉ kis liye kaheṉ ki “Un ká Ḳhudá kaháṉ hai”? G̣air-qaumoṉ ke darmiyán hamárí nazar ke sámhne, tere bandoṉ ke us ḳhún ká intiqám, jo baháyá gaya hai, záhir ho. 11Qaidí ká áh márná tere huzúr meṉ pahunche; apne bázú kí buzurgí ke mutábiq maut ke farzandoṉ ko zinda rahne de. 12Aur jis tarah ki unhoṉ ne, Ai Ḳhudáwand, terí ihánat kí, tú un kí is ihánat ká badla haft-guná hamáre hamsáyoṉ kí god meṉ rakh de.
13Aur ham terí ummat aur terí charágáh ke galla abad tak terí shukrguzárí karenge, pusht dar pusht terí tạríf bayán karenge.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 79: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia