1
Lūqā 23:34
Kitab-i Muqaddas
Īsā ne kahā, “Ai Bāp, inheṅ muāf kar, kyoṅki yih jānte nahīṅ ki kyā kar rahe haiṅ.” Unhoṅ ne qurā ḍāl kar us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie.
Paghambingin
I-explore Lūqā 23:34
2
Lūqā 23:43
Īsā ne us se kahā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki tū āj hī mere sāth firdaus meṅ hogā.”
I-explore Lūqā 23:43
3
Lūqā 23:42
Phir us ne Īsā se kahā, “Jab āp apnī bādshāhī meṅ āeṅ to mujhe yād kareṅ.”
I-explore Lūqā 23:42
4
Lūqā 23:46
Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Ai Bāp, maiṅ apnī rūh tere hāthoṅ meṅ sauṅptā hūṅ.” Yih kah kar us ne dam chhoṛ diyā.
I-explore Lūqā 23:46
5
Lūqā 23:33
Chalte chalte wuh us jagah pahuṅche jis kā nām Khopaṛī thā. Wahāṅ unhoṅ ne Īsā ko donoṅ mujrimoṅ samet maslūb kiyā. Ek mujrim ko us ke dāeṅ hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth laṭkā diyā gayā.
I-explore Lūqā 23:33
6
Lūqā 23:44-45
Bārah baje se dopahar tīn baje tak pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Sūraj tārīk ho gayā aur Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā do hissoṅ meṅ phaṭ gayā.
I-explore Lūqā 23:44-45
7
Lūqā 23:47
Yih dekh kar wahāṅ khaṛe faujī afsar ne Allāh kī tamjīd karke kahā, “Yih ādmī wāqaī rāstbāz thā.”
I-explore Lūqā 23:47
Home
Biblia
Mga Gabay
Mga Palabas