Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 90

90
NAUWEWÍṈ ZABÚR.
SIFR I RÁBỊ.
Músá kí yih zabúr sab zabúron se qadím hai; aur is ká matlab yih hai, ki insán jald faná ho játá, aur is sabab se fání hai, ki us ká Parwardigár us ke gunáhoṉ ke sabab se náḳhush hai, aur is liye lázim hai ki táib o farmáṉbardar hoṉ; aur áḳhir meṉ asl i matlab, yạne, Ḳhudá ke fazl kí duạ́ hai, aur isí sabab se yih zabúr Duá kahí gaí. Aur yih zabúr Músá kí us hálat se mutábaqat rakhtí hai jab wuh baní Isráíl ke sáth bayábán meṉ thá, us ke bạd ki wuh sab log jo Músá ke sáth Misr se nikle apne gunáhoṉ ke sabab se bayábán meṉ mar gae the, aur Músá ḳhud apní ḳhatá ke báịs se zamín i mauụ́d meṉ dáḳhil hone se roká gaya thá, yạne, Misr se nikalne ke bad aṛhtísweṉ sál ke qaríb. Músá Ḳhudá ke azalí o abadí hone ká, aur insán ke jald fání hone ká muqábala kartá hai (1—6), aur kahtá hai ki insán is sabab se fání hai, ki Ḳhudá us ke gunáhoṉ ke báịs se us par g̣azabnák hai (7—11), aur is liye minnateṉ kartá hai ki Ḳhudá jald apná fazl apní ummat i ḳháss par záhir kare (12—17).
Mard i Ḳhudá Músá kí Duạ́.
1Ai Ḳhudáwand, pusht dar pusht hamárí já i panáh Tú hí rahá hai. 2Us se peshtar ki paháṛ paidá húe, aur tú ne zamín aur jahán ko paidá kiyá, aur azal se abad tak Tú hí Qádir i Mutlaq hai. 3Tú insán ko ḳhák tak phir pahunchátá hai, aur farmátá hai, ki “Ai baní Ádam, phiro!” 4Kyúṉki terí nigah meṉ hazár baras kal ke barábar haiṉ jo guzar gaya, aur rát ká ek pahar. 5Tú unheṉ bahá le jatá hai, wuh goyá nind haiṉ; subh ko wuh ghás kí mánind guzar játe haiṉ. 6Subh ko wuh phúltá, tab guzar játá hai, kyúṉki sham ko wuh káṭá játá, aur sukh játá hai.
7Kyúṉki ham tere g̣azab se faná ho gae, aur tere qahr se g̣habrá gae. 8Tú ne hamárí badkáríoṉ ko apne sámhne rakhá hai, hamáre poshída gunah ko apne chihre kí roshní meṉ. 9Kyúṉki hamáre sáre din tere g̣azab meṉ guzar gae; ham apne barsoṉ ko ḳhiyál ke mánind basar karte haiṉ. 10Hamáre barsoṉ ke din! Un meṉ sattar baras haiṉ, aur agar ziyáda qúwat se assí baras hon, táham un kí tawánáí dukh aur taklíf hai, kyúṉki ham jald hankáe játe, aur uṛ játe haiṉ. 11Tere g̣azab kí shiddat ká, aur tere ḳhauf ke muwáfiq tere qahr ká kaun ilm rakhtá hai?
12 Hameṉ aisá ịlm de, táki apne dinoṉ ko gineṉ, aur ham dáná dil qurbán ke liye láenge. 13Ai Yahowáh, hamárí taraf phir; kab tak hameṉ chhore rahegá? Aur apne bandoṉ ke waste pachhtá. 14Subh ko hameṉ apní mihrbání se ásúda kar, to ham apní ụmr bhar tarannum karenge aur ḳhush rahenge. 15Un dinoṉ ke mutábiq jin meṉ tú ne hameṉ musibat meṉ rakhá, aur un barsoṉ ke muwáfiq jin meṉ ham ne ḳharábí dekhí hai, hameṉ ḳhush kar. 16Tera kám tere bandoṉ ko zahir ho, aur tera jalál un ke farzandoṉ par. 17Aur Ḳhudáwand, hamáre Ḳhudá ká jamál ham par ho, aur hamáre háthoṉ ká kám ham par qáim kar, háṉ, hamáre háthoṉ ká kám qáim kar.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 90: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia